Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fayyaz Farooqi's Photo'

Fayyaz Farooqi

1967 | Ludhiana, India

Sher of Fayyaz Farooqi

jab un bazm meñ har ḳhaas o aam rusvā hai

ajiib kyā hai agar merā naam rusvā hai

jab un ki bazm mein har KHas o aam ruswa hai

ajib kya hai agar mera nam ruswa hai

raah meñ us chaleñ aur imtihāñ koī na ho

kaise mumkin hai ki ātish ho dhuāñ koī na ho

rah mein us ki chalen aur imtihan koi na ho

kaise mumkin hai ki aatish ho dhuan koi na ho

ye sochā hai ki tujh ko sochnā ab chhoḌ dūñgā maiñ

ye laġhzish mujh se lekin be-irāda ho jaatī hai

ye socha hai ki tujh ko sochna ab chhoD dunga main

ye laghzish mujh se lekin be-irada ho hi jati hai

kaise mumkin hai ki qisse jis se sab vābasta hoñ

vo chale aur saath us ke dāstāñ koī na ho

kaise mumkin hai ki qisse jis se sab wabasta hon

wo chale aur sath us ke dastan koi na ho

jugnū havā meñ le ke ujāle nikal paḌe

yuuñ tīrgī se laḌne jiyāle nikal paḌe

jugnu hawa mein le ke ujale nikal paDe

yun tirgi se laDne jiyale nikal paDe

baḌhānā haath pakaḌne ko rañg muTThī meñ

to titliyoñ ke paroñ darāz ho jaanā

baDhana hath pakaDne ko rang muTThi mein

to titliyon ke paron ka daraaz ho jaana

tujh se dil meñ jo gila thā vo na laa.e lab par

phir se ham bhar ga.e zaḳhmoñ ko harā kyā karte

tujh se dil mein jo gila tha wo na lae lab par

phir se hum bhar gae zaKHmon ko hara kya karte

kahānī ho koī bhī terā qissa ho jaatī hai

koī tasvīr dekhūñ terā chehra ho jaatī hai

TRANSLATION

Whichever tale it may be, it turns into your narration,

Whichever picture I see, it becomes thy countenance.

Sagar Akbarabadi

kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai

koi taswir dekhun tera chehra ho hi jati hai

TRANSLATION

Whichever tale it may be, it turns into your narration,

Whichever picture I see, it becomes thy countenance.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now