Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher of Baqa Baluch

1.3K
Favorite

SORT BY

zindagī se zindagī rūThī rahī

aadmī se aadmī barham rahā

zindagi se zindagi ruThi rahi

aadmi se aadmi barham raha

garmī-e-shiddat-e-jazbāt batā detā hai

dil to bhūlī huī har baat batā detā hai

garmi-e-shiddat-e-jazbaat bata deta hai

dil to bhuli hui har baat bata deta hai

maiñ kināre pe khaḌā huuñ to koī baat nahīñ

bahtā rahtā hai tirī yaad dariyā mujh meñ

main kinare pe khaDa hun to koi baat nahin

bahta rahta hai teri yaad ka dariya mujh mein

jism apne faanī haiñ jaan apnī faanī hai faanī hai ye duniyā bhī

phir bhī faanī duniyā meñ jāvedāñ to maiñ bhī huuñ jāvedāñ to tum bhī ho

jism apne fani hain jaan apni fani hai fani hai ye duniya bhi

phir bhi fani duniya mein jawedan to main bhi hun jawedan to tum bhi ho

ḳhush hai apnī duniyā meñ

maiñ tirī yaad meñ jaltā huuñ

tu KHush hai apni duniya mein

main teri yaad mein jalta hun

ek uljhan raat din paltī rahī dil meñ ki ham

kis nagar ḳhaak the kis dasht meñ Thahre rahe

ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki hum

kis nagar ki KHak the kis dasht mein Thahre rahe

kaisā lamha aan paḌā hai

hañstā ghar vīrān paḌā hai

kaisa lamha aan paDa hai

hansta ghar viran paDa hai

amn ke saare sapne jhūTe

sapnoñ ta.abīreñ jhūTī

amn ke sare sapne jhuTe

sapnon ki tabiren jhuTi

sirf mausam ke badalne pe mauqūf nahīñ

dard bhī sūrat-e-hālāt batā detā hai

sirf mausam ke badalne hi pe mauquf nahin

dard bhi surat-e-haalat bata deta hai

ham ne jin ko sachchā jaanā

niklīñ vo sab bāteñ jhūTī

hum ne jin ko sachcha jaana

niklin wo sab baaten jhuTi

har kūche meñ armānoñ ḳhuun huā

shahr ke jitne raste haiñ sab ḳhūnīñ haiñ

har kuche mein armanon ka KHun hua

shahr ke jitne raste hain sab KHunin hain

log chale haiñ sahrāoñ ko

aur nagar sunsān paḌā hai

log chale hain sahraon ko

aur nagar sunsan paDa hai

dard uTThā thā mire pahlū meñ

āḳhir-e-kār jigar tak pahuñchā

dard uTTha tha mere pahlu mein

aaKHir-e-kar jigar tak pahuncha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now