Kyun bujh gaya aawargii: Mohsin Naqvi
Mohsin Naqvi is an acclaimed poet in Urdu literature. His ghazals have been sung by numerous singers. .Read the collection of his famous couplets.
har vaqt kā hañsnā tujhe barbād na kar de
tanhā.ī ke lamhoñ meñ kabhī ro bhī liyā kar
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar
sirf hāthoñ ko na dekho kabhī āñkheñ bhī paḌho
kuchh savālī baḌe ḳhuddār huā karte haiñ
sirf hathon ko na dekho kabhi aankhen bhi paDho
kuchh sawali baDe KHuddar hua karte hain
kal thake-hāre parindoñ ne nasīhat kī mujhe
shaam Dhal jaa.e to 'mohsin' tum bhī ghar jaayā karo
kal thake-haare parindon ne nasihat ki mujhe
sham Dhal jae to 'mohsin' tum bhi ghar jaya karo
vafā kī kaun sī manzil pe us ne chhoḌā thā
ki vo to yaad hameñ bhuul kar bhī aatā hai
wafa ki kaun si manzil pe us ne chhoDa tha
ki wo to yaad hamein bhul kar bhi aata hai
kitne lahjoñ ke ġhilāfoñ meñ chhupā.ūñ tujh ko
shahr vaale mirā mauzū-e-suḳhan jānte haiñ
kitne lahjon ke ghilafon mein chhupaun tujh ko
shahr wale mera mauzu-e-suKHan jaante hain
ab tak mirī yādoñ se miTā.e nahīñ miTtā
bhīgī huī ik shaam kā manzar tirī āñkheñ
ab tak meri yaadon se miTae nahin miTta
bhigi hui ek sham ka manzar teri aankhen
-
Tag : Eyes
ye kis ne ham se lahū kā ḳhirāj phir māñgā
abhī to so.e the maqtal ko surḳh-rū kar ke
ye kis ne hum se lahu ka KHiraj phir manga
abhi to soe the maqtal ko surKH-ru kar ke
kahāñ milegī misāl merī sitamgarī kī
ki maiñ gulāboñ ke zaḳhm kāñToñ se sī rahā huuñ
kahan milegi misal meri sitamgari ki
ki main gulabon ke zaKHm kanTon se si raha hun
ab ke bārish meñ to ye kār-e-ziyāñ honā hī thā
apnī kachchī bastiyoñ ko be-nishāñ honā hī thā
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
-
Tag : Barish
jo de sakā na pahāḌoñ ko barf kī chādar
vo merī bāñjh zamīñ ko kapās kyā degā
jo de saka na pahaDon ko barf ki chadar
wo meri banjh zamin ko kapas kya dega
mausam-e-zard meñ ek dil ko bachā.ūñ kaise
aisī rut meñ to ghane peḌ bhī jhaḌ jaate haiñ
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise
aisi rut mein to ghane peD bhi jhaD jate hain
sunā hai shahar meñ zaḳhmī diloñ kā mela hai
chaleñge ham bhī magar pairahan rafū kar ke
suna hai shahar mein zaKHmi dilon ka mela hai
chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke
-
Tags : Diland 1 more
ham apnī dhartī se apnī har samt ḳhud talāsheñ
hamārī ḳhātir koī sitāra nahīñ chalegā
hum apni dharti se apni har samt KHud talashen
hamari KHatir koi sitara nahin chalega
palaT ke aa ga.ī ḳheme kī samt pyaas mirī
phaTe hue the sabhī bādaloñ ke mashkīze
palaT ke aa gai KHeme ki samt pyas meri
phaTe hue the sabhi baadalon ke mashkize
vo mujh se baḌh ke zabt kā aadī thā jī gayā
varna har ek saañs qayāmat use bhī thī
wo mujh se baDh ke zabt ka aadi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
baḌī umr ke ba.ad in āñkhoñ meñ koī abr utrā tirī yādoñ kā
mire dil kī zamīñ ābād huī mire ġham kā nagar shādāb huā
baDi umr ke baad in aankhon mein koi abr utra teri yaadon ka
mere dil ki zamin aabaad hui mere gham ka nagar shadab hua
-
Tags : Diland 1 more
dasht-e-hastī meñ shab-e-ġham kī sahar karne ko
hijr vāloñ ne liyā raḳht-e-safar sannāTā
dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sahar karne ko
hijr walon ne liya raKHt-e-safar sannaTa
chuntī haiñ mere ashk rutoñ kī bhikāraneñ
'mohsin' luTā rahā huuñ sar-e-ām chāñdnī
chunti hain mere ashk ruton ki bhikaranen
'mohsin' luTa raha hun sar-e-am chandni
jo apnī zaat se bāhar na aa sakā ab tak
vo pattharoñ ko matā-e-havās kyā degā
jo apni zat se bahar na aa saka ab tak
wo pattharon ko mata-e-hawas kya dega
Dhalte sūraj kī tamāzat ne bikhar kar dekhā
sar-kashīda mirā saayā saf-e-ashjār ke biich
Dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
sar-kashida mera saya saf-e-ashjar ke bich
-
Tag : Saya