Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Javed Akhtar's Photo'

Javed Akhtar

1945 | Mumbai, India

Bollywood screenwriter, lyricist and poet. Famous for co-writing films like 'Sholay' & 'Deewar'

Bollywood screenwriter, lyricist and poet. Famous for co-writing films like 'Sholay' & 'Deewar'

Sher of Javed Akhtar

43.9K
Favorite

SORT BY

maiñ sakā na kabhī is ḳhalish se chhuTkārā

vo mujh se jiit bhī saktā thā jaane kyuuñ haarā

main pa saka na kabhi is KHalish se chhuTkara

wo mujh se jit bhi sakta tha jaane kyun haara

us darīche meñ bhī ab koī nahīñ aur ham bhī

sar jhukā.e hue chup-chāp guzar jaate haiñ

us dariche mein bhi ab koi nahin aur hum bhi

sar jhukae hue chup-chap guzar jate hain

āgahī se milī hai tanhā.ī

aa mirī jaan mujh ko dhokā de

aagahi se mili hai tanhai

aa meri jaan mujh ko dhoka de

mujhe dushman se bhī ḳhuddārī ummīd rahtī hai

kisī bhī ho sar qadmoñ meñ sar achchhā nahīñ lagtā

mujhe dushman se bhi KHuddari ki ummid rahti hai

kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta

khulā hai dar pa tirā intizār jaatā rahā

ḳhulūs to hai magar e'tibār jaatā rahā

khula hai dar pa tera intizar jata raha

KHulus to hai magar e'tibar jata raha

kabhī ham ko yaqīñ thā zo.am thā duniyā hamārī jo muḳhālif ho to ho jaa.e magar tum mehrbāñ ho

hameñ ye baat vaise yaad to ab kyā hai lekin haañ ise yaksar bhulāne meñ abhī kuchh din lageñge

kabhi hum ko yaqin tha zoam tha duniya hamari jo muKHalif ho to ho jae magar tum mehrban ho

hamein ye baat waise yaad to ab kya hai lekin han ise yaksar bhulane mein abhi kuchh din lagenge

bahāna DhūñDte rahte haiñ koī rone

hameñ ye shauq hai kyā āstīñ bhigone

bahana DhunDte rahte hain koi rone ka

hamein ye shauq hai kya aastin bhigone ka

isī jagah isī din to huā thā ye elaan

añdhere haar ga.e zindabād hindostān

isi jagah isi din to hua tha ye elan

andhere haar gae zindabaad hindostan

ye zindagī bhī ajab kārobār hai ki mujhe

ḳhushī hai paane koī na rañj khone

ye zindagi bhi ajab karobar hai ki mujhe

KHushi hai pane ki koi na ranj khone ka

mujhe māyūs bhī kartī nahīñ hai

yahī aadat tirī achchhī nahīñ hai

mujhe mayus bhi karti nahin hai

yahi aadat teri achchhi nahin hai

agar palak pe hai motī to ye nahīñ kaafī

hunar bhī chāhiye alfāz meñ pirone

agar palak pe hai moti to ye nahin kafi

hunar bhi chahiye alfaz mein pirone ka

ġhalat bātoñ ko ḳhāmoshī se sunñā haamī bhar lenā

bahut haiñ fā.ede is meñ magar achchhā nahīñ lagtā

ghalat baaton ko KHamoshi se sunna hami bhar lena

bahut hain faede is mein magar achchha nahin lagta

ham to bachpan meñ bhī akele the

sirf dil galī meñ khele the

hum to bachpan mein bhi akele the

sirf dil ki gali mein khele the

yaad use bhī ek adhūrā afsāna to hogā

kal raste meñ us ne ham ko pahchānā to hogā

yaad use bhi ek adhura afsana to hoga

kal raste mein us ne hum ko pahchana to hoga

Dar ham ko bhī lagtā hai raste ke sannāTe se

lekin ek safar par ai dil ab jaanā to hogā

Dar hum ko bhi lagta hai raste ke sannaTe se

lekin ek safar par ai dil ab jaana to hoga

us ke bandoñ ko dekh kar kahiye

ham ko ummīd kyā ḳhudā se rahe

us ke bandon ko dekh kar kahiye

hum ko ummid kya KHuda se rahe

phir ḳhamoshī ne saaz chheḌā hai

phir ḳhayālāt ne añgḌā.ī

phir KHamoshi ne saz chheDa hai

phir KHayalat ne li angDai

pur-sukūñ lagtī hai kitnī jhiil ke paanī pe bat

pairoñ be-tābiyāñ paanī ke andar dekhiye

pur-sukun lagti hai kitni jhil ke pani pe bat

pairon ki be-tabiyan pani ke andar dekhiye

jidhar jaate haiñ sab jaanā udhar achchhā nahīñ lagtā

mujhe pāmāl rastoñ safar achchhā nahīñ lagtā

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta

mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta

ġhairoñ ko kab fursat hai dukh dene

jab hotā hai koī hamdam hotā hai

ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki

jab hota hai koi hamdam hota hai

ek ye din jab apnoñ ne bhī ham se naata toḌ liyā

ek vo din jab peḌ shāḳheñ bojh hamārā sahtī thiiñ

ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata toD liya

ek wo din jab peD ki shaKHen bojh hamara sahti thin

kal jahāñ dīvār thī hai aaj ik dar dekhiye

kyā samā.ī thī bhalā dīvāne ke sar dekhiye

kal jahan diwar thi hai aaj ek dar dekhiye

kya samai thi bhala diwane ke sar dekhiye

chhat kaḌiyoñ se utarte haiñ mire ḳhvāb magar

merī dīvāroñ se Takrā ke bikhar jaate haiñ

chhat ki kaDiyon se utarte hain mere KHwab magar

meri diwaron se Takra ke bikhar jate hain

thiiñ sajī hasrateñ dukānoñ par

zindagī ke ajiib mele the

thin saji hasraten dukanon par

zindagi ke ajib mele the

in charāġhoñ meñ tel kam thā

kyuuñ gila phir hameñ havā se rahe

in charaghon mein tel hi kam tha

kyun gila phir hamein hawa se rahe

hamāre shauq ye intihā thī

qadam rakkhā ki manzil rāstā thī

TRANSLATION

This was the climax of our passion,

I set foot, and path become destination.

Sagar Akbarabadi

hamare shauq ki ye intiha thi

qadam rakkha ki manzil rasta thi

TRANSLATION

This was the climax of our passion,

I set foot, and path become destination.

Sagar Akbarabadi

tum baiThe ho lekin jaate dekh rahā huuñ

maiñ tanhā.ī ke din aate dekh rahā huuñ

tum baiThe ho lekin jate dekh raha hun

main tanhai ke din aate dekh raha hun

maiñ bhuul jā.ūñ tumheñ ab yahī munāsib hai

magar bhulānā bhī chāhūñ to kis tarah bhūlūñ

main bhul jaun tumhein ab yahi munasib hai

magar bhulana bhi chahun to kis tarah bhulun

dukh ke jañgal meñ phirte haiñ kab se maare maare log

jo hotā hai sah lete haiñ kaise haiñ bechāre log

dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log

jo hota hai sah lete hain kaise hain bechaare log

zarā mausam to badlā hai magar peḌoñ shāḳhoñ par na.e pattoñ ke aane meñ abhī kuchh din lageñge

bahut se zard chehroñ par ġhubār-e-ġham hai kam be-shak par un ko muskurāne meñ abhī kuchh din lageñge

zara mausam to badla hai magar peDon ki shaKHon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge

bahut se zard chehron par ghubar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskurane mein abhi kuchh din lagenge

ik mohabbat ye tasvīr hai do rañgoñ meñ

shauq sab merā hai aur saarī hayā us hai

ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein

shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai

maiñ bachpan meñ khilaune toḌtā thā

mire anjām vo ibtidā thī

main bachpan mein khilaune toDta tha

mere anjam ki wo ibtida thi

dhuāñ jo kuchh gharoñ se uTh rahā hai

na puure shahar par chhā.e to kahnā

dhuan jo kuchh gharon se uTh raha hai

na pure shahar par chhae to kahna

yahī hālāt ibtidā se rahe

log ham se ḳhafā ḳhafā se rahe

yahi haalat ibtida se rahe

log hum se KHafa KHafa se rahe

aql ye kahtī hai duniyā miltī hai bāzār meñ

dil magar ye kahtā hai kuchh aur behtar dekhiye

aql ye kahti hai duniya milti hai bazar mein

dil magar ye kahta hai kuchh aur behtar dekhiye

us ā.ankhoñ meñ bhī kājal phail rahā hai

maiñ bhī muḌ ke jaate jaate dekh rahā huuñ

us ki aaankhon mein bhi kajal phail raha hai

main bhi muD ke jate jate dekh raha hun

har taraf shor usī naam hai duniyā meñ

koī us ko jo pukāre to pukāre kaise

har taraf shor usi nam ka hai duniya mein

koi us ko jo pukare to pukare kaise

maiñ qatl to ho gayā tumhārī galī meñ lekin

mire lahū se tumhārī dīvār gal rahī hai

main qatl to ho gaya tumhaari gali mein lekin

mere lahu se tumhaari diwar gal rahi hai

kabhī jo ḳhvāb thā vo liyā hai

magar jo kho ga.ī vo chiiz kyā thī

kabhi jo KHwab tha wo pa liya hai

magar jo kho gai wo chiz kya thi

koī shikva na ġham na koī yaad

baiThe baiThe bas aañkh bhar aa.ī

koi shikwa na gham na koi yaad

baiThe baiThe bas aankh bhar aai

ḳhuun se sīñchī hai maiñ ne jo zamīñ mar mar ke

vo zamīñ ek sitam-gar ne kahā us hai

KHun se sinchi hai main ne jo zamin mar mar ke

wo zamin ek sitam-gar ne kaha us ki hai

nekī ik din kaam aatī hai ham ko kyā samjhāte ho

ham ne be-bas marte dekhe kaise pyāre pyāre log

neki ek din kaam aati hai hum ko kya samjhate ho

hum ne be-bas marte dekhe kaise pyare pyare log

is shahr meñ jiine ke andāz nirāle haiñ

hoñToñ pe latīfe haiñ āvāz meñ chhāle haiñ

is shahr mein jine ke andaz nirale hain

honTon pe latife hain aawaz mein chhaale hain

tum ye kahte ho ki maiñ ġhair huuñ phir bhī shāyad

nikal aa.e koī pahchān zarā dekh to lo

tum ye kahte ho ki main ghair hun phir bhi shayad

nikal aae koi pahchan zara dekh to lo

tab ham donoñ vaqt churā kar laate the

ab milte haiñ jab bhī fursat hotī hai

tab hum donon waqt chura kar late the

ab milte hain jab bhi fursat hoti hai

ik khilaunā jogī se kho gayā thā bachpan meñ

DhūñDhtā phirā us ko vo nagar nagar tanhā

ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein

DhunDhta phira us ko wo nagar nagar tanha

sab ḳhushī se fāsla ek qadam hai

har ghar meñ bas ek kamra kam hai

sab ka KHushi se fasla ek qadam hai

har ghar mein bas ek hi kamra kam hai

hai paash paash magar phir bhī muskurātā hai

vo chehra jaise ho TuuTe hue khilaune

hai pash pash magar phir bhi muskuraata hai

wo chehra jaise ho TuTe hue khilaune ka

ūñchī imāratoñ se makāñ merā ghir gayā

kuchh log mere hisse sūraj bhī khā ga.e

unchi imaraton se makan mera ghir gaya

kuchh log mere hisse ka suraj bhi kha gae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now