Sher of Sahir Hoshiyarpuri
ham ko aġhyār kā gilā kyā hai
zaḳhm khā.eñ haiñ ham ne yāroñ se
why should enemies be my reason to complain
when at the hands of friends, I have suffered pain
hum ko aghyar ka gila kya hai
zaKHm khaen hain hum ne yaron se
why should enemies be my reason to complain
when at the hands of friends, I have suffered pain
-
Tag : Dost
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
vo aur hoñge pī ke jo sarshār ho ga.e
har jaam se hameñ to na.ī tishnagī milī
wo aur honge pi ke jo sarshaar ho gae
har jam se hamein to nai tishnagi mili
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil vo sahrā hai ki jis meñ raat din
phuul khilte haiñ bahār aatī nahīñ
dil wo sahra hai ki jis mein raat din
phul khilte hain bahaar aati nahin
apnī apnī zaat meñ gum haiñ ahl-e-dil bhī ahl-e-nazar bhī
mahfil meñ dil kyūñkar bahle mahfil meñ tanhā.ī bahut hai
apni apni zat mein gum hain ahl-e-dil bhi ahl-e-nazar bhi
mahfil mein dil kyunkar bahle mahfil mein tanhai bahut hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun kahtā hai mohabbat kī zabāñ hotī hai
ye haqīqat to nigāhoñ se bayāñ hotī hai
kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab bigaḌte haiñ baat baat pe vo
vasl ke din qarīb hote haiñ
jab bigaDte hain baat baat pe wo
wasl ke din qarib hote hain
ham qarīb aa kar aur duur hue
apne apne nasīb hote haiñ
hum qarib aa kar aur dur hue
apne apne nasib hote hain
tum na tauba karo jafāoñ se
ham vafāoñ se tauba karte haiñ
tum na tauba karo jafaon se
hum wafaon se tauba karte hain
huī thī ḳhvāb meñ ḳhushbū sī mahsūs
tum aa.e ḳhvāb kī ta.abīr dekhī
hui thi KHwab mein KHushbu si mahsus
tum aae KHwab ki tabir dekhi
ab to ehsās-e-tamannā bhī nahīñ
qāfila dil kā luTā ho jaise
ab to ehsas-e-tamanna bhi nahin
qafila dil ka luTa ho jaise
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ahl-e-kashtī ne ḳhud-kushī kī thī
huā badnām nāḳhudā kā naam
ahl-e-kashti ne KHud-kushi ki thi
hua badnam naKHuda ka nam
āḳhir taḌap taḌap ke ye ḳhāmosh ho gayā
dil ko sukūn mil hī gayā iztirāb meñ
aaKHir taDap taDap ke ye KHamosh ho gaya
dil ko sukun mil hi gaya iztirab mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phir kisī bevafā kī yaad aa.ī
phir kisī ne liyā vafā kā naam
phir kisi bewafa ki yaad aai
phir kisi ne liya wafa ka nam