Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Gulnar Aafreen's Photo'

Gulnar Aafreen

1942 | Karachi, Pakistan

Sher of Gulnar Aafreen

405
Favorite

SORT BY

saudā hai zamīroñ har gaam tijārat hai

chup huuñ to qayāmat hai bolūñ to baġhāvat hai

sauda hai zamiron ka har gam tijarat hai

chup hun to qayamat hai bolun to baghawat hai

safar rañg hasīñ qurbatoñ hāmil ho

bahār ban ke koī ab to ham-safar aa.e

safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho

bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae

kin shahīdoñ ke lahū ke ye farozāñ haiñ charāġh

raushnī jo hai zindāñ ke har ik rauzan meñ

kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh

raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein

dil har zaḳhm tirī yaad ik phuul bane

mere pairāhan-e-jāñ se tirī ḳhushbū aa.e

dil ka har zaKHm teri yaad ka ek phul bane

mere pairahan-e-jaan se teri KHushbu aae

'gulnār' maslahat zabāñ meñ na baat kar

vo zahr ke dekh jo sachchā.iyoñ meñ hai

'gulnar' maslahat ki zaban mein na baat kar

wo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon mein hai

hameñ bhī ab dar o dīvār ghar ke yaad aa.e

jo ghar meñ the to hameñ ārzū-e-sahrā thī

hamein bhi ab dar o diwar ghar ke yaad aae

jo ghar mein the to hamein aarzu-e-sahra thi

ek aañsū yaad Tapkā to dariyā ban gayā

zindagī bhar mujh meñ ek tūfān paltā rahā

ek aansu yaad ka Tapka to dariya ban gaya

zindagi bhar mujh mein ek tufan sa palta raha

ek parchhā.īñ tasavvur mire saath rahe

maiñ tujhe bhūlūñ magar yaad mujhe aa.e

ek parchhain tasawwur ki mere sath rahe

main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae

ham sar-e-rāh-e-vafā us ko sadā kyā dete

jaane vaale ne palaT kar hameñ dekhā bhī na thā

hum sar-e-rah-e-wafa us ko sada kya dete

jaane wale ne palaT kar hamein dekha bhi na tha

baġhair samt ke chalnā bhī kaam aa gayā

fasīl-e-shahr ke bāhar bhī ek duniyā thī

baghair samt ke chalna bhi kaam aa hi gaya

fasil-e-shahr ke bahar bhi ek duniya thi

vo charāġh-e-zīst ban kar raah meñ jaltā rahā

haath meñ vo haath le kar umr bhar chaltā rahā

wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha

hath mein wo hath le kar umr bhar chalta raha

tanz zahr bharā hotā hai ab bātoñ meñ

lutf kyā aa.egā logoñ se mulāqātoñ meñ

tanz ka zahr bhara hota hai ab baaton mein

lutf kya aaega logon se mulaqaton mein

kyā baat hai kyuuñ shahr meñ ab nahīñ lagtā

hālāñki yahāñ apne parā.e bhī vahī haiñ

kya baat hai kyun shahr mein ab ji nahin lagta

haalanki yahan apne parae bhi wahi hain

ye tilism-e-mausam-e-gul nahīñ ki ye mojaza hai bahār

vo kalī jo shāḳh se gir ga.ī vo sabā god meñ pal ga.ī

ye tilism-e-mausam-e-gul nahin ki ye mojaza hai bahaar ka

wo kali jo shaKH se gir gai wo saba ki god mein pal gai

kaise rishte kaise naate jhūTe saare bandhan haiñ

chāhat jaane qaid hai kab se nafrat ke tah-ḳhānoñ meñ

kaise rishte kaise nate jhuTe sare bandhan hain

chahat jaane qaid hai kab se nafrat ke tah-KHanon mein

ye aur baat hai tumheñ kar gañvā diyā

lekin tumhārā ġham ġham-e-daurāñ banā diyā

ye aur baat hai tumhein pa kar ganwa diya

lekin tumhaara gham gham-e-dauran bana diya

shāyad abhī kamī masīhā.iyoñ meñ hai

jo dard hai vo ruuh gahrā.iyoñ meñ hai

TRANSLATION

Something is perhaps amiss in the saviours all,

For pain is still embedded in the abyss of my soul.

Sagar Akbarabadi

shayad abhi kami si masihaiyon mein hai

jo dard hai wo ruh ki gahraiyon mein hai

TRANSLATION

Something is perhaps amiss in the saviours all,

For pain is still embedded in the abyss of my soul.

Sagar Akbarabadi

jiine maza gardish-e-ayyām na aayā

kyā baat hai ham par koī ilzām na aayā

jine ka maza gardish-e-ayyam na aaya

kya baat hai hum par koi ilzam na aaya

kahiye ā.īna-e-sad-fasl-e-bahārāñ tujh ko

kitne phūloñ mahak hai tire pairāhan meñ

kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaran tujh ko

kitne phulon ki mahak hai tere pairahan mein

ashkoñ ke guhar bhī to nahīñ paas mire ab

maiñ soch rahī huuñ ġham-e-daurāñ tujhe kyā duuñ

ashkon ke guhar bhi to nahin pas mere ab

main soch rahi hun gham-e-dauran tujhe kya dun

Recitation

Speak Now