Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Azlan shah

Pakistan

Sher of Azlan shah

314
Favorite

SORT BY

haar ko jiit ke imkān se bāñdhe hue rakh

apnī mushkil kisī āsān se bāñdhe hue rakh

haar ko jit ke imkan se bandhe hue rakh

apni mushkil kisi aasan se bandhe hue rakh

tavīl umr Dheroñ duā.eñ bhejī haiñ

mire charāġh ko paanī se bharne vāloñ ne

tawil umr ki Dheron duaen bheji hain

mere charagh ko pani se bharne walon ne

chupke se guzarte haiñ ḳhabar bhī nahīñ hotī

din raat bhī kam-baḳht javānī tarah haiñ

chupke se guzarte hain KHabar bhi nahin hoti

din raat bhi kam-baKHt jawani ki tarah hain

mujh ko pahchān ai vaqt maiñ vo huuñ jo faqat

ek ġhalatī ke liye arsh-e-barīñ se niklā

mujh ko pahchan tu ai waqt main wo hun jo faqat

ek ghalati ke liye arsh-e-barin se nikla

tum mohabbat use naam bhī de lo lekin

ye to qissa kisī haarī huī taqdīr hai

tum mohabbat ka use nam bhi de lo lekin

ye to qissa kisi haari hui taqdir ka hai

haare hue logoñ kahānī tarah haiñ

ham log bhī bahte hue paanī tarah haiñ

haare hue logon ki kahani ki tarah hain

hum log bhi bahte hue pani ki tarah hain

eḌiyāñ maar ke zaḳhmī bhī hue log magar

koī chashma nahīñ zarḳhez zamīñ se niklā

eDiyan mar ke zaKHmi bhi hue log magar

koi chashma nahin zarKHez zamin se nikla

ye ḳhazāne koī saañp banā hotā hai

aadmī ishq meñ duniyā se burā hotā hai

ye KHazane ka koi sanp bana hota hai

aadmi ishq mein duniya se bura hota hai

chand qadmoñ se ziyāda nahīñ chalne paate

jis ko dekho vahī qaidī kisī zanjīr hai

chand qadmon se ziyaada nahin chalne pate

jis ko dekho wahi qaidi kisi zanjir ka hai

kisī ke naam pe nanhe diye jalāte hue

ḳhudā ko bhuul ga.e nekiyāñ kamāte hue

kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue

KHuda ko bhul gae nekiyan kamate hue

baat nahīñ suntā yahī hal hai phir is

jhagḌe ke liye vaqt nikāleñ koī ham bhī

tu baat nahin sunta yahi hal hai phir is ka

jhagDe ke liye waqt nikalen koi hum bhi

aa gayā hai to ab yaad bhī nahīñ mujh ko

ye ishq merā burā haal karne vaalā thā

tu aa gaya hai to ab yaad bhi nahin mujh ko

ye ishq mera bura haal karne wala tha

kamāñ na tiir na talvār apnī hotī hai

magar ye duniyā ki har baar apnī hotī hai

kaman na tir na talwar apni hoti hai

magar ye duniya ki har bar apni hoti hai

kis liye is se nikalne duā.eñ māñgūñ

mujh ko ma.alūm hai mañjdhār se aage kyā hai

kis liye is se nikalne ki duaen mangun

mujh ko malum hai manjdhaar se aage kya hai

na haath suukh ke jhaḌte haiñ jism se apne

na shāḳh koī samar-bār apnī hotī hai

na hath sukh ke jhaDte hain jism se apne

na shaKH koi samar-bar apni hoti hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now