SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़साना"
Ghazal MATCHES FOR "फ़साना"
Ghazal
baavajuud-e-iddi.aa-e-ittiqaa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-havas kaa vo fasaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Ghazal
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
ham KHuld se nikal to ga.e hai.n par ai KHudaa
itne se vaaqiye kaa fasaana bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Ghazal
fasaana-e-shab-e-Gam un ko ik kahaanii thii
kuchh e'tibaar kiyaa kuchh na e'tibaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Qateel Shifai
Ghazal
ko.ii aisaa ahl-e-dil ho ki fasaana-e-mohabbat
mai.n use sunaa ke ro.uu.n vo mujhe sunaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Ghazal
tum bhii mu.nh chuum lo be-saaKHta pyaar aa jaa.e
mai.n sunaa.uu.n jo kabhii dil se fasaanaa dil kaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
sun.ne vaale ghanTo.n sunte rahte hai.n
meraa fasaana sab kaa fasaanaa lagtaa hai
Kaif Bhopali
Ghazal
KHushaa ishaara-e-paiham zahe sukuut-e-nazar
daraaz ho ke fasaana hai muKHtasar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
fasaana-go bhii kare kyaa ki har ko.ii sar-e-bazm
ma.aal-e-qissa-e-dil dardnaak chaahtaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
kahte hai.n kyaa hii maze kaa hai fasaana 'faanii'
aap kii jaan se duur aap ke mar jaane kaa
Fani Badayuni
Ghazal
hai.n merii zaat se mansuub sad fasaana-e-ishq
aur ek satr bhii ab tak nahii.n likhii mai.n ne
Jaun Eliya
Ghazal
mai.n jis ko likhne ke armaan me.n jiyaa ab tak
varaq varaq vo fasaana bikhar gayaa yaaro
Shahryar
Ghazal
Garaz ki puuchhte kyaa ho ma.aal-e-soKHtagaa.n
tamaam jalnaa jalaanaa fasaana ho gayaa hai
Irfan Siddiqi
Ghazal
sansaar kii har shai kaa itnaa hii fasaana hai
ik dhund se aanaa hai ik dhund me.n jaanaa hai
Sahir Ludhianvi
Ghazal
jo kahii ga.ii na mujh se vo zamaana kah rahaa hai
ki fasaana ban ga.ii hai mirii baat Talte Talte
Kaifi Azmi
Ghazal
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
tamaam rang mire aur saare KHvaab mire
fasaana the ki fasaana banaa gayaa ik shaKHs