SEARCH RESULTS
Showing search results for "پہچان"
Ghazal MATCHES FOR "پہچان"
Ghazal
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
Sahir Ludhianvi
Ghazal
ai dil tujhe dushman kii bhii pahchaan kahaa.n hai
tuu halqa-e-yaaraa.n me.n bhii mohtaat rahaa kar
Mohsin Naqvi
Ghazal
tum ye kahte ho ki mai.n Gair huu.n phir bhii shaayad
nikal aa.e ko.ii pahchaan zaraa dekh to lo
Javed Akhtar
Ghazal
mai.n jin ko jaan ke pahchaan bhii nahii.n saktaa
kuchh aise log miraa ghar jalaane vaale the
Waseem Barelvi
Ghazal
go naama-bar se KHush na hu.aa par hazaar shukr
mujh ko vo mere naam se pahchaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
KHud ko pahchaan ke dekhe to zaraa ye dariyaa
bhuul jaa.egaa samundar kii taraf jaanaa bhii
Waseem Barelvi
Ghazal
mumkin hai hame.n gaa.nv bhii pahchaan na paa.e
bachpan me.n hii ham ghar se kamaane nikal aa.e
Munawwar Rana
Ghazal
paas rah kar bhii na pahchaan sakaa tuu mujh ko
duur se dekh ke ab haath hilaataa kyaa hai
Shahzad Ahmad
Ghazal
parkhe.nge ek ek ko le kar tumhaaraa naam
dushman hai kaun dost hai pahchaan jaa.e.nge
Ali Zaryoun
Ghazal
jab 'shaariq' pahchaan ga.e manzil kii haqiiqat
phir raste ko raste bhar uljhaayaa ham ne
Shariq Kaifi
Ghazal
KHaas sa.Dke.n band hai.n tab se marammat ke liye
ye hamaare vaqt kii sab se sahii pahchaan hai
Dushyant Kumar
Ghazal
dekhnaa kyaa hai nazar-andaaz karnaa hai kise
manzaro.n kii KHud-ba-KHud pahchaan hotii jaa.egii
Ameer Imam
Ghazal
ab to shahro.n se KHabar aatii hai diivaano.n kii
ko.ii pahchaan hii baaqii nahii.n viiraano.n kii