Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azeem Murtaza's Photo'

Azeem Murtaza

1923 - 1983

Sher of Azeem Murtaza

1.1K
Favorite

SORT BY

jo ho sake to chale aao aaj merī taraf

mile bhī der huī aur udaas bhī hai

jo ho sake to chale aao aaj meri taraf

mile bhi der hui aur ji udas bhi hai

dard-e-mahrūmī-e-jāved bhī ik daulat hai

ahl-e-ġham bhī tire sharminda-e-ehsāñ nikle

dard-e-mahrumi-e-jawed bhi ek daulat hai

ahl-e-gham bhi tere sharminda-e-ehsan nikle

kyā kyā farāġhateñ thiiñ mayassar hayāt ko

vo din bhī the ki tere sivā koī ġham na thā

kya kya faraghaten thin mayassar hayat ko

wo din bhi the ki tere siwa koi gham na tha

aaj tak yaad hai vo shām-e-judā.ī samāñ

terī āvāz larzish tire lahje thakan

aaj tak yaad hai wo sham-e-judai ka saman

teri aawaz ki larzish tere lahje ki thakan

kuchh naqsh tirī yaad ke baaqī haiñ abhī tak

dil be-sar-o-sāmāñ sahī vīrāñ to nahīñ hai

kuchh naqsh teri yaad ke baqi hain abhi tak

dil be-sar-o-saman sahi viran to nahin hai

ḳhulūs-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'azīm'

maqām-e-ishq bahut duur bhī hai paas bhī hai

KHulus-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'azim'

maqam-e-ishq bahut dur bhi hai pas bhi hai

kuchh aap ġham kuchh ġham-e-jāñ kuchh ġham-e-duniyā

dāman meñ mire phuul bhī haiñ ḳhaar bhī ḳhas bhī

kuchh aap ka gham kuchh gham-e-jaan kuchh gham-e-duniya

daman mein mere phul bhi hain KHar bhi KHas bhi

be-ḳhudī meñ jise ham samjhe haiñ terā dāman

ain mumkin hai ki apnā garebāñ nikle

be-KHudi mein jise hum samjhe hain tera daman

ain mumkin hai ki apna hi gareban nikle

ham dard ke maare girāñ-jāñ haiñ vagarna

jiinā tirī furqat meñ kuchh āsāñ to nahīñ hai

hum dard ke mare hi giran-jaan hain wagarna

jina teri furqat mein kuchh aasan to nahin hai

tujh se mil ke bhī terā intizār rahtā hai

sub.h rū-e-ḳhandāñ se shaam zulf-e-barham tak

tujh se mil ke bhi tera intizar rahta hai

subh ru-e-KHandan se sham zulf-e-barham tak

tanhā.ī sannāTā aur aatī jaatī rāteñ

terī yaad na aur koī ġham phir bhī niiñd na aa.e

tanhai ka sannaTa aur aati jati raaten

teri yaad na aur koi gham phir bhi nind na aae

ek dard-e-hastī ne umr bhar rifāqat

varna saath detā hai kaun āḳhirī dam tak

ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaqat ki

warna sath deta hai kaun aaKHiri dam tak

TuuTā to aziiz aur huā ahl-e-vafā ko

dil bhī kahīñ us shoḳh paimāñ to nahīñ hai

TuTa to aziz aur hua ahl-e-wafa ko

dil bhi kahin us shoKH ka paiman to nahin hai

betābī-e-hayāt meñ āsūdgī bhī thī

kuchh terā ġham bhī thā ġham-e-daurāñ ke saath saath

betabi-e-hayat mein aasudgi bhi thi

kuchh tera gham bhi tha gham-e-dauran ke sath sath

vahī yaksāniyat-e-shām-o-sahar hai ki jo thī

zindagī dast-ba-dil ḳhāk-basar hai ki jo thī

wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi

zindagi dast-ba-dil KHak-basar hai ki jo thi

ab imtiyāz-e-zāhir-o-bātin bhī miT gayā

dil chaak ho rahā hai garebāñ ke saath saath

ab imtiyaz-e-zahir-o-baatin bhi miT gaya

dil chaak ho raha hai gareban ke sath sath

ab mere saath un nazar bhī hai be-qarār

nashtar taḌap rahe haiñ rag-e-jāñ ke saath saath

ab mere sath un ki nazar bhi hai be-qarar

nashtar taDap rahe hain rag-e-jaan ke sath sath

Recitation

Speak Now