- Index of Books 180323
-
-
Book Categories
-
Children's Literature1867
Medicine773 Movements280 Novel4033 -
Book Categories
- Bait Bazi11
- Catalogue / Index5
- Couplets62
- Deewan1389
- Doha65
- Epics98
- Exegesis171
- Geet85
- Ghazal926
- Haiku12
- Hamd35
- Humorous37
- Intikhab1486
- Keh mukarni6
- Kulliyat636
- Mahiya18
- Majmua4446
- Marsiya358
- Masnavi766
- Musaddas51
- Naat490
- Nazm1121
- Others63
- Paheli16
- Qasida174
- Qawwali19
- Qit'a54
- Quatrain273
- Quintuple18
- Rekhti12
- Remainders27
- Salaam32
- Sehra9
- shahr-Ashob, Hajw, Zatal Nama13
- Tareekh-Goi26
- Translation73
- Wasokht24
ALL
Profile
E-book1440
Article40
Quote30
Tanz-o-Mazah1
Sher20
Ghazal31
Nazm6
Audio11
Video2
Image Shayari6
Sher of Aale Ahmad Suroor
sāhil ke sukūñ se kise inkār hai lekin
tūfān se laḌne meñ mazā aur hī kuchh hai
Aale Ahmad Suroorsahil ke sukun se kise inkar hai lekin
tufan se laDne mein maza aur hi kuchh hai
ham jis ke ho ga.e vo hamārā na ho sakā
yuuñ bhī huā hisāb barābar kabhī kabhī
Aale Ahmad Suroorhum jis ke ho gae wo hamara na ho saka
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhārī maslahat achchhī ki apnā ye junūñ behtar
sambhal kar girne vaalo ham to gir gir kar sambhle haiñ
Aale Ahmad Suroortumhaari maslahat achchhi ki apna ye junun behtar
sambhal kar girne walo hum to gir gir kar sambhle hain
aatī hai dhaar un ke karam se shu.ūr meñ
dushman mile haiñ dost se behtar kabhī kabhī
Aale Ahmad Surooraati hai dhaar un ke karam se shuur mein
dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bastiyāñ kuchh huiiñ vīrān to mātam kaisā
kuchh ḳharābe bhī to ābād huā karte haiñ
Aale Ahmad Suroorbastiyan kuchh huin viran to matam kaisa
kuchh KHarabe bhi to aabaad hua karte hain
-
Tag : Virani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
husn kāfir thā adā qātil thī bāteñ sehr thiiñ
aur to sab kuchh thā lekin rasm-e-dildārī na thī
Aale Ahmad Suroorhusn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin
aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
log māñge ke ujāle se haiñ aise mar.ūb
raushnī apne charāġhoñ kī burī lagtī hai
Aale Ahmad Suroorlog mange ke ujale se hain aise marub
raushni apne charaghon ki buri lagti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj pī kar bhī vahī tishna-labī hai saaqī
lutf meñ tere kahīñ koī kamī hai saaqī
Aale Ahmad Surooraaj pi kar bhi wahi tishna-labi hai saqi
lutf mein tere kahin koi kami hai saqi
mai-kashī ke bhī kuchh ādāb baratnā sīkho
haath meñ apne agar jaam liyā hai tum ne
Aale Ahmad Suroormai-kashi ke bhi kuchh aadab baratna sikho
hath mein apne agar jam liya hai tum ne
-
Tag : Maikashi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jahāñ meñ ho ga.ī nā-haq tirī jafā badnām
kuchh ahl-e-shauq ko dār-o-rasan se pyaar bhī hai
Aale Ahmad Suroorjahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam
kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham to kahte the zamāna hī nahīñ jauhar-shanās
ġhaur se dekhā to apne meñ kamī paa.ī ga.ī
Aale Ahmad Suroorhum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas
ghaur se dekha to apne mein kami pai gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh to hai vaise hī rañgīñ lab o ruḳhsār kī baat
aur kuchh ḳhūn-e-jigar ham bhī milā dete haiñ
Aale Ahmad Suroorkuchh to hai waise hi rangin lab o ruKHsar ki baat
aur kuchh KHun-e-jigar hum bhi mila dete hain
jo tire dar se uThā phir vo kahīñ kā na rahā
us kī qismat meñ rahī dar-badrī kahte haiñ
Aale Ahmad Suroorjo tere dar se uTha phir wo kahin ka na raha
us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo tabassum hai ki 'ġhālib' kī tarah-dār ġhazal
der tak us kī balāġhat ko paḌhā karte haiñ
Aale Ahmad Suroorwo tabassum hai ki 'ghaalib' ki tarah-dar ghazal
der tak us ki balaghat ko paDha karte hain
-
Tag : Mirza Ghalib
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kyā ġhazab hai jo kal tak sitam-rasīda the
sitamgaroñ meñ ab un kā bhī naam aayā hai
Aale Ahmad Suroorye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the
sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām umr kaTī us kī justujū karte
baḌe dinoñ meñ ye tarz-e-kalām aayā hai
Aale Ahmad Suroortamam umr kaTi us ki justuju karte
baDe dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
abhī aate nahīñ us rind ko ādāb-e-mai-ḳhāna
jo apnī tishnagī ko faiz-e-sāqī kī kamī samjhe
Aale Ahmad Suroorabhi aate nahin us rind ko aadab-e-mai-KHana
jo apni tishnagi ko faiz-e-saqi ki kami samjhe
ab dhanak ke rañg bhī un ko bhale lagte nahīñ
mast saare shahr vaale ḳhuun kī holī meñ the
Aale Ahmad Suroorab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast sare shahr wale KHun ki holi mein the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dāstān-e-shauq kitnī baar dohrā.ī ga.ī
sunñe vāloñ meñ tavajjoh kī kamī paa.ī ga.ī
TRANSLATION
The story of love was repeatedly recounted,
Audience, however, were most disinterested.
Sagar Akbarabadi
Aale Ahmad Suroordastan-e-shauq kitni bar dohrai gai
sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai
TRANSLATION
The story of love was repeatedly recounted,
Audience, however, were most disinterested.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hastī ke bhayānak nazzāre saath apne chale haiñ duniyā se
ye ḳhvāb-e-pareshāñ aur ham ko tā-sub.h-e-qayāmat sonā hai
Aale Ahmad Suroorhasti ke bhayanak nazzare sath apne chale hain duniya se
ye KHwab-e-pareshan aur hum ko ta-subh-e-qayamat sona hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
join rekhta family!
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Get Tickets
-
Children's Literature1867
-