Sher of Naseem Dehlvi
kabhī āġhosh meñ rahtā kabhī ruḳhsāroñ par
kaash ai āfat-e-jāñ maiñ tirā aañsū hotā
kabhi aaghosh mein rahta kabhi ruKHsaron par
kash ai aafat-e-jaan main tera aansu hota
mazmūn ke bhī sher agar hoñ to ḳhuub haiñ
kuchh ho nahīñ ga.ī ġhazal-e-āshiqāna farz
mazmun ke bhi sher agar hon to KHub hain
kuchh ho nahin gai ghazal-e-ashiqana farz
saikḌoñ man se bhī zanjīr mirī bhārī hai
vaah kyā shaukat-e-sāmān-e-gunah-gārī hai
saikDon man se bhi zanjir meri bhaari hai
wah kya shaukat-e-saman-e-gunah-gari hai
kyā us harām-ḳhor ko juz murda hai nasīb
aayā na muñh meñ gor ke luqma halāl kā
kya us haram-KHor ko juz murda hai nasib
aaya na munh mein gor ke luqma halal ka
hubb-e-duniyā ulfat-e-zar dil se dam-bhar kam nahīñ
us par ai zāhid irāda hai ḳhudā kī yaad kā
hubb-e-duniya ulfat-e-zar dil se dam-bhar kam nahin
us par ai zahid irada hai KHuda ki yaad ka
ḳhuub hī phir to samajhtā maiñ dil-e-dushman se
ek saa.at mire pahlū meñ agar tū hotā
KHub hi phir to samajhta main dil-e-dushman se
ek saat mere pahlu mein agar tu hota
harfoñ ke mile joḌ baḌhā husn raqam kā
har lafz ke paivand meñ baḳhiya hai qalam kā
harfon ke mile joD baDha husn raqam ka
har lafz ke paiwand mein baKHiya hai qalam ka
jab fasl-e-gul aatī hai sadā detī hai vahshat
zanjīr kā ġhul nāra-e-mastāna hai us kā
jab fasl-e-gul aati hai sada deti hai wahshat
zanjir ka ghul nara-e-mastana hai us ka
kuchh ajab tāsīr thī us but ke nazzāre meñ bhī
jo musalmāñ us taraf guzrā barahman ho gayā
kuchh ajab tasir thi us but ke nazzare mein bhi
jo musalman us taraf guzra barahman ho gaya
nikalte haiñ barābar ashk merī donoñ āñkhoñ se
matā-e-dard tulne kī tarāzū ho to aisī ho
nikalte hain barabar ashk meri donon aankhon se
mata-e-dard tulne ki taraazu ho to aisi ho
aise musāfirān-e-adam tang-dil ga.e
muñh bhī kiyā na ālam-e-ījād kī taraf
aise musafiran-e-adam tang-dil gae
munh bhi kiya na aalam-e-ijad ki taraf
ai charḳh-e-pīr zor-e-javānī se dar-guzar
ab paas chāhiye tujhe pusht-e-ḳhamīda kā
ai charKH-e-pir zor-e-jawani se dar-guzar
ab pas chahiye tujhe pusht-e-KHamida ka
matlab kī baat kah na sake un se rāt-bhar
ma.anī bhī muñh chhupā.e hue guftugū meñ thā
matlab ki baat kah na sake un se raat-bhar
mani bhi munh chhupae hue guftugu mein tha
allāh re taraddud-e-ḳhātir kī kasrateñ
tuuda banā diyā mujhe gard-e-malāl kā
allah re taraddud-e-KHatir ki kasraten
tuda bana diya mujhe gard-e-malal ka
matlab hai mirā āriz-e-pur-nūr kā jalva
āshiq huuñ tirā naam ko banda huuñ ḳhudā kā
matlab hai mera aariz-e-pur-nur ka jalwa
aashiq hun tera nam ko banda hun KHuda ka
ḳhvāhish-e-vasl se ḳhat paḌhne ke qābil na rahā
lipTe alfāz se alfāz mukarrar ho kar
KHwahish-e-wasl se KHat paDhne ke qabil na raha
lipTe alfaz se alfaz mukarrar ho kar
paḌ ga.ī chhīñT to itnā na ḳhafā ho vaa.iz
mai rahegī tirī āġhosh meñ duḳhtar ho kar
paD gai chhinT to itna na KHafa ho waiz
mai rahegi teri aaghosh mein duKHtar ho kar
guñg haiñ jin ko ḳhamoshī kā mazā hotā hai
dahan-e-zaḳhm meñ ḳhud qufl-e-hayā hotā hai
gung hain jin ko KHamoshi ka maza hota hai
dahan-e-zaKHm mein KHud qufl-e-haya hota hai
kār-e-dīñ yā fikr-e-duniyā kījiye
zindagī thoḌī hai kyā kyā kījiye
kar-e-din ya fikr-e-duniya kijiye
zindagi thoDi hai kya kya kijiye
kahte haiñ jise husn vo hai shama-e-jahāñ-tāb
kahte haiñ jise ishq vo parvāna hai us kā
kahte hain jise husn wo hai shama-e-jahan-tab
kahte hain jise ishq wo parwana hai us ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai dil phir un se dostī kī
o ḳhāna-ḳharāb phir vahī kī
ai dil phir un se dosti ki
o KHana-KHarab phir wahi ki
ek se do daaġh do se chaar phir to saikḌoñ
khilte khilte phuul siine par gulistāñ ho gayā
ek se do dagh do se chaar phir to saikDon
khilte khilte phul sine par gulistan ho gaya
adab-e-bāda-parastī na gayā mastī meñ
sūrat-e-kāba tavāf-e-dar-e-mai-ḳhāna hai
adab-e-baada-parasti na gaya masti mein
surat-e-kaba tawaf-e-dar-e-mai-KHana hai
ThanDī kabhī na hoñgī kyā garmiyāñ tumhārī
āḳhir 'nasīm' kā dil kab tak jalā.iyegā
ThanDi kabhi na hongi kya garmiyan tumhaari
aaKHir 'nasim' ka dil kab tak jalaiyega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhāre husn ne har daañv meñ use jiitā
hazār tarah se ghaT-baḌh ke baazī haarā chāñd
tumhaare husn ne har danw mein use jita
hazar tarah se ghaT-baDh ke bazi haara chand
maiñ huuñ ik aur hī lailā kā maa.il
tasallī kyā mirī mahmil se hogī
main hun ek aur hi laila ka mail
tasalli kya meri mahmil se hogi
abrū meñ ḳham jabīn meñ chiiñ zulf meñ shikan
aayā jo merā naam to kis kis meñ bal paḌe
abru mein KHam jabin mein chin zulf mein shikan
aaya jo mera nam to kis kis mein bal paDe
kasrat-e-daulat meñ lutf-e-ḳhāna-barbādī bhī hai
shahd ke hone se luT jaatā hai ghar zambūr kā
kasrat-e-daulat mein lutf-e-KHana-barbaadi bhi hai
shahd ke hone se luT jata hai ghar zambur ka
sākin-e-masjid kabhī gah mo.atakif hai dair kā
millat-o-dīn-e-'nasīm'-e-dehlavī rindāna hai
sakin-e-masjid kabhi gah moatakif hai dair ka
millat-o-din-e-'nasim'-e-dehlawi rindana hai
ai sakinān-e-charḳh-e-muallā bacho bacho
tūfāñ huā buland mire āb-dīda kā
ai sakinan-e-charKH-e-mualla bacho bacho
tufan hua buland mere aab-dida ka
-
Tag : Aab Deedah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rabt-e-bāham ke maze bāham raheñ to ḳhuub haiñ
yaad rakhnā jān-e-jāñ gar maiñ nahīñ to tū nahīñ
rabt-e-baham ke maze baham rahen to KHub hain
yaad rakhna jaan-e-jaan gar main nahin to tu nahin
husn-e-barahnagī ke uThāte baḌe maze
hotā na ruuh ko jo libās-e-badan hijāb
husn-e-barahnagi ke uThate baDe maze
hota na ruh ko jo libas-e-badan hijab
aañsū poñchh.enge kab tak ahbāb
Tapkā na rukegā chashm-e-tar kā
aansu ponchhenge kab tak ahbab
Tapka na rukega chashm-e-tar ka
pyaar se dushman ke vo aalam tirā jaatā rahā
aise lab chūse ki bosoñ kā mazā jaatā rahā
pyar se dushman ke wo aalam tera jata raha
aise lab chuse ki boson ka maza jata raha
āñkhoñ meñ hai lihāz tabassum-fizā haiñ lab
shukr-e-ḳhudā ke aaj to kuchh raah par haiñ aap
aankhon mein hai lihaz tabassum-fiza hain lab
shukr-e-KHuda ke aaj to kuchh rah par hain aap
tasadduq hone vaale pis na jaa.eñ
uThā.e haath se dāman ko chaliye
tasadduq hone wale pis na jaen
uThae hath se daman ko chaliye
maza matl.a kā de fikr-e-do-pahlū ho to aisī ho
raheñ hisse barābar bait-e-abrū ho to aisī ho
maza matla ka de fikr-e-do-pahlu ho to aisi ho
rahen hisse barabar bait-e-abru ho to aisi ho
ka.aba nahīñ hai zāhid-e-ġhāfil nishān-e-dost
dil DhūñD āshiqoñ kā yahī hai makān-e-dost
kaba nahin hai zahid-e-ghafil nishan-e-dost
dil DhunD aashiqon ka yahi hai makan-e-dost
mīzān-e-adālat haiñ mire dīda-e-pur-āb
ham-vazn har aañsū kā har aañsū nazar aayā
mizan-e-adalat hain mere dida-e-pur-ab
ham-wazn har aansu ka har aansu nazar aaya
tirā jamāl banā maiñ kabhī, kabhī ehsāñ
ġharaz ye thī ki mujhe barguzīda honā thā
tera jamal bana main kabhi, kabhi ehsan
gharaz ye thi ki mujhe barguzida hona tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bhūltī haiñ kab nigāheñ chashm-e-jādū-ḳhez kī
ham ko sāmān-e-farāmoshī sab apnā yaad hai
bhulti hain kab nigahen chashm-e-jadu-KHez ki
hum ko saman-e-faramoshi sab apna yaad hai
kufr-o-dīñ ke qā.ede donoñ adā ho jā.eñge
zab.h vo kāfir kare muñh se kaheñ takbīr ham
kufr-o-din ke qaede donon ada ho jaenge
zabh wo kafir kare munh se kahen takbir hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shauq-e-sharāb ḳhvāhish-e-jām-o-subū nahīñ
hai sab harām jab se ki pahlū meñ tū nahīñ
shauq-e-sharab KHwahish-e-jam-o-subu nahin
hai sab haram jab se ki pahlu mein tu nahin
rāt-din bāzū-e-mizhgāñ pe bañdhā rahtā hai
hai mirā ashk mire dīda-e-tar kā ta.avīz
raat-din bazu-e-mizhgan pe bandha rahta hai
hai mera ashk mere dida-e-tar ka tawiz
na yuuñ nīchī kiye gardan ko chaliye
zarā ūñchī kiye chitvan ko chaliye
na yun nichi kiye gardan ko chaliye
zara unchi kiye chitwan ko chaliye
ab vo galī jā-e-ḳhatar ho ga.ī
haal se logoñ ko ḳhabar ho ga.ī
ab wo gali ja-e-KHatar ho gai
haal se logon ko KHabar ho gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jis raste se nikle dekh lenā
ki us raste meñ phir rastā na hogā
wo jis raste se nikle dekh lena
ki us raste mein phir rasta na hoga
roz ho jaatī haiñ ham se ek do aThkheliyāñ
naujavānī aaj tak baaqī hai charḳh-e-pīr kī
roz ho jati hain hum se ek do aThkheliyan
naujawani aaj tak baqi hai charKH-e-pir ki
āvāz kī tarah se baiTheñge aaj ai jaañ
dekheñ to aap kyūñkar ham ko uThā hī deñge
aawaz ki tarah se baiThenge aaj ai jaan
dekhen to aap kyunkar hum ko uTha hi denge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'nasīm'-e-dehlavī ham mojid-e-bāb-e-fasāhat haiñ
koī urdu ko kyā samjhegā jaisā ham samajhte haiñ
'nasim'-e-dehlawi hum mojid-e-bab-e-fasahat hain
koi urdu ko kya samjhega jaisa hum samajhte hain