Zindagi ki mithaas: on Chocolate Day
February 9 is celebrated as 'Chocolate Day'. On this day, lovers gift chocolates to each other to add sweetness and happiness to their relationship. On this occasion, check our Sher collection for the colors and flavors of life.
hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagī kyā chiiz hai
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya chiz hai
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
-
Tags : Aahatand 3 more
jo kahā maiñ ne ki pyaar aatā hai mujh ko tum par
hañs ke kahne lagā aur aap ko aatā kyā hai
laughing, she inquired when, I said "I love you"
is there anything else at all that you know to do
jo kaha main ne ki pyar aata hai mujh ko tum par
hans ke kahne laga aur aap ko aata kya hai
laughing, she inquired when, I said "I love you"
is there anything else at all that you know to do
ulfat meñ barābar hai vafā ho ki jafā ho
har baat meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb
gāliyāñ khā ke be-mazā na huā
how sweet are your honeyed lips, that even though my foe
was abused by you, is not, in an unhappy state
kitne shirin hain tere lab ki raqib
galiyan kha ke be-maza na hua
how sweet are your honeyed lips, that even though my foe
was abused by you, is not, in an unhappy state
-
Tag : Lab
ijāzat ho to maiñ tasdīq kar luuñ terī zulfoñ se
sunā hai zindagī ik ḳhūb-sūrat daam hai saaqī
ijazat ho to main tasdiq kar lun teri zulfon se
suna hai zindagi ek KHub-surat dam hai saqi
aañkh se aañkh milānā to suḳhan mat karnā
Tok dene se kahānī kā mazā jaatā hai
aankh se aankh milana to suKHan mat karna
Tok dene se kahani ka maza jata hai
-
Tag : Eyes
siine se lagā.eñ tumheñ armān yahī hai
jiine kā mazā hai to mirī jaan yahī hai
sine se lagaen tumhein arman yahi hai
jine ka maza hai to meri jaan yahi hai
tum se mil kar imlī mīThī lagtī hai
tum se bichhaḌ kar shahad bhī khārā lagtā hai
tum se mil kar imli miThi lagti hai
tum se bichhaD kar shahad bhi khaara lagta hai
-
Tags : Ishqand 1 more
dil meñ jo mohabbat kī raushnī nahīñ hotī
itnī ḳhūbsūrat ye zindagī nahīñ hotī
dil mein jo mohabbat ki raushni nahin hoti
itni KHubsurat ye zindagi nahin hoti
na sair-e-bāġh na milnā na mīThī bāteñ haiñ
ye din bahār ke ai jaan muft jaate haiñ
na sair-e-bagh na milna na miThi baaten hain
ye din bahaar ke ai jaan muft jate hain
hū-ba-hū aap hī kī mūrat hai
zindagī kitnī ḳhūb-sūrat hai
hu-ba-hu aap hi ki murat hai
zindagi kitni KHub-surat hai
dekhnā taqrīr kī lazzat ki jo us ne kahā
maiñ ne ye jaanā ki goyā ye bhī mere dil meñ hai
dekhna taqrir ki lazzat ki jo us ne kaha
main ne ye jaana ki goya ye bhi mere dil mein hai
tumhārā naam liyā thā kabhī mohabbat se
miThās us kī abhī tak mirī zabān meñ hai
tumhaara nam liya tha kabhi mohabbat se
miThas us ki abhi tak meri zaban mein hai
tere lab kī paḌī thī parchhā.īñ
mere lab meñ miThās ab tak hai
tere lab ki paDi thi parchhain
mere lab mein miThas ab tak hai
aisī pyārī shaam meñ jī bahlāne ko
paañv nikāle jā sakte haiñ chādar se
aisi pyari sham mein ji bahlane ko
panw nikale ja sakte hain chadar se
talḳh shikve lab-e-shīrīñ se maza dete haiñ
ghol kar shahd meñ vo zahr pilā dete haiñ
talKH shikwe lab-e-shirin se maza dete hain
ghol kar shahd mein wo zahr pila dete hain
maiñ tere zikr kī vaadī meñ sair kartā rahūñ
hamesha lab pe tire naam kī miThās rahe
main tere zikr ki wadi mein sair karta rahun
hamesha lab pe tere nam ki miThas rahe
ishq ke phande se bachiye ai 'haqīr'-e-ḳhasta-dil
is kā hai āġhāz shīrīñ aur hai anjām talḳh
ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-KHasta-dil
is ka hai aaghaz shirin aur hai anjam talKH
-
Tag : Ishq
guftugū meñ vo halāvat vo amal meñ iḳhlās
us kī hastī pe farishte kā gumāñ ho jaise
guftugu mein wo halawat wo amal mein iKHlas
us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise