Sher on Rekhta
Rekhta is one of the
old names of the Urdu language. Literally, it stands for blending or amalgamation. Since Urdu, as a language, came into being as a result of the blending of many languages, it was called Rekhta. Here you have some shers where this language has been known with its old name--Rekhta.
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
guftugū reḳhte meñ ham se na kar
ye hamārī zabān hai pyāre
guftugu reKHte mein hum se na kar
ye hamari zaban hai pyare
paḌhte phireñge galiyoñ meñ in reḳhtoñ ko log
muddat raheñgī yaad ye bāteñ hamāriyāñ
paDhte phirenge galiyon mein in reKHton ko log
muddat rahengi yaad ye baaten hamariyan
ab na 'ġhālib' se shikāyat hai na shikva 'mīr' kā
ban gayā maiñ bhī nishāna reḳhta ke tiir kā
ab na 'ghaalib' se shikayat hai na shikwa 'mir' ka
ban gaya main bhi nishana reKHta ke tir ka
jo ye kahe ki reḳhta kyūñke ho rashk-e-fārsī
gufta-e-'ġhālib' ek baar paḌh ke use sunā ki yuuñ
jo ye kahe ki reKHta kyunke ho rashk-e-farsi
gufta-e-'ghaalib' ek bar paDh ke use suna ki yun
yaar ke aage paḌhā ye reḳhta jā kar 'nazīr'
sun ke bolā vāh-vāh achchhā kahā achchhā kahā
yar ke aage paDha ye reKHta ja kar 'nazir'
sun ke bola wah-wah achchha kaha achchha kaha
jā paḌe chup ho ke jab shahr-e-ḳhamoshāñ meñ 'nazīr'
ye ġhazal ye reḳhta ye sher-ḳhvānī phir kahāñ
ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein 'nazir'
ye ghazal ye reKHta ye sher-KHwani phir kahan
reḳhta-goī kī buniyād 'valī' ne Daalī
ba.ad-azāñ ḳhalq ko 'mirzā' se hai aur 'mīr' se faiz
reKHta-goi ki buniyaad 'wali' ne Dali
baad-azan KHalq ko 'mirza' se hai aur 'mir' se faiz
'qā.em' jo kaheñ haiñ fārsī yaar
is se to ye reḳhta hai behtar
'qaem' jo kahen hain farsi yar
is se to ye reKHta hai behtar
kyā reḳhta kam hai 'mus.hafī' kā
bū aatī hai is meñ fārsī kī
kya reKHta kam hai 'mushafi' ka
bu aati hai is mein farsi ki
ye nazm-e-ā.īñ ye tarz-e-bandish suḳhanvarī hai fusūñ-garī hai
ki reḳhta meñ bhī tere 'shiblī' maza hai tarz-e-'alī-hazīñ' kā
ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish suKHanwari hai fusun-gari hai
ki reKHta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka
muue ne muñh kī khaa.ī phir bhī ye zor zorī
ye reḳhtī hai bhaa.ī tum reḳhta to jaano
mue ne munh ki khai phir bhi ye zor zori
ye reKHti hai bhai tum reKHta to jaano
āñkheñ na churā 'mus.hafī'-e-reḳhta-go se
ik umr se terā hai sanā-ḳhvān idhar dekh
aankhen na chura 'mushafi'-e-reKHta-go se
ek umr se tera hai sana-KHwan idhar dekh
ai 'mus.hafī' ustād-e-fan-e-reḳhta-goī
tujh sā koī aalam ko maiñ chhānā nahīñ miltā
ai 'mushafi' ustad-e-fan-e-reKHta-goi
tujh sa koi aalam ko main chhana nahin milta
qaa.em maiñ ġhazal taur kiyā reḳhta varna
ik baat lachar sī ba-zabān-e-dakanī thī
qaem main ghazal taur kiya reKHta warna
ek baat lachar si ba-zaban-e-dakani thi
reḳhta ke qasr kī buniyād uThā.ī ai 'nasīr'
kaam hai mulk-e-suḳhan meñ sāhib-e-maqdūr kā
reKHta ke qasr ki buniyaad uThai ai 'nasir'
kaam hai mulk-e-suKHan mein sahib-e-maqdur ka
'qā.em' maiñ reḳhta ko diyā ḳhil.at-e-qubūl
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyā kamāl thā
'qaem' main reKHta ko diya KHilat-e-qubul
warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha
kyuuñ na aa kar us ke sunñe ko kareñ sab yaar bhiiḌ
'ābrū' ye reḳhta tū niiñ kahā hai dhuum kā
kyun na aa kar us ke sunne ko karen sab yar bhiD
'abru' ye reKHta tu nin kaha hai dhum ka
'mus.hafī' garche ye sab kahte haiñ ham se behtar
apnī par reḳhta-goī kī zabāñ aur hī hai
'mushafi' garche ye sab kahte hain hum se behtar
apni par reKHta-goi ki zaban aur hi hai
pech de de lafz o ma.anī ko banāte haiñ kulaft
aur vo phir us pe rakhte haiñ gumān-e-reḳhta
pech de de lafz o mani ko banate hain kulaft
aur wo phir us pe rakhte hain guman-e-reKHta
jab se ma.anī-bañdī kā charchā huā ai 'mus.hafī'
ḳhalte meñ jaatā rahā husn-e-zabān-e-reḳhta
jab se mani-bandi ka charcha hua ai 'mushafi'
KHalte mein jata raha husn-e-zaban-e-reKHta
tab.a kah aur ġhazal, hai ye 'nazīrī' kā javāb
reḳhta ye jo paḌhā qābil-e-iz.hār na thā
taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab
reKHta ye jo paDha qabil-e-izhaar na tha