Sher of Wazir Ali Saba Lakhnavi
dil meñ ik dard uThā āñkhoñ meñ aañsū bhar aa.e
baiThe baiThe hameñ kyā jāniye kyā yaad aayā
dil mein ek dard uTha aankhon mein aansu bhar aae
baiThe baiThe hamein kya jaaniye kya yaad aaya
baaqī rahe na farq zamīn āsmān meñ
apnā qadam uThā leñ agar darmiyāñ se ham
baqi rahe na farq zamin aasman mein
apna qadam uTha len agar darmiyan se hum
baat bhī aap ke aage na zabāñ se niklī
lījiye aa.e the ham soch ke kyā kyā dil meñ
baat bhi aap ke aage na zaban se nikli
lijiye aae the hum soch ke kya kya dil mein
aap hī apne zarā jaur-o-sitam ko dekheñ
ham agar arz kareñge to shikāyat hogī
aap hi apne zara jaur-o-sitam ko dekhen
hum agar arz karenge to shikayat hogi
kahte haiñ mere dost mirā haal dekh kar
dushman ko bhī ḳhudā na kare mubtalā-e-ishq
kahte hain mere dost mera haal dekh kar
dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-ishq
na kareñ aap vafā ham ko kyā
bevafā aap hī kahlā.iyegā
na karen aap wafa hum ko kya
bewafa aap hi kahlaiyega
-
Tag : Wafa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aadam se bāġh-e-ḳhuld chhuTā ham se kū-e-yār
vo ibtidā-e-rañj hai ye intihā-e-rañj
aadam se bagh-e-KHuld chhuTa hum se ku-e-yar
wo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qaid-e-maz.hab vāqa.ī ik rog hai
aadmī ko chāhiye āzād ho
qaid-e-mazhab waqai ek rog hai
aadmi ko chahiye aazad ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnī to dīd-e-ishq kī tāsīr dekhiye
jis samt dekhiye tirī tasvīr dekhiye
itni to did-e-ishq ki tasir dekhiye
jis samt dekhiye teri taswir dekhiye
kaleja kāñptā hai dekh kar is sard-mehrī ko
tumhāre ghar meñ kyā aa.e ki ham kashmīr meñ aa.e
kaleja kanpta hai dekh kar is sard-mehri ko
tumhaare ghar mein kya aae ki hum kashmir mein aae
mere baġhal meñ rah ke mujhī ko kiyā zalīl
nafrat sī ho ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb se
mere baghal mein rah ke mujhi ko kiya zalil
nafrat si ho gai dil-e-KHana-KHarab se
tirchhī nazroñ se na dekho āshiq-e-dil-gīr ko
kaise tīr-andāz ho sīdhā to kar lo tiir ko
tirchhi nazron se na dekho aashiq-e-dil-gir ko
kaise tir-andaz ho sidha to kar lo tir ko
tirī talāsh meñ mah kī tarah maiñ phirtā huuñ
kahāñ tū raat ko ai āftāb rahtā hai
teri talash mein mah ki tarah main phirta hun
kahan tu raat ko ai aaftab rahta hai
ka.aba banā.iye ki kalīsā banā.iye
dil sā makāñ havāle kiyā hai janāb ke
kaba banaiye ki kalisa banaiye
dil sa makan hawale kiya hai janab ke
haiñ vo suufī jo kabhī nālā-e-nāqūs sunā
vajd karne lage ham dil kā ajab haal huā
hain wo sufi jo kabhi nala-e-naqus suna
wajd karne lage hum dil ka ajab haal hua
huā dhuup meñ bhī na kam husn-e-yār
kanhayyā banā vo jo sañvlā gayā
hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar
kanhayya bana wo jo sanwla gaya
roz o shab furqat-e-jānāñ meñ basar kī ham ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-daurāñ niklā
roz o shab furqat-e-jaanan mein basar ki hum ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauran nikla
sākin-e-dair huuñ ik but kā huuñ banda ba-ḳhudā
ḳhud vo kāfir haiñ jo kahte haiñ musalmāñ mujh ko
sakin-e-dair hun ek but ka hun banda ba-KHuda
KHud wo kafir hain jo kahte hain musalman mujh ko
na paḌhā yaar ne ahvāl-e-shikasta merā
ḳhat ke purze kiye bāzū-e-kabūtar toḌā
na paDha yar ne ahwal-e-shikasta mera
KHat ke purze kiye bazu-e-kabutar toDa
ka.abe kī samt sajda kiyā dil ko chhoḌ kar
to kis taraf thā dhyān hamārā kidhar gayā
kabe ki samt sajda kiya dil ko chhoD kar
to kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya
ulfat-e-kūcha-e-jānāñ ne kiyā ḳhāna-ḳharāb
barhaman dair se ka.abe se musalmāñ niklā
ulfat-e-kucha-e-jaanan ne kiya KHana-KHarab
barhaman dair se kabe se musalman nikla
āshiq haiñ ham ko harf-e-mohabbat se kaam hai
mullā nikāltā phire matlab kitāb se
aashiq hain hum ko harf-e-mohabbat se kaam hai
mulla nikalta phire matlab kitab se
mai pī ke iid kījiye guzrā mah-e-siyām
tasbīh rakhiye sāġhar-o-mīnā uThā.iye
mai pi ke id kijiye guzra mah-e-siyam
tasbih rakhiye saghar-o-mina uThaiye
tumhārī zulf na girdāb-e-nāf tak pahuñchī
huī na chashma-e-haivāñ se faiz-yāb ghaTā
tumhaari zulf na girdab-e-naf tak pahunchi
hui na chashma-e-haiwan se faiz-yab ghaTa
ham riñd-e-pareshāñ haiñ māh-e-ramazāñ hai
chamkī huī in rozoñ meñ vaa.iz kī dukāñ hai
hum rind-e-pareshan hain mah-e-ramazan hai
chamki hui in rozon mein waiz ki dukan hai
aap ko ġhair bahut dekhte haiñ
ek din dekhiye pachhtā.iyegā
aap ko ghair bahut dekhte hain
ek din dekhiye pachhtaiyega
paayā hai is qadar suḳhan-e-saḳht ne rivāj
punjabi baat karte haiñ pashtū zabān meñ
paya hai is qadar suKHan-e-saKHt ne riwaj
punjabi baat karte hain pashtu zaban mein
majnūñ nahīñ ki ek hī lailā ke ho raheñ
rahtā hai apne saath nayā ik nigār roz
majnun nahin ki ek hi laila ke ho rahen
rahta hai apne sath naya ek nigar roz
ḳhaak meñ mujh ko milā ke vo sanam kahtā hai
apne allāh se jā kar mirī fariyād karo
KHak mein mujh ko mila ke wo sanam kahta hai
apne allah se ja kar meri fariyaad karo
donoñ chashmoñ se marī ashk bahā karte haiñ
maujzan rahtā hai dariyā ke kināre dariyā
donon chashmon se mari ashk baha karte hain
maujzan rahta hai dariya ke kinare dariya
-
Tag : Girya-o-zari
ḳhud-raftagī hai chashm-e-haqīqat jo vā huī
darvāza khul gayā to maiñ ghar se nikal gayā
KHud-raftagi hai chashm-e-haqiqat jo wa hui
darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya
jab maiñ rotā huuñ to allāh re hañsnā un kā
qahqahoñ meñ mire nāloñ ko uḌā dete haiñ
jab main rota hun to allah re hansna un ka
qahqahon mein mere nalon ko uDa dete hain
tū apne paañv kī mehñdī chhuḌā ke de ai mahr
falak ko chāhiye ġhāza ruḳh-e-qamar ke liye
tu apne panw ki mehndi chhuDa ke de ai mahr
falak ko chahiye ghaza ruKH-e-qamar ke liye
ham bhī zarūr kahte kisī kaam ke liye
fursat na āsmāñ ko milī apne kaam se
hum bhi zarur kahte kisi kaam ke liye
fursat na aasman ko mili apne kaam se
kyā banāyā hai butoñ ne mujh ko
naam rakkhā hai musalmāñ merā
kya banaya hai buton ne mujh ko
nam rakkha hai musalman mera
dekhiye aaj vo tashrīf kahāñ farmā.eñ
ham se va.ada hai judā ġhair se iqrār judā
dekhiye aaj wo tashrif kahan farmaen
hum se wada hai juda ghair se iqrar juda
chaar unsur ke sab tamāshe haiñ
vaah ye chaar baaġh kis kā hai
chaar unsur ke sab tamashe hain
wah ye chaar bagh kis ka hai
dasht-e-junūñ meñ aa ga.iiñ āñkheñ jo un kī yaad
bhāgā meñ ḳhaak Daal ke chashm-e-ġhazāl meñ
dasht-e-junun mein aa gain aankhen jo un ki yaad
bhaga mein KHak Dal ke chashm-e-ghazal mein
fasl-e-gul hī zāhidoñ ko ġham hī mai-kash shaad haiñ
masjideñ suunī paḌī haiñ bhTTiyāñ ābād haiñ
fasl-e-gul hi zahidon ko gham hi mai-kash shad hain
masjiden suni paDi hain bhTTiyan aabaad hain
kudūrat nahīñ apnī tab-e-ravāñ meñ
bahut saaf bahtā hai dariyā hamārā
kudurat nahin apni tab-e-rawan mein
bahut saf bahta hai dariya hamara
yād-e-mizhgāñ meñ mirī aañkh lagī jaatī hai
log sach kahte haiñ suulī pe bhī niiñd aatī hai
yaad-e-mizhgan mein meri aankh lagi jati hai
log sach kahte hain suli pe bhi nind aati hai
mere ash.ār se mazmūn-e-ruḳh-e-yār khulā
be-ahādīs nahīñ matlab-e-qur.ān niklā
mere ashaar se mazmun-e-ruKH-e-yar khula
be-ahadis nahin matlab-e-quran nikla
saaf qulqul se sadā aatī hai āmīn āmīn
apne saaqī ko jo ham riñd duā dete haiñ
saf qulqul se sada aati hai aamin aamin
apne saqi ko jo hum rind dua dete hain
chashm vā rah ga.ī dekhā jo tilismāt-e-jahāñ
aa.ina ban ga.e ham mahv-e-tamāshā ho kar
chashm wa rah gai dekha jo tilismat-e-jahan
aaina ban gae hum mahw-e-tamasha ho kar
uThā dī qaid-e-maz.hab dil se ham ne
qafas se tā.ir-e-idrāk niklā
uTha di qaid-e-mazhab dil se hum ne
qafas se tair-e-idrak nikla
sāqiyā ab ke baḌe zoroñ pe haiñ ham mai-parast
chal ke vaa.iz ko sar-e-mimbar latāḌā chāhiye
saqiya ab ke baDe zoron pe hain hum mai-parast
chal ke waiz ko sar-e-mimbar lataDa chahiye
ma.adūm hue jaate haiñ ham fikr ke maare
mazmūñ kamar-e-yār kā paidā nahīñ hotā
madum hue jate hain hum fikr ke mare
mazmun kamar-e-yar ka paida nahin hota
tā.ir-e-aql ko ma.azūr kahā zāhid ne
par-e-parvāz meñ tasbīh kā Dorā bāñdhā
tair-e-aql ko mazur kaha zahid ne
par-e-parwaz mein tasbih ka Dora bandha
jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aatā hai
mah-e-nau kī tarah khole hue āġhosh aatā hai
jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aata hai
mah-e-nau ki tarah khole hue aaghosh aata hai
ai sabā qil.a-e-hastī se jo dam ghabrāyā
baḌh ke do-chār qadam maut kā aagā bāñdhā
ai saba qila-e-hasti se jo dam ghabraya
baDh ke do-chaar qadam maut ka aaga bandha