Sher of Asar Sahbai
tumhārī yaad meñ duniyā ko huuñ bhulā.e hue
tumhāre dard ko siine se huuñ lagā.e hue
tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue
tumhaare dard ko sine se hun lagae hue
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabāb kā
goyā chhalak rahā hai piyāla sharāb kā
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabab ka
goya chhalak raha hai piyala sharab ka
ilāhī kashti-e-dil bah rahī hai kis samundar meñ
nikal aatī haiñ maujeñ ham jise sāhil samajhte haiñ
ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein
nikal aati hain maujen hum jise sahil samajhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis husn kī hai chashm-e-tamannā ko justujū
vo āftāb meñ hai na hai māhtāb meñ
jis husn ki hai chashm-e-tamanna ko justuju
wo aaftab mein hai na hai mahtab mein
saarī duniyā se be-niyāzī hai
vaah ai mast-e-nāz kyā kahnā
sari duniya se be-niyazi hai
wah ai mast-e-naz kya kahna
tere shabāb ne kiyā mujh ko junūñ se āshnā
mere junūñ ne bhar diye rañg tirī shabāb meñ
tere shabab ne kiya mujh ko junun se aashna
mere junun ne bhar diye rang teri shabab mein
-
Tag : Jawani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aah kyā kyā ārzūeñ nazr-e-hirmāñ ho ga.iiñ
roiye kis kis ko aur kis kis kā mātam kījiye
aah kya kya aarzuen nazr-e-hirman ho gain
roiye kis kis ko aur kis kis ka matam kijiye
sajde ke daaġh se na huī āshnā jabīñ
begāna-vār guzre har ik āstāñ se ham
sajde ke dagh se na hui aashna jabin
begana-war guzre har ek aastan se hum
jahāñ pe chhāyā sahāb-e-mastī baras rahī hai sharāb-e-mastī
ġhazab hai rañg-e-shabāb-e-mastī ki rind o zāhid bahak rahe haiñ
jahan pe chhaya sahab-e-masti baras rahi hai sharab-e-masti
ghazab hai rang-e-shabab-e-masti ki rind o zahid bahak rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download