Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azeem Quraishi's Photo'

Azeem Quraishi

1911

Sher of Azeem Quraishi

tire visāl kab aarzū rahī dil ko

ki ham ne chāhā tujhe shauq-e-be-sabab ke liye

tere visal ki kab aarzu rahi dil ko

ki hum ne chaha tujhe shauq-e-be-sabab ke liye

husn aur ishq haiñ donoñ kāfir

donoñ meñ ik jhagḌā hai

husn aur ishq hain donon kafir

donon mein ek jhagDa sa hai

chāñd ko tum āvāz to de lo

ek musāfir tanhā to hai

chand ko tum aawaz to de lo

ek musafir tanha to hai

hijr meñ us nigār-e-tābāñ ke

lamha lamha baras hai kyā kiije

hijr mein us nigar-e-taban ke

lamha lamha baras hai kya kije

ham bhī kisī shīrīñ ke liye ḳhāna-badar the

farhād rah-e-ishq meñ tanhā to na niklā

hum bhi kisi shirin ke liye KHana-badar the

farhad rah-e-ishq mein tanha to na nikla

kahne vaale kahtā

sunñe vaalā suntā to hai

kahne wale kahta ja tu

sunne wala sunta to hai

sahrā koī phuul mo.attar to nahīñ thā

thā ek chhalāvā koī manzar to nahīñ thā

sahra ka koi phul moattar to nahin tha

tha ek chhalawa koi manzar to nahin tha

jam bhī vahī daarā bhī sikandar bhī vahī hai

kar bhī tirā aur jo mar kar bhī tirā hai

jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai

ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now