Sher of Haqeer
jāntā us ko huuñ davā kī tarah
chāhtā us ko huuñ shifā kī tarah
jaanta us ko hun dawa ki tarah
chahta us ko hun shifa ki tarah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā jāneñ un kī chaal meñ e.ajāz hai ki sehr
vo bhī unhīñ se mil ga.e jo the hamāre log
kya jaanen un ki chaal mein eajaz hai ki sehr
wo bhi unhin se mil gae jo the hamare log
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
TūTeñ vo sar jis meñ terī zulf kā saudā nahīñ
phūTeñ vo āñkheñ ki jin ko diid kā lapkā nahīñ
TuTen wo sar jis mein teri zulf ka sauda nahin
phuTen wo aankhen ki jin ko did ka lapka nahin
ḳhuub mil kar gale se ro lenā
is se dil kī safā.ī hotī hai
KHub mil kar gale se ro lena
is se dil ki safai hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yā us se javāb-e-ḳhat laanā yā qāsid itnā kah denā
bachne kā nahīñ bīmār tirā irshād agar kuchh bhī na huā
ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua
thoḌī taklīf sahī aane meñ
do ghaḌī baiTh ke uTh jā.iyegā
thoDi taklif sahi aane mein
do ghaDi baiTh ke uTh jaiyega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe ab maut behtar zindagī se
vo kī tum ne sitamgārī ki tauba
mujhe ab maut behtar zindagi se
wo ki tum ne sitamgari ki tauba
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kī kisī par na jafā mere ba.ad
ḳhuub ro.e vo sunā mere ba.ad
ki kisi par na jafa mere baad
KHub roe wo suna mere baad
khulī jo aañkh mirī sāmnā qazā se huā
jo aañkh band huī sābiqa ḳhudā se huā
khuli jo aankh meri samna qaza se hua
jo aankh band hui sabiqa KHuda se hua
ishq ke phande se bachiye ai 'haqīr'-e-ḳhasta-dil
is kā hai āġhāz shīrīñ aur hai anjām talḳh
ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-KHasta-dil
is ka hai aaghaz shirin aur hai anjam talKH
-
Tag : Ishq
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chaar din kī bahār hai saarī
ye takabbur hai yār-e-jānī hech
chaar din ki bahaar hai sari
ye takabbur hai yar-e-jaani hech
-
Tag : Bahaar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhā ga.ī ek musībat kī ghaTā chaar taraf
khule bāloñ jo vo dariyā se nahā kar nikle
chha gai ek musibat ki ghaTa chaar taraf
khule baalon jo wo dariya se naha kar nikle
band-e-qabā pe haath hai sharmā.e jaate haiñ
kamsin haiñ zikr-e-vasl se ghabrā.e jaate haiñ
band-e-qaba pe hath hai sharmae jate hain
kamsin hain zikr-e-wasl se ghabrae jate hain
sāqiyā aisā pilā de mai kā mujh ko jaam talḳh
zindagī dushvār ho aur ho mujhe ārām talḳh
saqiya aisa pila de mai ka mujh ko jam talKH
zindagi dushwar ho aur ho mujhe aaram talKH
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
but ko pūjūñgā sanam-ḳhānoñ meñ jā jā ke to maiñ
us ke pīchhe mirā īmān rahe yā na rahe
but ko pujunga sanam-KHanon mein ja ja ke to main
us ke pichhe mera iman rahe ya na rahe
haqārat kī nigāhoñ se na farsh-e-ḳhāk ko dekho
amīroñ kā faqīroñ kā yahī āḳhir ko bistar hai
haqarat ki nigahon se na farsh-e-KHak ko dekho
amiron ka faqiron ka yahi aaKHir ko bistar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhā baġhaur aib se ḳhālī nahīñ koī
bazm-e-jahāñ meñ sab haiñ ḳhudā ke sañvāre log
dekha baghaur aib se KHali nahin koi
bazm-e-jahan mein sab hain KHuda ke sanware log
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ba-ḳhudā sajde karegā vo biThā kar but ko
ab 'haqīr' aage musalmān rahe yā na rahe
ba-KHuda sajde karega wo biTha kar but ko
ab 'haqir' aage musalman rahe ya na rahe
kyuuñ na ka.abe ko kahūñ allāh kā aur but kā ghar
vo bhī mere dil meñ hai aur ye bhī mere dil meñ hai
kyun na kabe ko kahun allah ka aur but ka ghar
wo bhi mere dil mein hai aur ye bhi mere dil mein hai
yak-ba-yak tark na karnā thā mohabbat mujh se
ḳhair jis tarah se aatā thā vo aatā jaatā
yak-ba-yak tark na karna tha mohabbat mujh se
KHair jis tarah se aata tha wo aata jata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
but-kade meñ bhī gayā ka.abe kī jānib bhī gayā
ab kahāñ DhūñDhne tujh ko tirā shaidā jaatā
but-kade mein bhi gaya kabe ki jaanib bhi gaya
ab kahan DhunDhne tujh ko tera shaida jata