Sher of Waseem Haidar
suntā rahtā huuñ to vo kuchh bhī kahe jaatā hai
us ko lagtā hai ki me'yār yahī hai apnā
sunta rahta hun to wo kuchh bhi kahe jata hai
us ko lagta hai ki me'yar yahi hai apna
ḳhushbūoñ kā nuzūl hotā thā
pahle pattā bhī phuul hotā thā
KHushbuon ka nuzul hota tha
pahle patta bhi phul hota tha
mire ḳhamīr pe saarī hī sarf ho ga.ī thī
phir us ke baa'd udāsī na.ī banā.ī ga.ī
mere KHamir pe sari hi sarf ho gai thi
phir us ke ba'd udasi nai banai gai
tujh ko ho mere lams kī ḳhvāhish shadīd-tar
tujh se tamām 'umr mirā sāmnā na ho
tujh ko ho mere lams ki KHwahish shadid-tar
tujh se tamam 'umr mera samna na ho
havas na puurī huī jab kahīñ to 'ilm huā
tire badan kā rahā mujh ko aasrā baḌī der
hawas na puri hui jab kahin to 'ilm hua
tere badan ka raha mujh ko aasra baDi der
phir tirī muḳhtārī-e-'ālam kā kyā
maiñ ne tujh se kuchh nahīñ māñgā agar
phir teri muKHtari-e-'alam ka kya
main ne tujh se kuchh nahin manga agar
marte vaqt farishta bole
camera dekh ke haath hilā.eñ
marte waqt farishta bole
camera dekh ke hath hilaen
qaid kartā huuñ hasrateñ dil meñ
phir inheñ ḳhud-kushī sikhātā huuñ
qaid karta hun hasraten dil mein
phir inhen KHud-kushi sikhata hun
maiñ vo patthar huuñ ki vahshat meñ uThā kar jis ko
be-sabab yūñhī kahīñ pheñk diyā jaatā hai
main wo patthar hun ki wahshat mein uTha kar jis ko
be-sabab yunhi kahin phenk diya jata hai
ham du'ā ko haath uThā.e giḌgiḌāte rah ga.e
tum ne tanzan bhī agar kuchh baat kī puurī huī
hum du'a ko hath uThae giDgiDate rah gae
tum ne tanzan bhi agar kuchh baat ki puri hui
ab vo achchhā mujhe pasand nahīñ
jo burā bhī qubūl hotā thā
ab wo achchha mujhe pasand nahin
jo bura bhi qubul hota tha