Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Taleef Haidar's Photo'

Taleef Haidar

1987 | Delhi, India

Sher of Taleef Haidar

271
Favorite

SORT BY

safar bas kār-e-zindagī hai

azaab kyā hai savāb kyā hai

safar hi bas kar-e-zindagi hai

azab kya hai sawab kya hai

vo ek lamha jise tum ne muḳhtasar jaanā

ham aaise lamhe meñ ik dāstāñ banāte haiñ

wo ek lamha jise tum ne muKHtasar jaana

hum aaise lamhe mein ek dastan banate hain

ye shahr apnī isī hāv-hū se zinda hai

tumhārī aur mirī guftugū se zinda hai

ye shahr apni isi haw-hu se zinda hai

tumhaari aur meri guftugu se zinda hai

inkār bhī karne bahāna nahīñ miltā

iqrār bhī karne mazā dekh rahe haiñ

inkar bhi karne ka bahana nahin milta

iqrar bhi karne ka maza dekh rahe hain

ḳhudā vajūd meñ hai aadmī ke hone se

aur aadmī tasalsul ḳhudā se qaa.em hai

KHuda wajud mein hai aadmi ke hone se

aur aadmi ka tasalsul KHuda se qaem hai

use kahāñ hameñ qaidī banā ke rakhnā thā

hamīñ ko shauq nahīñ thā kabhī rihā.ī

use kahan hamein qaidi bana ke rakhna tha

hamin ko shauq nahin tha kabhi rihai ka

ḳhirad nahīñ hai yahāñ bas junūn saudā

ham is junūn se aage makāñ banāte haiñ

KHirad nahin hai yahan bas junun ka sauda

hum is junun se aage makan banate hain

is tarah tujhe ishq kiyā hai ki ye duniyā

ham ko kahīñ ishq hāsil na banā de

is tarah tujhe ishq kiya hai ki ye duniya

hum ko hi kahin ishq ka hasil na bana de

kis ā.ankhoñ nasha hai ki mire hoñToñ ko

is qadar tar nahīñ kar saktī balā-noshī bhī

kis ki aaankhon ka nasha hai ki mere honTon ko

is qadar tar nahin kar sakti bala-noshi bhi

aksar mire sheroñ sanā karte rahe haiñ

vo log jo ġhālib ke taraf-dār nahīñ haiñ

aksar mere sheron ki sana karte rahe hain

wo log jo ghaalib ke taraf-dar nahin hain

to kyuuñ is baar us ne mere aage sar jhukāyā hai

use to aaj bhī mushkil na thā inkār kar denā

to kyun is bar us ne mere aage sar jhukaya hai

use to aaj bhi mushkil na tha inkar kar dena

ye terā divāna raat ga.e mālūm nahīñ kyuuñ pahroñ tak

aañsū lakīroñ se kitne naqsh-e-jazbāt banā.e hai

ye tera diwana raat gae malum nahin kyun pahron tak

aansu ki lakiron se kitne naqsh-e-jazbaat banae hai

bahut mushkil thā mujh ko raah hamvār kar denā

to maiñ ne tai kiyā is dasht ko dīvār kar denā

TRANSLATION

Difficult indeed was it for me to smoothen this road,

I then decided to turn this wilderness into roadblock.

Sagar Akbarabadi

bahut mushkil tha mujh ko rah ka hamwar kar dena

to main ne tai kiya is dasht ko diwar kar dena

TRANSLATION

Difficult indeed was it for me to smoothen this road,

I then decided to turn this wilderness into roadblock.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now