patta patta butaa butaa haal hamara jaane hai: meer taqi meer
The 300th birth anniversary of Meer Taqi Meer is approaching, and to celebrate his life and poetry, Rekhta is paying tribute to him, dedicating this entire week to his works. As the first episode of this series, we present this collection of handpicked couplets from Meer Sahab's garden of poetry.
nāzukī us ke lab kī kyā kahiye
pañkhuḌī ik gulāb kī sī hai
nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhuDi ek gulab ki si hai
-
Tags : Famous shayariand 1 more
aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
be-ḳhudī le ga.ī kahāñ ham ko
der se intizār hai apnā
be-KHudi le gai kahan hum ko
der se intizar hai apna
hamāre aage tirā jab kisū ne naam liyā
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyā
hamare aage tera jab kisu ne nam liya
dil-e-sitam-zada ko hum ne tham tham liya
dikhā.ī diye yuuñ ki be-ḳhud kiyā
hameñ aap se bhī judā kar chale
dikhai diye yun ki be-KHud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale
ham jānte to ishq na karte kisū ke saath
le jaate dil ko ḳhaak meñ is aarzū ke saath
had I known the outcome, to love would not aspire
would gladly turn this heart to dust with unfulfilled desire
hum jaante to ishq na karte kisu ke sath
le jate dil ko KHak mein is aarzu ke sath
had I known the outcome, to love would not aspire
would gladly turn this heart to dust with unfulfilled desire
guftugū reḳhte meñ ham se na kar
ye hamārī zabān hai pyāre
guftugu reKHte mein hum se na kar
ye hamari zaban hai pyare
le saañs bhī āhista ki nāzuk hai bahut kaam
āfāq kī is kārgah-e-shīshagarī kā
breathe here softly as with fragility here all is fraught
in this workshop of the world where wares of glass are wrought
le sans bhi aahista ki nazuk hai bahut kaam
aafaq ki is kargah-e-shishagari ka
breathe here softly as with fragility here all is fraught
in this workshop of the world where wares of glass are wrought
-
Tag : Besabati
kin nīndoñ ab tū sotī hai ai chashm-e-girya-nāk
mizhgāñ to khol shahr ko sailāb le gayā
kin nindon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-nak
mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya
jam gayā ḳhuuñ kaf-e-qātil pe tirā 'mīr' zi-bas
un ne ro ro diyā kal haath ko dhote dhote
jam gaya KHun kaf-e-qatil pe tera 'mir' zi-bas
un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote
kuchh ho rahegā ishq-o-havas meñ bhī imtiyāz
aayā hai ab mizāj tirā imtihān par
kuchh ho rahega ishq-o-hawas mein bhi imtiyaz
aaya hai ab mizaj tera imtihan par
ham na kahte the ki naqsh us kā nahīñ naqqāsh sahl
chāñd saarā lag gayā tab nīm-ruḳh sūrat huī
hum na kahte the ki naqsh us ka nahin naqqash sahl
chand sara lag gaya tab nim-ruKH surat hui
-
Tag : Husn
masā.ib aur the par dil kā jaanā
ajab ik sāneha sā ho gayā hai
masaib aur the par dil ka jaana
ajab ek saneha sa ho gaya hai
ab ke junūñ meñ fāsla shāyad na kuchh rahe
dāman ke chaak aur girebāñ ke chaak meñ
any difference, in this madness, there may just not be
tween collar torn in sadness or clothes rent in penury
ab ke junun mein fasla shayad na kuchh rahe
daman ke chaak aur gireban ke chaak mein
any difference, in this madness, there may just not be
tween collar torn in sadness or clothes rent in penury
ham faqīroñ se be-adā.ī kyā
aan baiThe jo tum ne pyaar kiyā
hum faqiron se be-adai kya
aan baiThe jo tum ne pyar kiya
bāl-o-par bhī ga.e bahār ke saath
ab tavaqqo.a nahīñ rihā.ī kī
baal-o-par bhi gae bahaar ke sath
ab tawaqqoa nahin rihai ki
aalam aalam ishq-o-junūñ hai duniyā duniyā tohmat hai
dariyā dariyā rotā huuñ maiñ sahrā sahrā vahshat hai
aalam aalam ishq-o-junun hai duniya duniya tohmat hai
dariya dariya rota hun main sahra sahra wahshat hai
āfāq kī manzil se gayā kaun salāmat
asbāb luTā raah meñ yaañ har safarī kā
from worlds of these horizons who did ever safe depart?
way-laid and empty handed each traveller did part
aafaq ki manzil se gaya kaun salamat
asbab luTa rah mein yan har safari ka
from worlds of these horizons who did ever safe depart?
way-laid and empty handed each traveller did part
kahnā thā kisū se kuchh taktā thā kisū kā muñh
kal 'mīr' khaḌā thā yaañ sach hai ki divāna thā
kahna tha kisu se kuchh takta tha kisu ka munh
kal 'mir' khaDa tha yan sach hai ki diwana tha
ijz-o-niyāz apnā apnī taraf hai saarā
is musht-e-ḳhāk ko ham masjūd jānte haiñ
ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara
is musht-e-KHak ko hum masjud jaante hain