Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muzaffar Warsi's Photo'

Muzaffar Warsi

1933 - 2011 | Lahore, Pakistan

Sher of Muzaffar Warsi

3.8K
Favorite

SORT BY

zindagī tujh se har ik saañs pe samjhautā karūñ

shauq jiine hai mujh ko magar itnā bhī nahīñ

zindagi tujh se har ek sans pe samjhauta karun

shauq jine ka hai mujh ko magar itna bhi nahin

vatan ret zarā eḌiyāñ ragaḌne de

mujhe yaqīñ hai ki paanī yahīñ se niklegā

watan ki ret zara eDiyan ragaDne de

mujhe yaqin hai ki pani yahin se niklega

kuchh na kahne se bhī chhin jaatā hai ejāz-e-suḳhan

zulm sahne se bhī zālim madad hotī hai

kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-suKHan

zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai

har shaḳhs par kiyā na karo itnā e'timād

har sāya-dār shai ko shajar mat kahā karo

har shaKHs par kiya na karo itna e'timad

har saya-dar shai ko shajar mat kaha karo

jabhī to umr se apnī ziyāda lagtā huuñ

baḌā hai mujh se ka.ī saal tajraba merā

jabhi to umr se apni ziyaada lagta hun

baDa hai mujh se kai sal tajraba mera

pahle rag rag se mirī ḳhuun nichoḌā us ne

ab ye kahtā hai ki rañgat mirī piilī hai

pahle rag rag se meri KHun nichoDa us ne

ab ye kahta hai ki rangat hi meri pili hai

maiñ apne ghar meñ huuñ ghar se ga.e huoñ tarah

mire sāmne hotā hai tazkira merā

main apne ghar mein hun ghar se gae huon ki tarah

mere hi samne hota hai tazkira mera

liyā jo us nigāhoñ ne jā.eza merā

to TuuT TuuT gayā ḳhud se rābta merā

liya jo us ki nigahon ne jaeza mera

to TuT TuT gaya KHud se rabta mera

va.ada muāvze na kartā agar ḳhudā

ḳhairāt bhī saḳhī se na miltī faqīr ko

wada muawze ka na karta agar KHuda

KHairaat bhi saKHi se na milti faqir ko

chale saath to aahaT bhī na aa.e apnī

darmiyāñ ham bhī na hoñ yuuñ tujhe tanhā chāheñ

when you walk with me the echo, of my steps should not intrude

I too should not be the between us, I want you in such solitude

tu chale sath to aahaT bhi na aae apni

darmiyan hum bhi na hon yun tujhe tanha chahen

when you walk with me the echo, of my steps should not intrude

I too should not be the between us, I want you in such solitude

ḳhud mirī āñkhoñ se ojhal merī hastī ho ga.ī

ā.īna to saaf hai tasvīr dhundlī ho ga.ī

KHud meri aankhon se ojhal meri hasti ho gai

aaina to saf hai taswir dhundli ho gai

saañs letā huuñ ki pat-jhaḌ lagī hai mujh meñ

vaqt se TuuT rahe haiñ mire bandhan jaise

sans leta hun ki pat-jhaD si lagi hai mujh mein

waqt se TuT rahe hain mere bandhan jaise

mujhe ḳhud apnī talab nahīñ hai andāza

ye kā.enāt bhī thoḌī hai mere kaase meñ

mujhe KHud apni talab ka nahin hai andaza

ye kaenat bhi thoDi hai mere kase mein

Dubone vāloñ ko sharminda kar chukā hūñgā

maiñ Duub kar sahī paar utar chukā hūñgā

Dubone walon ko sharminda kar chuka hunga

main Dub kar hi sahi par utar chuka hunga

zaḳhm-e-tanhā.ī meñ ḳhushbū-e-hinā kis thī

saaya dīvār pe merā thā sadā kis thī

zaKHm-e-tanhai mein KHushbu-e-hina kis ki thi

saya diwar pe mera tha sada kis ki thi

maanā ki musht-e-ḳhāk se baḌh kar nahīñ huuñ maiñ

lekin havā ke rahm-o-karam par nahīñ huuñ maiñ

TRANSLATION

I accept that no more than a handful of dust am I,

But not dependent on the mercy of wind am I.

Sagar Akbarabadi

mana ki musht-e-KHak se baDh kar nahin hun main

lekin hawa ke rahm-o-karam par nahin hun main

TRANSLATION

I accept that no more than a handful of dust am I,

But not dependent on the mercy of wind am I.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now