Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Agha Hajju Sharaf

1812 - 1887

Prominent Lucknow poet who was very close to the royal family. Moved to Kolkota and stayed with Hamid Ali Kaukab, the Crown prince of Nawab Wajid Ali Shah in exile.

Prominent Lucknow poet who was very close to the royal family. Moved to Kolkota and stayed with Hamid Ali Kaukab, the Crown prince of Nawab Wajid Ali Shah in exile.

Sher of Agha Hajju Sharaf

1.6K
Favorite

SORT BY

shāḳh-e-gul jhuum ke gulzār meñ sīdhī jo huī

phir gayā aañkh meñ naqsha tirī añgḌā.ī

shaKH-e-gul jhum ke gulzar mein sidhi jo hui

phir gaya aankh mein naqsha teri angDai ka

ishq ho jā.egā merī dāstān-e-ishq se

raat bhar jaagā karoge is kahānī ke liye

ishq ho jaega meri dastan-e-ishq se

raat bhar jaga karoge is kahani ke liye

likkhā hai jo taqdīr meñ hogā vahī ai dil

sharminda na karnā mujhe dast-e-duā

likkha hai jo taqdir mein hoga wahi ai dil

sharminda na karna mujhe tu dast-e-dua ka

be-vafā tum bā-vafā maiñ dekhiye hotā hai kyā

ġhaiz meñ aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai

be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya

ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai

kabhī jo yaar ko dekhā to ḳhvāb meñ dekhā

mirī murād bhī aa.ī to musta.ār aa.ī

kabhi jo yar ko dekha to KHwab mein dekha

meri murad bhi aai to mustaar aai

mūjid jo nuur hai vo merā charāġh hai

parvāna huuñ maiñ anjuman-e-kā.enāt

mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai

parwana hun main anjuman-e-kaenat ka

kahā jo maiñ ne mere dil ik tasvīr khiñchvā do

mañgā kar rakh diyā ik shīsha chaknāchūr pahlū meñ

kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do

manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein

dekhne bhī jo vo jaate haiñ kisī ghāyal ko

ik namak-dāñ meñ namak piis ke bhar lete haiñ

dekhne bhi jo wo jate hain kisi ghayal ko

ek namak-dan mein namak pis ke bhar lete hain

kyā ḳhudā haiñ jo bulā.eñ to vo aa na sakeñ

ham ye kahte haiñ ki aa jaa.eñ to na sakeñ

kya KHuda hain jo bulaen to wo aa hi na saken

hum ye kahte hain ki aa jaen to ja hi na saken

duniyā jo na maiñ chand nafas ke liye letā

jannat ilāqa mirī jāgīr meñ aatā

duniya jo na main chand nafas ke liye leta

jannat ka ilaqa meri jagir mein aata

qarīb-e-marg huuñ lillāh ā.īna rakh do

gale se mere lipaT jaao phir nikhar lenā

qarib-e-marg hun lillah aaina rakh do

gale se mere lipaT jao phir nikhar lena

ragḌī haiñ eḌiyāñ to huī hai ye mustajāb

kis ājizī se hai duā kuchh na pūchhiye

ragDi hain eDiyan to hui hai ye mustajab

kis aajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye

nahīñ karte vo bāteñ ālam-e-rūyā meñ bhī ham se

ḳhushī ke ḳhvāb bhī dekheñ to be-ta.abīr hote haiñ

nahin karte wo baaten aalam-e-ruya mein bhi hum se

KHushi ke KHwab bhi dekhen to be-tabir hote hain

ishq-bāzoñ kahīñ duniyā meñ shunvā.ī nahīñ

in ġharīboñ qayāmat meñ samā.at ho to ho

ishq-bazon ki kahin duniya mein shunwai nahin

in gharibon ki qayamat mein samaat ho to ho

aamad aamad hai tire shahr meñ kis vahshī

band rahne jo tākīd hai bāzāroñ ko

aamad aamad hai tere shahr mein kis wahshi ki

band rahne ki jo takid hai bazaron ko

jashn thā aish-o-tarab intihā thī maiñ na thā

yaar ke pahlū meñ ḳhālī merī thī maiñ na thā

jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha

yar ke pahlu mein KHali meri ja thi main na tha

dukhā dete ho tum dil ko to baḌh jaatā hai dil merā

ḳhushī hotā huuñ aisā maiñ ki hañs detā huuñ riqqat meñ

dukha dete ho tum dil ko to baDh jata hai dil mera

KHushi hota hun aisa main ki hans deta hun riqqat mein

nahīñ miltī to ham bhī tujh ko milne ke nahīñ

tafraqa aapas meñ ai umr-e-ravāñ achchhā nahīñ

tu nahin milti to hum bhi tujh ko milne ke nahin

tafraqa aapas mein ai umr-e-rawan achchha nahin

tez kab tak hogī kab tak baaḌh rakkhī jā.egī

ab to ai qātil tirī shamshīr aadhī rah ga.ī

tez kab tak hogi kab tak baDh rakkhi jaegi

ab to ai qatil teri shamshir aadhi rah gai

ghiste ghiste paañv meñ zanjīr aadhī rah ga.ī

aadhī chhuTne huī tadbīr aadhī rah ga.ī

ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai

aadhi chhuTne ki hui tadbir aadhi rah gai

do vaqt nikalne lagī lailā savārī

dilchasp huā qais ke rahne se ban aisā

do waqt nikalne lagi laila ki sawari

dilchasp hua qais ke rahne se ban aisa

kyā bujhā.egā mire dil lagī vo shola-rū

dauḌtā hai jo lagā ke aag paanī ke liye

kya bujhaega mere dil ki lagi wo shola-ru

dauDta hai jo laga ke aag pani ke liye

dil meñ aamad aamad us parda-nashīñ jab sunī

dam ko jaldī jaldī maiñ ne jism se bāhar kiyā

dil mein aamad aamad us parda-nashin ki jab suni

dam ko jaldi jaldi main ne jism se bahar kiya

ḳhalvat-sarā-e-yār meñ pahuñchegā kyā koī

vo band-o-bast hai ki havā guzar nahīñ

KHalwat-sara-e-yar mein pahunchega kya koi

wo band-o-bast hai ki hawa ka guzar nahin

hamesha shefta rakhte haiñ apne husn-e-qudrat

ḳhud us ruuh ho jaate haiñ jis tan banāte haiñ

hamesha shefta rakhte hain apne husn-e-qudrat ka

KHud us ki ruh ho jate hain jis ka tan banate hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now