Sher of Figar Unnavi
māyūs diloñ ko ab chheḌo bhī to kyā hāsil
TuuTe hue paimāne fariyād nahīñ karte
mayus dilon ko ab chheDo bhi to kya hasil
TuTe hue paimane fariyaad nahin karte
dil hai mirā rañgīnī-e-āġhāz pe maa.il
nazroñ meñ abhī jaam hai anjām nahīñ hai
dil hai mera rangini-e-aghaz pe mail
nazron mein abhi jam hai anjam nahin hai
fazā kā tañg honā fitrat-e-āzād se pūchho
par-e-parvāz hī kyā jo qafas ko āshiyāñ samjhe
faza ka tang hona fitrat-e-azad se puchho
par-e-parwaz hi kya jo qafas ko aashiyan samjhe
ik terā aasrā hai faqat ai ḳhayāl-e-dost
sab bujh ga.e charāġh shab-e-intizār meñ
ek tera aasra hai faqat ai KHayal-e-dost
sab bujh gae charagh shab-e-intizar mein
kyā milā arz-e-mudda.ā se 'figār'
baat kahne se aur baat ga.ī
kya mila arz-e-muddaa se 'figar'
baat kahne se aur baat gai
saaqī ne nigāhoñ se pilā dī hai ġhazab kī
rindān-e-azal dekhiye kab hosh meñ aa.eñ
saqi ne nigahon se pila di hai ghazab ki
rindan-e-azal dekhiye kab hosh mein aaen
un pe qurbān har ḳhushī kar dī
zindagī nazr-e-zindagī kar dī
un pe qurban har KHushi kar di
zindagi nazr-e-zindagi kar di
ġham-o-alam se jo ta.abīr kī ḳhushī maiñ ne
bahut qarīb se dekhī hai zindagī maiñ ne
gham-o-alam se jo tabir ki KHushi main ne
bahut qarib se dekhi hai zindagi main ne
phūloñ ko gulistāñ meñ kab raas bahār aa.ī
kāñToñ ko milā jab se ejāz-e-masīhā.ī
phulon ko gulistan mein kab ras bahaar aai
kanTon ko mila jab se ejaz-e-masihai
ba-qadr-e-zauq mere ashk-e-ġham kī tarjumānī hai
koī kahtā hai motī hai koī kahtā hai paanī hai
ba-qadr-e-zauq mere ashk-e-gham ki tarjumani hai
koi kahta hai moti hai koi kahta hai pani hai
hasrat-e-dil nā-mukammal hai kitāb-e-zindagī
joḌ de maazī ke sab aurāq mustaqbil ke saath
hasrat-e-dil na-mukammal hai kitab-e-zindagi
joD de mazi ke sab auraq mustaqbil ke sath
ek ḳhvāb-o-ḳhayāl hai duniyā
e'tibār-e-nazar ko kyā kahiye
ek KHwab-o-KHayal hai duniya
e'tibar-e-nazar ko kya kahiye
dil mirā shākī-e-jafā na huā
ye vafādār bevafā na huā
dil mera shaki-e-jafa na hua
ye wafadar bewafa na hua
ajiib kashmakash hai kaise harf-e-mudda.ā kahūñ
vo pūchhte haiñ hāl-e-dil maiñ sochtā huuñ kyā kahūñ
ajib kashmakash hai kaise harf-e-muddaa kahun
wo puchhte hain haal-e-dil main sochta hun kya kahun
kisī se shikva-e-mahrūmī-e-niyāz na kar
ye dekh le ki tirī aarzū to ḳhaam nahīñ
kisi se shikwa-e-mahrumi-e-niyaz na kar
ye dekh le ki teri aarzu to KHam nahin
shikast-e-dil kī har āvāz hashr-āsār hotī hai
magar soī huī duniyā kahāñ bedār hotī hai
shikast-e-dil ki har aawaz hashr-asar hoti hai
magar soi hui duniya kahan bedar hoti hai
dil choT sahe aur uf na kare ye zabt kī manzil hai lekin
sāġhar TuuTe āvāz na ho aisā to bahut kam hotā hai
dil choT sahe aur uf na kare ye zabt ki manzil hai lekin
saghar TuTe aawaz na ho aisa to bahut kam hota hai
chhup gayā din qadam baḌhā raahī
duur manzil hai muft raat na kar
chhup gaya din qadam baDha rahi
dur manzil hai muft raat na kar
dīvāne ko majāz-o-haqīqat se kyā ġharaz
dair-o-haram mile na mile terā dar mile
diwane ko majaz-o-haqiqat se kya gharaz
dair-o-haram mile na mile tera dar mile
ādāb-e-āshiqī se to ham be-ḳhabar na the
dīvāne the zarūr magar is qadar na the
aadab-e-ashiqi se to hum be-KHabar na the
diwane the zarur magar is qadar na the
kis kaam kā aisā dil jis meñ ranjish hai ġhubār hai kiina hai
ham ko hai zarūrat us dil kī sab jis ko kaheñ ā.īna hai
kis kaam ka aisa dil jis mein ranjish hai ghubar hai kina hai
hum ko hai zarurat us dil ki sab jis ko kahen aaina hai
qadam qadam pe donoñ jurm-e-ishq meñ sharīk haiñ
nazar ko be-ḳhatā kahūñ ki dil ko be-ḳhatā kahūñ
qadam qadam pe donon jurm-e-ishq mein sharik hain
nazar ko be-KHata kahun ki dil ko be-KHata kahun
haiñ ye jazbāt mire dard bhare dil ke figār
lafz ban ban ke jo ash.ār tak aa pahuñche haiñ
hain ye jazbaat mere dard bhare dil ke figar
lafz ban ban ke jo ashaar tak aa pahunche hain
dil kī buniyād pe ta.amīr kar aivān-e-hayāt
qasr-e-shāhī to zarā der meñ Dah jaate haiñ
dil ki buniyaad pe tamir kar aiwan-e-hayat
qasr-e-shahi to zara der mein Dah jate hain
merī jabīn-e-shauq ne sajde jahāñ kiye
vo āstāñ banā jo kabhī āstāñ na thā
meri jabin-e-shauq ne sajde jahan kiye
wo aastan bana jo kabhi aastan na tha
tire ġham ke sāmne kuchh ġham-e-do-jahāñ nahīñ hai
hai jahāñ tirā tasavvur vahāñ īn-o-āñ nahīñ hai
tere gham ke samne kuchh gham-e-do-jahan nahin hai
hai jahan tera tasawwur wahan in-o-an nahin hai
yaqīn-e-vāda-e-fardā hameñ bāvar nahīñ aatā
zabāñ se laakh kahiye aap ke tevar nahīñ kahte
yaqin-e-wada-e-farda hamein bawar nahin aata
zaban se lakh kahiye aap ke tewar nahin kahte
sar-e-mahfil hamāre dil ko luuTā chashm-e-sāqī ne
udhar taqdīr gardish meñ idhar gardish meñ jaam aayā
sar-e-mahfil hamare dil ko luTa chashm-e-saqi ne
udhar taqdir gardish mein idhar gardish mein jam aaya
qadam apne harīm-e-nāz meñ is shauq se rakhnā
ki jo dekhe mire dil ko tumhārā āstāñ samjhe
qadam apne harim-e-naz mein is shauq se rakhna
ki jo dekhe mere dil ko tumhaara aastan samjhe
mahfil-e-kaun-o-makāñ terī hī bazm-e-nāz hai
ham kahāñ jā.eñge is mahfil se uTh jaane ke ba.ad
mahfil-e-kaun-o-makan teri hi bazm-e-naz hai
hum kahan jaenge is mahfil se uTh jaane ke baad
ka.aba bhī ghar apnā hai sanam-ḳhāna bhī apnā
har husn kā jalva mirā īmān-e-nazar hai
kaba bhi ghar apna hai sanam-KHana bhi apna
har husn ka jalwa mera iman-e-nazar hai
ka.abe meñ ho yā but-ḳhāne meñ hone ko to sar ḳham hotā hai
hotā hai jahāñ tū jalva-numā kuchh aur hī aalam hotā hai
kabe mein ho ya but-KHane mein hone ko to sar KHam hota hai
hota hai jahan tu jalwa-numa kuchh aur hi aalam hota hai
partav-e-husn se zarre bhī bane ā.īne
kitne jalve kiye arzāñ tirī ra.anā.ī ne
partaw-e-husn se zarre bhi bane aaine
kitne jalwe kiye arzan teri ranai ne