Sher of Agha Hajju Sharaf
shāḳh-e-gul jhuum ke gulzār meñ sīdhī jo huī
phir gayā aañkh meñ naqsha tirī añgḌā.ī kā
shaKH-e-gul jhum ke gulzar mein sidhi jo hui
phir gaya aankh mein naqsha teri angDai ka
ishq ho jā.egā merī dāstān-e-ishq se
raat bhar jaagā karoge is kahānī ke liye
ishq ho jaega meri dastan-e-ishq se
raat bhar jaga karoge is kahani ke liye
likkhā hai jo taqdīr meñ hogā vahī ai dil
sharminda na karnā mujhe tū dast-e-duā kā
likkha hai jo taqdir mein hoga wahi ai dil
sharminda na karna mujhe tu dast-e-dua ka
be-vafā tum bā-vafā maiñ dekhiye hotā hai kyā
ġhaiz meñ aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai
be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai
kabhī jo yaar ko dekhā to ḳhvāb meñ dekhā
mirī murād bhī aa.ī to musta.ār aa.ī
kabhi jo yar ko dekha to KHwab mein dekha
meri murad bhi aai to mustaar aai
mūjid jo nuur kā hai vo merā charāġh hai
parvāna huuñ maiñ anjuman-e-kā.enāt kā
mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai
parwana hun main anjuman-e-kaenat ka
kahā jo maiñ ne mere dil kī ik tasvīr khiñchvā do
mañgā kar rakh diyā ik shīsha chaknāchūr pahlū meñ
kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do
manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhne bhī jo vo jaate haiñ kisī ghāyal ko
ik namak-dāñ meñ namak piis ke bhar lete haiñ
dekhne bhi jo wo jate hain kisi ghayal ko
ek namak-dan mein namak pis ke bhar lete hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā jo na maiñ chand nafas ke liye letā
jannat kā ilāqa mirī jāgīr meñ aatā
duniya jo na main chand nafas ke liye leta
jannat ka ilaqa meri jagir mein aata
kyā ḳhudā haiñ jo bulā.eñ to vo aa hī na sakeñ
ham ye kahte haiñ ki aa jaa.eñ to jā hī na sakeñ
kya KHuda hain jo bulaen to wo aa hi na saken
hum ye kahte hain ki aa jaen to ja hi na saken
qarīb-e-marg huuñ lillāh ā.īna rakh do
gale se mere lipaT jaao phir nikhar lenā
qarib-e-marg hun lillah aaina rakh do
gale se mere lipaT jao phir nikhar lena
ragḌī haiñ eḌiyāñ to huī hai ye mustajāb
kis ājizī se kī hai duā kuchh na pūchhiye
ragDi hain eDiyan to hui hai ye mustajab
kis aajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye
-
Tag : Aajizi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ karte vo bāteñ ālam-e-rūyā meñ bhī ham se
ḳhushī ke ḳhvāb bhī dekheñ to be-ta.abīr hote haiñ
nahin karte wo baaten aalam-e-ruya mein bhi hum se
KHushi ke KHwab bhi dekhen to be-tabir hote hain
ishq-bāzoñ kī kahīñ duniyā meñ shunvā.ī nahīñ
in ġharīboñ kī qayāmat meñ samā.at ho to ho
ishq-bazon ki kahin duniya mein shunwai nahin
in gharibon ki qayamat mein samaat ho to ho
aamad aamad hai tire shahr meñ kis vahshī kī
band rahne kī jo tākīd hai bāzāroñ ko
aamad aamad hai tere shahr mein kis wahshi ki
band rahne ki jo takid hai bazaron ko
dukhā dete ho tum dil ko to baḌh jaatā hai dil merā
ḳhushī hotā huuñ aisā maiñ ki hañs detā huuñ riqqat meñ
dukha dete ho tum dil ko to baDh jata hai dil mera
KHushi hota hun aisa main ki hans deta hun riqqat mein
jashn thā aish-o-tarab kī intihā thī maiñ na thā
yaar ke pahlū meñ ḳhālī merī jā thī maiñ na thā
jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha
yar ke pahlu mein KHali meri ja thi main na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū nahīñ miltī to ham bhī tujh ko milne ke nahīñ
tafraqa aapas meñ ai umr-e-ravāñ achchhā nahīñ
tu nahin milti to hum bhi tujh ko milne ke nahin
tafraqa aapas mein ai umr-e-rawan achchha nahin
tez kab tak hogī kab tak baaḌh rakkhī jā.egī
ab to ai qātil tirī shamshīr aadhī rah ga.ī
tez kab tak hogi kab tak baDh rakkhi jaegi
ab to ai qatil teri shamshir aadhi rah gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ghiste ghiste paañv meñ zanjīr aadhī rah ga.ī
aadhī chhuTne kī huī tadbīr aadhī rah ga.ī
ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai
aadhi chhuTne ki hui tadbir aadhi rah gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
do vaqt nikalne lagī lailā kī savārī
dilchasp huā qais ke rahne se ban aisā
do waqt nikalne lagi laila ki sawari
dilchasp hua qais ke rahne se ban aisa
kyā bujhā.egā mire dil kī lagī vo shola-rū
dauḌtā hai jo lagā ke aag paanī ke liye
kya bujhaega mere dil ki lagi wo shola-ru
dauDta hai jo laga ke aag pani ke liye
dil meñ aamad aamad us parda-nashīñ kī jab sunī
dam ko jaldī jaldī maiñ ne jism se bāhar kiyā
dil mein aamad aamad us parda-nashin ki jab suni
dam ko jaldi jaldi main ne jism se bahar kiya
ḳhalvat-sarā-e-yār meñ pahuñchegā kyā koī
vo band-o-bast hai ki havā kā guzar nahīñ
KHalwat-sara-e-yar mein pahunchega kya koi
wo band-o-bast hai ki hawa ka guzar nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamesha shefta rakhte haiñ apne husn-e-qudrat kā
ḳhud us kī ruuh ho jaate haiñ jis kā tan banāte haiñ
hamesha shefta rakhte hain apne husn-e-qudrat ka
KHud us ki ruh ho jate hain jis ka tan banate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download