kuchh ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirī yaad meñ bedār rahā
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone wale
raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha
-
Tags : Hijrand 2 more
uqābī ruuh jab bedār hotī hai javānoñ meñ
nazar aatī hai un ko apnī manzil āsmānoñ meñ
uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein
yaar ko maiñ ne mujhe yaar ne sone na diyā
raat bhar tāla-e-bedār ne sone na diyā
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya
hijr ik vaqfa-e-bedār hai do nīñdoñ meñ
vasl ik ḳhvāb hai jis kī koī ta.abīr nahīñ
hijr ek waqfa-e-bedar hai do nindon mein
wasl ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin
-
Tags : Hijrand 1 more
jo sote haiñ nahīñ kuchh zikr un kā vo to sote haiñ
magar jo jāgte haiñ un meñ bhī bedār kitne haiñ
jo sote hain nahin kuchh zikr un ka wo to sote hain
magar jo jagte hain un mein bhi bedar kitne hain
-
Tag : Sawal
ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastī ye vīrāna
sabhī bedār haiñ insāñ agar bedār ho jaa.e
ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana
sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae
vasl kī raat ḳhushī ne mujhe sone na diyā
maiñ bhī bedār rahā tāle-e-bedār ke saath
wasl ki raat KHushi ne mujhe sone na diya
main bhi bedar raha tale-e-bedar ke sath
koī to raat ko dekhegā javāñ hote hue
is bhare shahr meñ bedār koī to hogā
koi to raat ko dekhega jawan hote hue
is bhare shahr mein bedar koi to hoga
vo shor hotā hai ḳhvāboñ meñ 'āftāb' 'husain'
ki ḳhud ko niind se bedār karne lagtā huuñ
wo shor hota hai KHwabon mein 'aftab' 'husain'
ki KHud ko nind se bedar karne lagta hun
tirī zulf kī shab kā bedār maiñ huuñ
tujh āñkhoñ ke sāġhar kā mai-ḳhvār maiñ huuñ
teri zulf ki shab ka bedar main hun
tujh aankhon ke saghar ka mai-KHwar main hun
mahfil-e-ishq meñ vo nāzish-e-daurāñ aayā
ai gadā ḳhvāb se bedār ki sultāñ aayā
mahfil-e-ishq mein wo nazish-e-dauran aaya
ai gada KHwab se bedar ki sultan aaya
na-jāne kaisī nigāhoñ se maut ne dekhā
huī hai niiñd se bedār zindagī ki maiñ huuñ
na-jaane kaisi nigahon se maut ne dekha
hui hai nind se bedar zindagi ki main hun
ab jis dil-e-ḳhvābīda kī khultī nahīñ āñkheñ
rātoñ ko sirhāne mire bedār yahī thā
ab jis dil-e-KHwabida ki khulti nahin aankhen
raaton ko sirhane mere bedar yahi tha
mahv-e-liqā jo haiñ malakūtī-ḳhisāl haiñ
bedār ho ke bhī nazar aate haiñ ḳhvāb meñ
mahw-e-liqa jo hain malakuti-KHisal hain
bedar ho ke bhi nazar aate hain KHwab mein