Top 10 couplets of Qayem Chandpuri
Prominent 18th century poet, contemporary of Mir Taqi Mir.
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
-
Tags : Baamand 2 more
zālim tū merī sāda-dilī par to rahm kar
rūThā thā tujh se aap hī aur aap man gayā
zalim tu meri sada-dili par to rahm kar
ruTha tha tujh se aap hi aur aap man gaya
ġhair se milnā tumhārā sun ke go ham chup rahe
par sunā hogā ki tum ko ik jahāñ ne kyā kahā
ghair se milna tumhaara sun ke go hum chup rahe
par suna hoga ki tum ko ek jahan ne kya kaha
kis baat par tirī maiñ karūñ e'tibār haa.e
iqrār yak taraf hai to inkār yak taraf
what should I believe of what you say to me
on one hand you refuse on the other you agree
kis baat par teri main karun e'tibar hae
iqrar yak taraf hai to inkar yak taraf
what should I believe of what you say to me
on one hand you refuse on the other you agree
chāheñ haiñ ye ham bhī ki rahe paak mohabbat
par jis meñ ye duurī ho vo kyā ḳhaak mohabbat
chahen hain ye hum bhi ki rahe pak mohabbat
par jis mein ye duri ho wo kya KHak mohabbat
TuuTā jo ka.aba kaun sī ye jā-e-ġham hai shaiḳh
kuchh qasr-e-dil nahīñ ki banāyā na jā.egā
TuTa jo kaba kaun si ye ja-e-gham hai shaiKH
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaya na jaega
mai kī tauba ko to muddat huī 'qā.em' lekin
be-talab ab bhī jo mil jaa.e to inkār nahīñ
mai ki tauba ko to muddat hui 'qaem' lekin
be-talab ab bhi jo mil jae to inkar nahin
har dam aane se maiñ bhī huuñ nādim
kyā karūñ par rahā nahīñ jaatā
har dam aane se main bhi hun nadim
kya karun par raha nahin jata
na jaane kaun sī saa.at chaman se bichhḌe the
ki aañkh bhar ke na phir sū-e-gulsitāñ dekhā
na jaane kaun si saat chaman se bichhDe the
ki aankh bhar ke na phir su-e-gulsitan dekha
nazar meñ ka.aba kyā Thahre ki yaañ dair
rahā hai muddatoñ maskan hamārā
nazar mein kaba kya Thahre ki yan dair
raha hai muddaton maskan hamara