Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shohrat Bukhari's Photo'

Shohrat Bukhari

1925 - 2001 | London, United Kingdom

One of the prominent poets who infused modern ghazal with a fresh sense of feeling and imaginative power

One of the prominent poets who infused modern ghazal with a fresh sense of feeling and imaginative power

Sher of Shohrat Bukhari

ham-safar ho to koī apnā-sā

chāñd ke saath chaloge kab tak

ham-safar ho to koi apna-sa

chand ke sath chaloge kab tak

ye kis azaab meñ chhoḌā hai ne is dil ko

sukūn yaad meñ terī na bhūlne meñ qarār

ye kis azab mein chhoDa hai tu ne is dil ko

sukun yaad mein teri na bhulne mein qarar

haañ ai ġham-e-ishq mujh ko pahchān

dil ban ke dhaḌak rahā huuñ kab se

han ai gham-e-ishq mujh ko pahchan

dil ban ke dhaDak raha hun kab se

har samt falak-bos pahāḌoñ qatāreñ

'ḳhusrav' hai na 'shīrīñ' hai na tesha hai na farhād

har samt falak-bos pahaDon ki qataren

'KHusraw' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhad

kuchh aisā dhuāñ hai ki ghuTTī jaatī haiñ sāñseñ

is raat ke ba.ad aaoge shāyad na kabhī yaad

kuchh aisa dhuan hai ki ghuTTi jati hain sansen

is raat ke baad aaoge shayad na kabhi yaad

parde meñ ḳhamoshī ke burqe meñ udāsī ke

shāyad koī aa jaa.e darvāza khulā rakhnā

parde mein KHamoshi ke burqe mein udasi ke

shayad koi aa jae darwaza khula rakhna

jab tujhe bhūlnā chāhā dil ne

ik na.e ġham sazā ham ne

jab tujhe bhulna chaha dil ne

ek nae gham ki saza di hum ne

koThe ujaaḌ khiḌkiyāñ chup rāste udaas

jaate un ke kuchh na rahā zindagī ke paas

TRANSLATION

Houses deserted, silent windows, sad pathways,

Once she was gone, life had nothing to possess.

Sagar Akbarabadi

koThe ujaD khiDkiyan chup raste udas

jate hi un ke kuchh na raha zindagi ke pas

TRANSLATION

Houses deserted, silent windows, sad pathways,

Once she was gone, life had nothing to possess.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now