SEARCH RESULTS
Showing search results for "زبان"
Ghazal MATCHES FOR "زبان"
Ghazal
tumhe.n pataa to chale be-zabaan chiiz kaa dukh
mai.n ab charaaG kii lau hii nahii.n banaa.uu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
vahii ik KHamosh naGma hai 'shakiil' jaan-e-hastii
jo zabaan par na aa.e jo kalaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Ghazal
zabaan-e-KHaar se niklii sadaa-e-bismillaah
junuu.n ko jab sar-e-shoriida par savaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
yahii vo shahr jo mere labo.n se boltaa thaa
yahii vo shahr jo merii zabaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
payaambar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte
Haidar Ali Aatish
Ghazal
vo aadmii milaa thaa mujhe us kii baat se
aisaa lagaa ki vo bhii bahut be-zabaan hai
Dushyant Kumar
Ghazal
dilbarii Thahraa zabaan-e-KHalq khulvaane kaa naam
ab nahii.n lete parii-ruu zulf bikhraane kaa naam
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
sar-taa-qadam zabaan hai.n juu.n sham.a go ki ham
par ye kahaa.n majaal jo kuchh guftuguu kare.n
Khwaja Meer Dard
Ghazal
jise zabaan-e-KHirad me.n sharaab kahte hai.n
vo raushnii sii pilaa.o ba.Daa a.ndheraa hai
Saghar Siddiqui
Ghazal
kholii to hai zabaan magar is kii kyaa bisaat
mai.n zahr kii dukaa.n na hu.aa kuchh nahii.n hu.aa
Jaun Eliya
Ghazal
ajiib log hai.n dil me.n KHudaa se munkir hai.n
magar zabaan se zikr-e-KHudaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Ghazal
akele Gam se na.ii shaa.irii nahii.n hotii
zabaan-e-'miir' me.n 'Gaalib' kaa imtizaaj bhii ho
Nida Fazli
Ghazal
ye haa.e haa.e maz.haka-a.ngez hai to ho
dil se uThe zabaan jalaa.e to kyaa karuu.n
Hafeez Jalandhari
Ghazal
javaab de nahii.n saktii zabaan-e-shauq mirii
kuchh is adaa se ko.ii ham-kalaam hotaa hai