Raahat Indori: Chaand Paagal Hai
Rahat Indori is one of the renowned urdu poets of our time. We find most of his couplets relatable . We've curated some of his couplets to celebrate life.
roz tāroñ ko numā.ish meñ ḳhalal paḌtā hai
chāñd pāgal hai añdhere meñ nikal paḌtā hai
roz taron ko numaish mein KHalal paDta hai
chand pagal hai andhere mein nikal paDta hai
sūraj sitāre chāñd mire saath meñ rahe
jab tak tumhāre haath mire haath meñ rahe
suraj sitare chand mere sath mein rahe
jab tak tumhaare hath mere hath mein rahe
raat kī dhaḌkan jab tak jaarī rahtī hai
sote nahīñ ham zimmedārī rahtī hai
raat ki dhaDkan jab tak jari rahti hai
sote nahin hum zimmedari rahti hai
so.e rahte haiñ oḌh kar ḳhud ko
ab zarūrat nahīñ razā.ī kī
soe rahte hain oDh kar KHud ko
ab zarurat nahin razai ki
sitāro aao mirī raah meñ bikhar jaao
ye merā hukm hai hālāñki kuchh nahīñ huuñ maiñ
sitaro aao meri rah mein bikhar jao
ye mera hukm hai haalanki kuchh nahin hun main
charāġhoñ kā gharānā chal rahā hai
havā se dostāna chal rahā hai
charaghon ka gharana chal raha hai
hawa se dostana chal raha hai
ab itnī saarī shaboñ kā hisāb kaun rakhe
baḌe savāb kamā.e ga.e javānī meñ
ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe
baDe sawab kamae gae jawani mein
jā-namāzoñ kī tarah nuur meñ ujlā.ī sahar
raat bhar jaise farishtoñ ne ibādat kī hai
ja-namazon ki tarah nur mein ujlai sahar
raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai
chāñd sūraj mirī chaukhaT pe ka.ī sadiyoñ se
roz likkhe hue chehre pe savāl aate haiñ
chand suraj meri chaukhaT pe kai sadiyon se
roz likkhe hue chehre pe sawal aate hain
shaam ne jab palkoñ pe ātish-dān liyā
kuchh yādoñ ne chuTkī meñ lobān liyā
sham ne jab palkon pe aatish-dan liya
kuchh yaadon ne chuTki mein loban liya