Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iqbal Naved's Photo'

Iqbal Naved

1953 | London, United Kingdom

Sher of Iqbal Naved

raat bhar koī na darvāza khulā

dastakeñ detī rahī pāgal havā

raat bhar koi na darwaza khula

dastaken deti rahi pagal hawa

ḳhvāhishoñ ke peḌ se girte hue patte na chun

zindagī ke sehn meñ ummīd paudā lagā

KHwahishon ke peD se girte hue patte na chun

zindagi ke sehn mein ummid ka pauda laga

pheñk de bāhar jānib apne andar ghuTan

apnī āñkhoñ ko lagā de ghar har khiḌkī ke saath

phenk de bahar ki jaanib apne andar ki ghuTan

apni aankhon ko laga de ghar ki har khiDki ke sath

ḳhudā jaane girebāñ kis ke haiñ aur haath kis ke haiñ

añdhere meñ kisī shakl pahchānī nahīñ jaatī

KHuda jaane gireban kis ke hain aur hath kis ke hain

andhere mein kisi ki shakl pahchani nahin jati

mirī ḳhvāhish hai duniyā ko bhī apne saath le aa.uuñ

bulandī taraf lekin kabhī pastī nahīñ jaatī

meri KHwahish hai duniya ko bhi apne sath le aaun

bulandi ki taraf lekin kabhi pasti nahin jati

ab itnī zor se har ghar pe dastakeñ denā

agar javāb na aa.e to dar nikal jaa.e

ab itni zor se har ghar pe dastaken dena

agar jawab na aae to dar nikal jae

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now