Sher of Aisha Ayub
itnā masrūf kar liyā ḳhud ko
ġham bhī aa kar ḳhushī se lauT ga.e
itna masruf kar liya KHud ko
gham bhi aa kar KHushi se lauT gae
tumhārī ḳhush-nasībī hai ki tum samjhe nahīñ ab tak
akele-pan meñ aur tanhā.ī meñ jo farq hotā hai
tumhaari KHush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak
akele-pan mein aur tanhai mein jo farq hota hai
kuchh umr apnī zaat kā dukh jhelte rahe
kuchh umr kā.enāt kā dukh jhelnā paḌā
kuchh umr apni zat ka dukh jhelte rahe
kuchh umr kaenat ka dukh jhelna paDa
yahī sabab hai ki aksar udaas rahte haiñ
jo ham se duur haiñ vo aas paas rahte haiñ
yahi sabab hai ki aksar udas rahte hain
jo hum se dur hain wo aas pas rahte hain
par sameTe ḳhud hī baiThā hai parinda ik taraf
jo qafas meñ hī nahīñ us ko rihā kaise karūñ
par sameTe KHud hi baiTha hai parinda ek taraf
jo qafas mein hi nahin us ko riha kaise karun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us se koī gila bhī kareñ ham to kyā kareñ
vā'da koī kiyā hī nahīñ us ne aaj tak
us se koi gila bhi karen hum to kya karen
wa'da koi kiya hi nahin us ne aaj tak
ek laḌkī chūḌiyāñ khankā rahī thī aur tabhī
us khanak se uTh rahā thā jaise zindānī kā shor
ek laDki chuDiyan khanka rahi thi aur tabhi
us khanak se uTh raha tha jaise zindani ka shor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī se bhī muḳhātib hoñ koī bhī baat hotī ho
tumhārā naam lene kā bahāna DhūñD lete haiñ
kisi se bhi muKHatib hon koi bhi baat hoti ho
tumhaara nam lene ka bahana DhunD lete hain
ek aalim hai jo sajdoñ meñ gila kartā hai
ek darvesh hai jo hālāt-e-namnāk meñ ḳhush
ek aalim hai jo sajdon mein gila karta hai
ek darwesh hai jo haalat-e-namnak mein KHush
ujlat meñ vo dekho kyā kyā chhoḌ gayā
apnī bāteñ apnā chehra chhoḌ gayā
ujlat mein wo dekho kya kya chhoD gaya
apni baaten apna chehra chhoD gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī maañ to mirī jannat ko liye baiThī hai
aise kar lo mire purkhoñ kī duā tum rakh lo
meri man to meri jannat ko liye baiThi hai
aise kar lo mere purkhon ki dua tum rakh lo
ḳhāna-ba-dosh ho mujhe hijr-o-visāl ek
aise bhī ḳhush nahīñ huuñ maiñ vaise bhī ḳhush nahīñ
KHana-ba-dosh ho mujhe hijr-o-visal ek
aise bhi KHush nahin hun main waise bhi KHush nahin
us ko rone se pahle kuchh ham ne yuuñ tayyārī kī
kone meñ tanhā.ī rakkhī kamre meñ phailā.ī raat
us ko rone se pahle kuchh hum ne yun tayyari ki
kone mein tanhai rakkhi kamre mein phailai raat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
had-e-nigāh dekhiye banñe ko ġham-gusār
us ko bhī chup karā.iye jo ro nahīñ rahā
had-e-nigah dekhiye banne ko gham-gusar
us ko bhi chup karaiye jo ro nahin raha