Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rasheed lakhnavi's Photo'

Rasheed lakhnavi

1847 - 1918 | Lucknow, India

A distinguished poet of Marsiya, Ghazal and Rubaai. Grandson of Mir Anis.

A distinguished poet of Marsiya, Ghazal and Rubaai. Grandson of Mir Anis.

Sher of Rasheed lakhnavi

709
Favorite

SORT BY

zindagī kahte haiñ kis ko maut kis naam hai

mehrbānī aap nā-meharbānī aap

what is labeled living, how is death defined

Finding your favour, when you are unkind

zindagi kahte hain kis ko maut kis ka nam hai

mehrbani aap ki na-meharbani aap ki

what is labeled living, how is death defined

Finding your favour, when you are unkind

hañs hañs ke kah rahā hai jalānā savāb hai

zālim ye merā dil hai charāġh-e-haram nahīñ

hans hans ke kah raha hai jalana sawab hai

zalim ye mera dil hai charagh-e-haram nahin

hamārī zindagī-o-maut ho tum raunaq

charāġh-e-bazm bhī ho aur charāġh-e-fan bhī ho

hamari zindagi-o-maut ki ho tum raunaq

charagh-e-bazm bhi ho aur charagh-e-fan bhi ho

donoñ āñkheñ dil jigar haiñ ishq hone meñ sharīk

ye to sab achchhe raheñge mujh par ilzām aa.egā

donon aankhen dil jigar hain ishq hone mein sharik

ye to sab achchhe rahenge mujh par ilzam aaega

intizār aap aisā hai ki dam kahtā hai

nigah-e-shauq huuñ āñkhoñ se nikal jā.ūñgā

intizar aap ka aisa hai ki dam kahta hai

nigah-e-shauq hun aankhon se nikal jaunga

tum ne ehsān kiyā hai ki namak chhiḌkā hai

ab mujhe zaḳhm-e-jigar aur mazā dete haiñ

tum ne ehsan kiya hai ki namak chhiDka hai

ab mujhe zaKHm-e-jigar aur maza dete hain

ga.e the hazrat-e-zāhid to zard thā chehra

sharāb-ḳhāne se nikle to surḳh-rū nikle

gae the hazrat-e-zahid to zard tha chehra

sharab-KHane se nikle to surKH-ru nikle

huā hai saḳht mushkil dafan honā tere vahshī

jahāñ par qabr khodī jaatī hai patthar nikalte haiñ

hua hai saKHt mushkil dafan hona tere wahshi ka

jahan par qabr khodi jati hai patthar nikalte hain

ai gul-andām ye hai fasl-e-javānī uruuj

husn rañg Tapakne ko hai ruḳhsāroñ se

ai gul-andam ye hai fasl-e-jawani ka uruj

husn ka rang Tapakne ko hai ruKHsaron se

apnī vahshat se hai shikva dūsre se kyā gila

ham se jab baiThā na jaa.e kū-e-jānāñ kyā kare

apni wahshat se hai shikwa dusre se kya gila

hum se jab baiTha na jae ku-e-jaanan kya kare

butoñ ke dil meñ hamārī kuchh ab huī hai jagah

ḳhudā ne rahm kiyā varna mar ga.e hote

buton ke dil mein hamari kuchh ab hui hai jagah

KHuda ne rahm kiya warna mar gae hote

nahīñ hai jis meñ terā ishq vo dil hai tabāhī meñ

vo kashtī Duub jā.egī na jis meñ nā-ḳhudā hogā

nahin hai jis mein tera ishq wo dil hai tabahi mein

wo kashti Dub jaegi na jis mein na-KHuda hoga

qaid muddat baḌhī chhuTne jab tadbīr

rose badlī jaatī haiñ kaḌiyāñ mirī zanjīr

qaid ki muddat baDhi chhuTne ki jab tadbir ki

rose badli jati hain kaDiyan meri zanjir ki

siye jaate haiñ kafan aap ke dīvānoñ ke

taar dāman ke haiñ TukḌe haiñ garebānoñ ke

siye jate hain kafan aap ke diwanon ke

tar daman ke hain TukDe hain garebanon ke

sabhoñ aa ga.ī piirī jo tum javān hue

zamīñ dil huā miTTī ḳham āsmān hue

sabhon ki aa gai piri jo tum jawan hue

zamin ka dil hua miTTi KHam aasman hue

dekhiye lāzim-o-malzūm ise kahte haiñ

dil hai dāġhoñ ke liye daaġh mire dal ke liye

dekhiye lazim-o-malzum ise kahte hain

dil hai daghon ke liye dagh mere dal ke liye

ma.ashūq kaun hai na ho dil meñ jis yaad

is muḳhtasar se baaġh meñ kis gul nahīñ

mashuq kaun sa hai na ho dil mein jis ki yaad

is muKHtasar se bagh mein kis gul ki bu nahin

kabhī madfūn hue the jis jagah par kushta-e-abrū

abhī tak is zamīñ se saikḌoñ ḳhanjar nikalte haiñ

kabhi madfun hue the jis jagah par kushta-e-abru

abhi tak is zamin se saikDon KHanjar nikalte hain

raas aa.e tum ko mulk-e-ishq āb-o-havā

āshiqo har-vaqt shaġhl-e-āh-o-zārī chāhiye

ras aae tum ko mulk-e-ishq ki aab-o-hawa

aashiqo har-waqt shaghl-e-ah-o-zari chahiye

dil hai shauq-e-vasl meñ muztar nazar mushtāq-e-dīd

jo hai mashġhūl apnī apnī sa.i-e-lā-hāsil meñ hai

dil hai shauq-e-wasl mein muztar nazar mushtaq-e-did

jo hai mashghul apni apni sai-e-la-hasil mein hai

sazā har ek ko dene lagī hayā un

ki chaak ho ga.ī lipTī jahāñ qabā in

saza har ek ko dene lagi haya un ki

ki chaak ho gai lipTi jahan qaba in ki

vo gesū baḌhte jaate haiñ balā.eñ hotī haiñ nāzil

qadam tak aa ga.e jab hashr aalam meñ bapā hogā

wo gesu baDhte jate hain balaen hoti hain nazil

qadam tak aa gae jab hashr aalam mein bapa hoga

hamesha be-dilī kījiye kyūñkar na dildārī

na honā paas dil hai nishānī ek dilbar

hamesha be-dili ki kijiye kyunkar na dildari

na hona pas dil ka hai nishani ek dilbar ki

ḳhudā jaane ye gardish tarīqa kab nikālā hai

jise kahte haiñ gardūñ ik mire paañv chhālā hai

KHuda jaane ye gardish ka tariqa kab nikala hai

jise kahte hain gardun ek mere panw ka chhaala hai

jo merī chashm ke parde sharīk ho jaate

kamāl-e-dāman-e-abr-e-bahār baḌh jaatā

jo meri chashm ke parde sharik ho jate

kamal-e-daman-e-abr-e-bahaar baDh jata

Recitation

Speak Now