Sher of Munshi Amirullah Tasleem
sub.h hotī hai shaam hotī hai
umr yūñhī tamām hotī hai
subh hoti hai sham hoti hai
umr yunhi tamam hoti hai
aas kyā ab to umīd-e-nā-ummīdī bhī nahīñ
kaun de mujh ko tasallī kaun bahlā.e mujhe
aas kya ab to umid-e-na-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe
nāseh ḳhatā muaaf suneñ kyā bahār meñ
ham iḳhtiyār meñ haiñ na dil iḳhtiyār meñ
naseh KHata muaf sunen kya bahaar mein
hum iKHtiyar mein hain na dil iKHtiyar mein
taḌaptī dekhtā huuñ jab koī shai
uThā letā huuñ apnā dil samajh kar
Any trembling object when I see
I pick it up, my heart it seems to me
taDapti dekhta hun jab koi shai
uTha leta hun apna dil samajh kar
Any trembling object when I see
I pick it up, my heart it seems to me
-
Tag : Love, Longing, Loss
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ham ne paalā muddatoñ pahlū meñ ham koī nahīñ
tum ne dekhā ik nazar se dil tumhārā ho gayā
I nurtured it for ages but, it was nought to me
you saw it but a moment and it was your property
hum ne pala muddaton pahlu mein hum koi nahin
tum ne dekha ek nazar se dil tumhaara ho gaya
I nurtured it for ages but, it was nought to me
you saw it but a moment and it was your property
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dimāġh de jo ḳhudā gulshan-e-mohabbat meñ
har ek gul se tire pairahan kī bū aa.e
dimagh de jo KHuda gulshan-e-mohabbat mein
har ek gul se tere pairahan ki bu aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil-lagī meñ hasrat-e-dil kuchh nikal jaatī to hai
bose le lete haiñ ham do-chār hañste bolte
dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jati to hai
bose le lete hain hum do-chaar hanste bolte
jaane de sabr o qarār o hosh ko
tū kahāñ ai be-qarārī jā.egī
jaane de sabr o qarar o hosh ko
tu kahan ai be-qarari jaegi
-
Tag : Beqarari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhālī sahī balā se tasallī to dil ko ho
rahne do sāmne mire sāġhar sharāb kā
KHali sahi bala se tasalli to dil ko ho
rahne do samne mere saghar sharab ka
dāstān-e-shauq-e-dil aisī nahīñ thī muḳhtasar
jī lagā kar tum agar sunte maiñ kahtā aur bhī
dastan-e-shauq-e-dil aisi nahin thi muKHtasar
ji laga kar tum agar sunte main kahta aur bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā ḳhabar mujh ko ḳhizāñ kyā chiiz hai kaisī bahār
āñkheñ kholīñ aa ke maiñ ne ḳhāna-e-sayyād meñ
kya KHabar mujh ko KHizan kya chiz hai kaisi bahaar
aankhen kholin aa ke main ne KHana-e-sayyaad mein
ahd ke ba.ad liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zūd-pashīmāñ ko mukarne na diyā
ahd ke baad liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zud-pashiman ko mukarne na diya
kījiye aisā jahāñ paidā jahāñ koī na ho
zarra-o-aḳhtar zamīn-o-āsmāñ koī na ho
kijiye aisa jahan paida jahan koi na ho
zarra-o-aKHtar zamin-o-asman koi na ho
fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahāñ paidā karūñ
chāhtā huuñ ek dil meñ do makāñ paidā karūñ
fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun
chahta hun ek dil mein do makan paida karun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bas ki thī rone kī aadat vasl meñ bhī yaar se
kah ke apnā aap hāl-e-ārzū rone lagā
bas ki thi rone ki aadat wasl mein bhi yar se
kah ke apna aap haal-e-arzu rone laga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil dhaḌaktā hai shab-e-ġham meñ kahīñ aisā na ho
marg bhī ban kar mizāj-e-yār tarsā.e mujhe
dil dhaDakta hai shab-e-gham mein kahin aisa na ho
marg bhi ban kar mizaj-e-yar tarsae mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
umr bhar rashk-e-adū saath thā kahtā kyā haal
vo milā bhī kabhī tanhā to maiñ tanhā na huā
umr bhar rashk-e-adu sath tha kahta kya haal
wo mila bhi kabhi tanha to main tanha na hua
zamāne se nirālā hai urūs-e-fikr kā jauban
javāñ hotī hai ai 'taslīm' jab ye piir hotī hai
zamane se nirala hai urus-e-fikr ka jauban
jawan hoti hai ai 'taslim' jab ye pir hoti hai
gar yahī hai pās-e-ādāb-e-sukūt
kis tarah fariyād lab tak aa.egī
gar yahi hai pas-e-adab-e-sukut
kis tarah fariyaad lab tak aaegi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt-e-ravā-ravī hai uThe qāfila ke log
saaqī chale piyāla jahāñ tak ki bas chale
waqt-e-rawa-rawi hai uThe qafila ke log
saqi chale piyala jahan tak ki bas chale