Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aale Ahmad Suroor's Photo'

Aale Ahmad Suroor

1911 - 2002 | Aligarh, India

One of the founders of modern Urdu criticism.

One of the founders of modern Urdu criticism.

Sher of Aale Ahmad Suroor

10.4K
Favorite

SORT BY

jo tire dar se uThā phir vo kahīñ na rahā

us qismat meñ rahī dar-badrī kahte haiñ

jo tere dar se uTha phir wo kahin ka na raha

us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain

kuchh to hai vaise rañgīñ lab o ruḳhsār baat

aur kuchh ḳhūn-e-jigar ham bhī milā dete haiñ

kuchh to hai waise hi rangin lab o ruKHsar ki baat

aur kuchh KHun-e-jigar hum bhi mila dete hain

aaj kar bhī vahī tishna-labī hai saaqī

lutf meñ tere kahīñ koī kamī hai saaqī

aaj pi kar bhi wahi tishna-labi hai saqi

lutf mein tere kahin koi kami hai saqi

abhī aate nahīñ us rind ko ādāb-e-mai-ḳhāna

jo apnī tishnagī ko faiz-e-sāqī kamī samjhe

abhi aate nahin us rind ko aadab-e-mai-KHana

jo apni tishnagi ko faiz-e-saqi ki kami samjhe

aatī hai dhaar un ke karam se shu.ūr meñ

dushman mile haiñ dost se behtar kabhī kabhī

aati hai dhaar un ke karam se shuur mein

dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi

vo tabassum hai ki 'ġhālib' tarah-dār ġhazal

der tak us balāġhat ko paḌhā karte haiñ

wo tabassum hai ki 'ghaalib' ki tarah-dar ghazal

der tak us ki balaghat ko paDha karte hain

ham jis ke ho ga.e vo hamārā na ho sakā

yuuñ bhī huā hisāb barābar kabhī kabhī

hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka

yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi

tamām umr kaTī us justujū karte

baḌe dinoñ meñ ye tarz-e-kalām aayā hai

tamam umr kaTi us ki justuju karte

baDe dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai

ab dhanak ke rañg bhī un ko bhale lagte nahīñ

mast saare shahr vaale ḳhuun holī meñ the

ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin

mast sare shahr wale KHun ki holi mein the

tumhārī maslahat achchhī ki apnā ye junūñ behtar

sambhal kar girne vaalo ham to gir gir kar sambhle haiñ

tumhaari maslahat achchhi ki apna ye junun behtar

sambhal kar girne walo hum to gir gir kar sambhle hain

log māñge ke ujāle se haiñ aise mar.ūb

raushnī apne charāġhoñ burī lagtī hai

log mange ke ujale se hain aise marub

raushni apne charaghon ki buri lagti hai

dāstān-e-shauq kitnī baar dohrā.ī ga.ī

sunñe vāloñ meñ tavajjoh kamī paa.ī ga.ī

TRANSLATION

The story of love was repeatedly recounted,

Audience, however, were most disinterested.

Sagar Akbarabadi

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai

TRANSLATION

The story of love was repeatedly recounted,

Audience, however, were most disinterested.

Sagar Akbarabadi

mai-kashī ke bhī kuchh ādāb baratnā sīkho

haath meñ apne agar jaam liyā hai tum ne

mai-kashi ke bhi kuchh aadab baratna sikho

hath mein apne agar jam liya hai tum ne

husn kāfir thā adā qātil thī bāteñ sehr thiiñ

aur to sab kuchh thā lekin rasm-e-dildārī na thī

husn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin

aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi

hastī ke bhayānak nazzāre saath apne chale haiñ duniyā se

ye ḳhvāb-e-pareshāñ aur ham ko tā-sub.h-e-qayāmat sonā hai

hasti ke bhayanak nazzare sath apne chale hain duniya se

ye KHwab-e-pareshan aur hum ko ta-subh-e-qayamat sona hai

sāhil ke sukūñ se kise inkār hai lekin

tūfān se laḌne meñ mazā aur kuchh hai

sahil ke sukun se kise inkar hai lekin

tufan se laDne mein maza aur hi kuchh hai

ham to kahte the zamāna nahīñ jauhar-shanās

ġhaur se dekhā to apne meñ kamī paa.ī ga.ī

hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas

ghaur se dekha to apne mein kami pai gai

bastiyāñ kuchh huiiñ vīrān to mātam kaisā

kuchh ḳharābe bhī to ābād huā karte haiñ

bastiyan kuchh huin viran to matam kaisa

kuchh KHarabe bhi to aabaad hua karte hain

jahāñ meñ ho ga.ī nā-haq tirī jafā badnām

kuchh ahl-e-shauq ko dār-o-rasan se pyaar bhī hai

jahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam

kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai

ye kyā ġhazab hai jo kal tak sitam-rasīda the

sitamgaroñ meñ ab un bhī naam aayā hai

ye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the

sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now