hamāre shahr ke logoñ kā ab ahvāl itnā hai
kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā
hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
-
Tag : aKHbaar
ham to raat kā matlab samjheñ ḳhvāb, sitāre, chāñd, charāġh
aage kā ahvāl vo jaane jis ne raat guzārī ho
hum to raat ka matlab samjhen KHwab, sitare, chand, charagh
aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho
-
Tag : Raat
arz-e-ahvāl ko gilā samjhe
kyā kahā maiñ ne aap kyā samjhe
the mention of my condition was a complaint thought to be
what was it I said to you, you did not follow me
arz-e-ahwal ko gila samjhe
kya kaha main ne aap kya samjhe
the mention of my condition was a complaint thought to be
what was it I said to you, you did not follow me
na mujh ko kahne kī tāqat kahūñ to kyā ahvāl
na us ko sunñe kī fursat kahūñ to kis se kahūñ
na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahwal
na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun
haal hamārā pūchhne vaale
kyā batlā.eñ sab achchhā hai
haal hamara puchhne wale
kya batlaen sab achchha hai
'ġhālib' tirā ahvāl sunā deñge ham un ko
vo sun ke bulā leñ ye ijārā nahīñ karte
'ghaalib' tera ahwal suna denge hum un ko
wo sun ke bula len ye ijara nahin karte
ahvāl kyā bayāñ maiñ karūñ haa.e ai tabīb
hai dard us jagah ki jahāñ kā nahīñ ilaaj
ahwal kya bayan main karun hae ai tabib
hai dard us jagah ki jahan ka nahin ilaj
ahvāl dekh kar mirī chashm-e-pur-āb kā
dariyā se aaj TuuT gayā dil habāb kā
ahwal dekh kar meri chashm-e-pur-ab ka
dariya se aaj TuT gaya dil habab ka
-
Tag : Girya-o-zari
hamāre zāhirī ahvāl par na jā ham log
qayām apne ḳhad-o-ḳhāl meñ nahīñ karte
hamare zahiri ahwal par na ja hum log
qayam apne KHad-o-KHal mein nahin karte
hosh uḌ jā.eñge ai zulf-e-pareshāñ tere
gar maiñ ahvāl likhā apnī pareshānī kā
hosh uD jaenge ai zulf-e-pareshan tere
gar main ahwal likha apni pareshani ka
tū ne kyā dekhā nahīñ gul kā pareshāñ ahvāl
ġhuncha kyuuñ aiñThā huā rahtā hai zardār kī tarah
tu ne kya dekha nahin gul ka pareshan ahwal
ghuncha kyun ainTha hua rahta hai zardar ki tarah