SEARCH RESULTS
Showing search results for "tasaadum"
Ghazal MATCHES FOR "tasaadum"
Ghazal
sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa.n me.n
pala.ng zaaviye us kii kamar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
tez qadmo.n se chalo aur tasaadum se bacho
bhii.D me.n sust chaloge to kuchal jaa.oge
Iqbal Azeem
Ghazal
markaz-e-diida-o-dil teraa tasavvur thaa kabhii
aaj is baat pe kitnii ha.nsii aatii hai hame.n
Shahryar
Ghazal
lihaaz-e-hurmat-e-paimaa.n na paas-e-ham-KHvaabii
ajab tarah ke tasaadum the aashnaa.ii me.n bhii
Iftikhar Arif
Ghazal
aa.nkho.n ke tasaadum me.n hikaayaat kii duniyaa
ho.nTo.n ke tasaadum me.n KHaraabaat kaa aalam
Abdul Hamid Adam
Ghazal
Mohsin Asrar
Ghazal
shaah-zaadii jo kabuutar hai tire haatho.n me.n
do qabiilo.n ko tasaadum se bachaa saktaa hai
Jahanzeb Sahir
Ghazal
hama-girya silk-e-shabnam hama-ashk bazm-e-anjum
jo na gul bhii muskuraa.e to kahaa.n rahe tabassum
Nushur Wahidi
Ghazal
abhii yahaa.n to shafaq-guu.n ko.ii ufuq hii nahii.n
abhii tasaadum-e-lail-o-nahaar baaqii hai
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
musaalahat bhii nahii.n hai sarisht me.n apnii
magar kisii se tasaadum kaa hausla bhii nahii.n
Khursheed Rizvi
Ghazal
ham sab hai.n raahgiir tasaadum kaa kyaa sabab
duniyaa hai shaahraah kuchh aisii galii nahii.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
tasaadum ke alaava an-ginat zimnii masaa.il hai.n
tirii hastii se vaabasta hamaare saamne mat aa
Hamida Shaheen
Ghazal
un nigaaho.n ke tasaadum se jo chingaarii uThe
'ishq us kaa naam hai ye 'ishq kaa mafhuum hai