Sher of Haseebul Hasan
huzūr aap takalluf meñ kyoñ paḌe hue haiñ
mare huoñ ke janam-din nahīñ manātā koī
huzur aap takalluf mein kyon paDe hue hain
mare huon ke janam-din nahin manata koi
tujhe pata thā maiñ tere baġhair kuchh bhī nahīñ
zarā taras bhī na aaya tujhe bichhaḌte hue
tujhe pata tha main tere baghair kuchh bhi nahin
zara taras bhi na aaya tujhe bichhaDte hue
pāgal kiyā hai ishq ne aadhā jo rah gayā
ab aadhe sar ke dard kā puurā marīz huuñ
pagal kiya hai ishq ne aadha jo rah gaya
ab aadhe sar ke dard ka pura mariz hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahle bhī mere gaañv meñ ghāyal haiñ tiin shaḳhs
āzār-e-āgahī kā maiñ chauthā marīz huuñ
pahle bhi mere ganw mein ghayal hain tin shaKHs
aazar-e-agahi ka main chautha mariz hun
tumhāre husn kā sadqa utarnā lāzmī hai
so yuuñ karo kisī bachche ko māthā chūmne do
tumhaare husn ka sadqa utarna lazmi hai
so yun karo kisi bachche ko matha chumne do
hamāre dil se nikalte huoñ ko saat salām
vo is liye ki vo is habs meñ makīn rahe
hamare dil se nikalte huon ko sat salam
wo is liye ki wo is habs mein makin rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ka.ī kaam to dānista ġhalat kartā thā
taaki vo nuqs nikāle ki nahīñ aise kar
main kai kaam to danista ghalat karta tha
taki wo nuqs nikale ki nahin aise kar
laakh mīThe hoñ tire shahr ke chashme lekin
ham tire shahr ko ḳhush-āb nahīñ kah sakte
lakh miThe hon tere shahr ke chashme lekin
hum tere shahr ko KHush-ab nahin kah sakte
zamāne-bhar kī duā.eñ mire liye thiiñ magar
maiñ chāhtā hī nahīñ thā ki sabr aa jaa.e
zamane-bhar ki duaen mere liye thin magar
main chahta hi nahin tha ki sabr aa jae
shāhzādī kī marzī hai lekin
mujh se achchhā ġhulām koī nahīñ
shahzadi ki marzi hai lekin
mujh se achchha ghulam koi nahin
hamārī ḳhair hai lekin bas ik guzārish hai
hamāre baad kisī se bhī yuuñ nahīñ karnā
hamari KHair hai lekin bas ek guzarish hai
hamare baad kisi se bhi yun nahin karna
tumhāre jaane ke baad ham ne sukūn DhūñDā kuchh is tarah se
bichhaḌne vāloñ ke paañv paḌnā unheñ judā.ī se baaz rakhnā
tumhaare jaane ke baad hum ne sukun DhunDa kuchh is tarah se
bichhaDne walon ke panw paDna unhen judai se baz rakhna
ḳhauf is darja musallat thā tire baad 'hasan'
dil dhaḌaktā thā to ham ḳhud se lipaT jaate the
KHauf is darja musallat tha tere baad 'hasan'
dil dhaDakta tha to hum KHud se lipaT jate the
maiñ bahut soch ke bichhḌā thā moharram meñ 'hasīb'
maiñ ne us shaḳhs ko rone kī suhūlat dī thī
main bahut soch ke bichhDa tha moharram mein 'hasib'
main ne us shaKHs ko rone ki suhulat di thi
daad kab paate haiñ us 'mīr' kī dīvānī se
zang-ālūd taḳhayyul se kharoñche hue sher
dad kab pate hain us 'mir' ki diwani se
zang-alud taKHayyul se kharonche hue sher
na mere paas tasallī na us ke paas aañsū
ḳhudā ke sāmne bebas khaḌe haiñ ham donoñ
na mere pas tasalli na us ke pas aansu
KHuda ke samne bebas khaDe hain hum donon
hamī parem chand kī kahāniyoñ ke log haiñ
vo log jin kī umr ko udhār ne nigal liyā
hami parem chand ki kahaniyon ke log hain
wo log jin ki umr ko udhaar ne nigal liya
ḳhudā ke baad use mujh pe maan thā kyūñki
ḳhudā ke baad use maiñ hī pyaar kartā thā
KHuda ke baad use mujh pe man tha kyunki
KHuda ke baad use main hi pyar karta tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pichhle janam kā koī ta'alluq thā us ke saath
dekhe baġhair mujh ko ḳhad-o-ḳhāl yaad the
pichhle janam ka koi ta'alluq tha us ke sath
dekhe baghair mujh ko KHad-o-KHal yaad the
use batānā parinde use bulāte haiñ
use batānā ki shā.ir udaas hai us kā
use batana parinde use bulate hain
use batana ki shair udas hai us ka
hamāre aañsū kisī Thikāne to lag rahe haiñ
furāt ke bad-nasīb paanī kā kyā banegā
hamare aansu kisi Thikane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib pani ka kya banega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qasam hai tere taġhāful kī tujh se pahle mujhe
nahīñ pata thā ki ehsās-e-kamtarī kyā hai
qasam hai tere taghaful ki tujh se pahle mujhe
nahin pata tha ki ehsas-e-kamtari kya hai
us ke me.aar par ḳhudā laa.e
us nazar tak to aa ga.e haiñ ham
us ke mear par KHuda lae
us nazar tak to aa gae hain hum
tumhārī āñkhoñ pe nazm kahne se pahle ham ne bhigoī āñkheñ
sunā huā thā zamīn nam ho to achchhī hotī hai kāsht-kārī
tumhaari aankhon pe nazm kahne se pahle hum ne bhigoi aankhen
suna hua tha zamin nam ho to achchhi hoti hai kasht-kari
ham aise log zaa.e.a ho rahe haiñ
ḳhudā chup-chāp dekhe jā rahā hai
hum aise log zaea ho rahe hain
KHuda chup-chap dekhe ja raha hai
hamārī vahshat kisī purāne khañDar ke aaseb kī amānat
hamārī ġhazleñ hamārī devī kī ek tirchhī nazar kā sadqa
hamari wahshat kisi purane khanDar ke aaseb ki amanat
hamari ghazlen hamari dewi ki ek tirchhi nazar ka sadqa
abhī se soch lo phir vāpsī nahīñ hogī
tilism baḌhtā hī jā.egā din-ba-din us kā
abhi se soch lo phir wapsi nahin hogi
tilism baDhta hi jaega din-ba-din us ka
ye saath gaañv meñ ek chhoTā sā kaam hai bas
mirī udāsī udaas mat ho maiñ aa rahā huuñ
ye sath ganw mein ek chhoTa sa kaam hai bas
meri udasi udas mat ho main aa raha hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sitāre dekhne vaale hameñ batāte haiñ
hamāre hoñT tumhārī jabīñ ko tarseñge
sitare dekhne wale hamein batate hain
hamare honT tumhaari jabin ko tarsenge
tere ḳhvāboñ ke pīchhe bhāgī thiiñ
merī āñkhoñ meñ paḌ ga.e chhāle
tere KHwabon ke pichhe bhagi thin
meri aankhon mein paD gae chhaale
hamāre baad koī sar-parast mil na sakā
yatīm-ḳhāne meñ rakkhā gayā mohabbat ko
hamare baad koi sar-parast mil na saka
yatim-KHane mein rakkha gaya mohabbat ko
ab us kī marzī musāfir kahe ki gard-e-pā
maiñ us ke saath musalsal safar meñ rahtā huuñ
ab us ki marzi musafir kahe ki gard-e-pa
main us ke sath musalsal safar mein rahta hun
tumhārā husn ye khultā hai jaise dhīre se
hamāre sher bhī aise hī der-pā hoñge
tumhaara husn ye khulta hai jaise dhire se
hamare sher bhi aise hi der-pa honge