Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Ata's Photo'

Ahmad Ata

1985 | Gujrat, Pakistan

Sher of Ahmad Ata

2.7K
Favorite

SORT BY

ham ne avval to kabhī us ko pukārā nahīñ

aur pukārā to pukārā bhī sadāoñ ke baġhair

hum ne awwal to kabhi us ko pukara hi nahin

aur pukara to pukara bhi sadaon ke baghair

ye jo rātoñ ko mujhe ḳhvāb nahīñ aate 'atā'

is matlab hai mirā yaar ḳhafā hai mujh se

ye jo raaton ko mujhe KHwab nahin aate 'ata'

is ka matlab hai mera yar KHafa hai mujh se

zindagī ḳhvāb hai aur ḳhvāb bhī aisā ki miyāñ

sochte rahiye ki is ḳhvāb ta.abīr hai kyā

zindagi KHwab hai aur KHwab bhi aisa ki miyan

sochte rahiye ki is KHwab ki tabir hai kya

saḌak pe baiTh ga.e dekhte hue duniyā

aur aise tark huī ek ḳhud-kushī ham se

saDak pe baiTh gae dekhte hue duniya

aur aise tark hui ek KHud-kushi hum se

nā-rasā.ī ne ajab taur sikhā.e haiñ 'atā'

ya.anī bhūle bhī nahīñ tum ko pukārā bhī nahīñ

na-rasai ne ajab taur sikhae hain 'ata'

yani bhule bhi nahin tum ko pukara bhi nahin

log hañste haiñ hameñ dekh ke tanhā tanhā

aao baiTheñ kahīñ aur un pe hañseñ ham aur tum

log hanste hain hamein dekh ke tanha tanha

aao baiThen kahin aur un pe hansen hum aur tum

kisī ko ḳhvāb meñ aksar pukārte haiñ ham

'atā' isī liye sote meñ hoñT hilte haiñ

kisi ko KHwab mein aksar pukarte hain hum

'ata' isi liye sote mein honT hilte hain

ham aaj hañste hue kuchh alag dikhā.ī diye

ba-vaqt-e-girya ham aise the, saare jaise haiñ

hum aaj hanste hue kuchh alag dikhai diye

ba-waqt-e-girya hum aise the, sare jaise hain

maiñ terī ruuh meñ utrā huā milūñgā tujhe

aur is tarah ki tujhe kuchh ḳhabar nahīñ honī

main teri ruh mein utra hua milunga tujhe

aur is tarah ki tujhe kuchh KHabar nahin honi

kisī buzurg ke bose ik nishānī hai

hamāre māthe pe thoḌī raushnī hai

kisi buzurg ke bose ki ek nishani hai

hamare mathe pe thoDi si raushni hai na

vaisā ḳharāb shaḳhs huuñ maiñ

jaisā koī chhoḌ kar gayā thā

waisa hi KHarab shaKHs hun main

jaisa koi chhoD kar gaya tha

hamārī umr se baḌh kar ye bojh Daalā gayā

so ham baḌoñ se buzurgoñ tarah milte haiñ

hamari umr se baDh kar ye bojh Dala gaya

so hum baDon se buzurgon ki tarah milte hain

phir koī duur huā jaatā hai

phir koī dil ke qarīb aa.egā

phir koi dur hua jata hai

phir koi dil ke qarib aaega

hañste hañste ho gayā barbād maiñ

ḳhush-dilī aisī bhī hotī hai bhalā

hanste hanste ho gaya barbaad main

KHush-dili aisi bhi hoti hai bhala

aaj dekhā hai use aisī mohabbat se 'atā'

vo yahī bhuul gayā us ko kahīñ jaanā thā

aaj dekha hai use aisi mohabbat se 'ata'

wo yahi bhul gaya us ko kahin jaana tha

ye tirā hijr atā dard atā karb atā

ab 'atā' kaise jiye terī atāoñ ke baġhair

ye tera hijr ata dard ata karb ata

ab 'ata' kaise jiye teri ataon ke baghair

ta.abīr batā.ī chukī hai

ab aañkh ko ḳhvāb dekhnā hai

tabir batai ja chuki hai

ab aankh ko KHwab dekhna hai

ham bahakte hue aate haiñ tire darvāze

tere darvāze bahakte hue aate haiñ ham

hum bahakte hue aate hain tere darwaze

tere darwaze bahakte hue aate hain hum

koī gumāñ huuñ koī yaqīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ

maiñ DhūñDhtā huuñ ki maiñ kahīñ huuñ ki maiñ nahīñ huuñ

koi guman hun koi yaqin hun ki main nahin hun

main DhunDhta hun ki main kahin hun ki main nahin hun

us badan hai raag raag bhī ek aag

aag mas tabāh-kun raag ras tabāh-kun

us ka badan hai rag sa rag bhi ek aag sa

aag ka mas tabah-kun rag ka ras tabah-kun

maiñ us ā.ankhoñ ke baare meñ kuchh nahīñ kahtā

ufuq se tā-ba-ufuq ik jahāñ samajh liije

main us ki aaankhon ke bare mein kuchh nahin kahta

ufuq se ta-ba-ufuq ek jahan samajh lije

kyā hue log purāne jinheñ dekhā bhī nahīñ

ai zamāne hameñ tāḳhīr huī aane meñ

kya hue log purane jinhen dekha bhi nahin

ai zamane hamein taKHir hui aane mein

ab yahāñ kaun nikālegā bhalā duudh nahr

ishq kartā hai jaisā bhī hai achchhā hai miyāñ

ab yahan kaun nikalega bhala dudh ki nahr

ishq karta hai tu jaisa bhi hai achchha hai miyan

ham āstān-e-ḳhudā-e-suḳhan pe baiThe the

so kuchh salīqe se ab zindagī tabāh kareñ

hum aastan-e-KHuda-e-suKHan pe baiThe the

so kuchh saliqe se ab zindagi tabah karen

ye chādar ek alāmat banī huī thī yahāñ

dar-asl ġham libāda bahut zarūrī thā

ye chadar ek alamat bani hui thi yahan

dar-asl gham ka libaada bahut zaruri tha

maiñ to miTTī ho rahā thā ishq meñ lekin 'atā'

aa ga.ī mujh meñ kahīñ se be-dimāġhī 'mīr'

main to miTTi ho raha tha ishq mein lekin 'ata'

aa gai mujh mein kahin se be-dimaghi 'mir' ki

koī aisā to tire ba.ad nahīñ rahnā thā

hālat-e-hijr ko uftād nahīñ rahnā thā

koi aisa to tere baad nahin rahna tha

haalat-e-hijr ko uftad nahin rahna tha

bāġh-e-havas meñ kuchh nahīñ dil hai to ḳhushnumā hai dil

aag lagā.egī talab hogā ye ḳhas tabāh-kun

bagh-e-hawas mein kuchh nahin dil hai to KHushnuma hai dil

aag lagaegi talab hoga ye KHas tabah-kun

ye ishq peshgī dār-o-rasan ke hañgāme

ye rañg zinda salāmat hai ya.anī ham abhī haiñ

ye ishq peshgi dar-o-rasan ke hangame

ye rang zinda salamat hai yani hum abhi hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now