aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Taashshuq Lakhnavi's Photo'

Taashshuq Lakhnavi

1824 - 1892

Sher of Taashshuq Lakhnavi

1.5K
Favorite

SORT BY

maiñ baaġh meñ huuñ tālib-e-dīdār kisī

gul par hai nazar dhyān meñ ruḳhsār kisī

main bagh mein hun talib-e-didar kisi ka

gul par hai nazar dhyan mein ruKHsar kisi ka

ham kis ko dikhāte shab-e-furqat udāsī

sab ḳhvāb meñ the raat ko bedār hamīñ the

hum kis ko dikhate shab-e-furqat ki udasi

sab KHwab mein the raat ko bedar hamin the

vo khaḌe kahte haiñ merī laash par

ham to sunte the ki niiñd aatī nahīñ

wo khaDe kahte hain meri lash par

hum to sunte the ki nind aati nahin

jis taraf baiThte the vasl meñ aap

usī pahlū meñ dard rahtā hai

jis taraf baiThte the wasl mein aap

usi pahlu mein dard rahta hai

kabhī to shahīdoñ qabroñ pe aao

ye sab ghar tumhāre basā.e hue haiñ

kabhi to shahidon ki qabron pe aao

ye sab ghar tumhaare basae hue hain

paḌ ga.ī kyā nigah-e-mast tire saaqī

laḌkhaḌāte hue mai-ḳhvār chale aate haiñ

paD gai kya nigah-e-mast tere saqi ki

laDkhaDate hue mai-KHwar chale aate hain

bahut muzir dil-e-āshiq ko aah hotī hai

isī havā se ye kashtī tabāh hotī hai

bahut muzir dil-e-ashiq ko aah hoti hai

isi hawa se ye kashti tabah hoti hai

aamad aamad hai ḳhizāñ jaane vaalī hai bahār

rote haiñ gulzār ke dar bāġhbāñ khole hue

aamad aamad hai KHizan ki jaane wali hai bahaar

rote hain gulzar ke dar baghban khole hue

mujh se lākhoñ ḳhaak ke putle banā saktā hai

maiñ kahāñ se ek terā ḳhudā paidā karūñ

mujh se lakhon KHak ke putle bana sakta hai tu

main kahan se ek tera sa KHuda paida karun

har taraf hashr meñ jhankār hai zanjīroñ

un zulfoñ ke giraftār chale aate haiñ

har taraf hashr mein jhankar hai zanjiron ki

un ki zulfon ke giraftar chale aate hain

vo intihā ke haiñ nāzuk maiñ saḳht-jāñ huuñ kamāl

ajab tarah musībat paḌī hai ḳhanjar par

wo intiha ke hain nazuk main saKHt-jaan hun kamal

ajab tarah ki musibat paDi hai KHanjar par

dete phirte the hasīnoñ galī meñ āvāz

kabhī ā.īna-farosh-e-dil-e-hairān ham the

dete phirte the hasinon ki gali mein aawaz

kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairan hum the

tamām umr kamī kabhī na paanī ne

ajab karīm rahmat hai dīda-e-tar par

tamam umr kami ki kabhi na pani ne

ajab karim ki rahmat hai dida-e-tar par

mujh se kyā pūchhte ho daaġh haiñ dil meñ kitne

tum ko ayyām-e-judā.ī shumār aatā hai

mujh se kya puchhte ho dagh hain dil mein kitne

tum ko ayyam-e-judai ka shumar aata hai

muntazir tere haiñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ khole hue

baiThe haiñ dil bechne vaale dukāñ khole hue

muntazir tere hain chashm-e-KHun-fishan khole hue

baiThe hain dil bechne wale dukan khole hue

bār-e-ḳhātir agar hai to ināyat kiije

aap ko husn mubārak ho mirā dil mujh ko

bar-e-KHatir hi agar hai to inayat kije

aap ko husn mubarak ho mera dil mujh ko

baḌhte baḌhte ātish-e-ruḳhsār lau dene lagī

rafta rafta kaan ke motī sharāre ho ga.e

baDhte baDhte aatish-e-ruKHsar lau dene lagi

rafta rafta kan ke moti sharare ho gae

jalūñgā maiñ ki dil us but ġhair par aayā

uḌegī aag ki patthar girā hai patthar par

jalunga main ki dil us but ka ghair par aaya

uDegi aag ki patthar gira hai patthar par

charāġh-e-dāġh maiñ din se jalā.e baiThā huuñ

sunā hai jo shab-e-furqat siyāh hotī hai

charagh-e-dagh main din se jalae baiTha hun

suna hai jo shab-e-furqat siyah hoti hai

uThte jaate haiñ bazm-e-ālam se

aane vaale tumhārī mahfil ke

uThte jate hain bazm-e-alam se

aane wale tumhaari mahfil ke

najd se jānib-e-lailā jo havā aatī hai

dil-e-majnūñ ke dhaḌakne sadā aatī hai

najd se jaanib-e-laila jo hawa aati hai

dil-e-majnun ke dhaDakne ki sada aati hai

qāfile raat ko aate the udhar jaan ke aag

dasht-e-ġhurbat meñ jidhar ai dil-e-sozāñ ham the

qafile raat ko aate the udhar jaan ke aag

dasht-e-ghurbat mein jidhar ai dil-e-sozan hum the

mujhe hai fikr ḳhat bhejā hai jab se us gul-e-tar ko

hazāroñ bulbuleñ rokeñgī rassī meñ kabūtar ko

mujhe hai fikr KHat bheja hai jab se us gul-e-tar ko

hazaron bulbulen rokengi rassi mein kabutar ko

gayā shabāb par itnā rahā ta.alluq-e-ishq

dil o jigar meñ tapak gaah gaah hotī hai

gaya shabab par itna raha talluq-e-ishq

dil o jigar mein tapak gah gah hoti hai

vahshat-e-dil ye baḌhī chhoḌ diye ghar sab ne

tum hue ḳhāna-nashīñ ho ga.iiñ galiyāñ ābād

wahshat-e-dil ye baDhi chhoD diye ghar sab ne

tum hue KHana-nashin ho gain galiyan aabaad

saaf dekhā hai ki ġhunchoñ ne lahū thūkā hai

mausam-e-gul meñ ilāhī koī dil-gīr na ho

saf dekha hai ki ghunchon ne lahu thuka hai

mausam-e-gul mein ilahi koi dil-gir na ho

mauj-e-dariyā se balā chāhiye kashtī mujhe

ho jo bilkul nā-muvāfiq vo havā paidā karūñ

mauj-e-dariya se bala ki chahiye kashti mujhe

ho jo bilkul na-muwafiq wo hawa paida karun

shola-e-husn se thā dūd-e-dil apnā avval

aag duniyā meñ na aa.ī thī ki sozāñ ham the

shola-e-husn se tha dud-e-dil apna awwal

aag duniya mein na aai thi ki sozan hum the

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now