Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khan Hasnain Aqib's Photo'

Khan Hasnain Aqib

1971 | Akola, India

Sher of Khan Hasnain Aqib

aur thoḌā bikhar jā.ūñ yahī Thānī hai

zindagī maiñ ne abhī haar kahāñ maanī hai

aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai

zindagi main ne abhi haar kahan mani hai

bahut udaas haiñ dīvāreñ ūñche mahloñ

ye vo khañDar haiñ ki jin meñ amiir rahte haiñ

bahut udas hain diwaren unche mahlon ki

ye wo khanDar hain ki jin mein amir rahte hain

ḳhud ko kabhī maiñ na sakā

jaane kitnā gahrā huuñ

KHud ko kabhi main pa na saka

jaane kitna gahra hun

lafzoñ ke her-pher se bantī nahīñ ġhazal

sheroñ meñ thoḌī garmi-e-jazbāt bhī to ho

lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal

sheron mein thoDi garmi-e-jazbaat bhi to ho

chāhtā hai tark-e-mohabbat ko baar baar

aatā hai ek aisā bhī lamha visāl meñ

ji chahta hai tark-e-mohabbat ko bar bar

aata hai ek aisa bhi lamha visal mein

ġham uThātā huuñ ġhazal kahtā huuñ jiitā rahtā huuñ

log kahte haiñ ki ik din 'mīr' ho jā.ūñgā maiñ

gham uThata hun ghazal kahta hun jita rahta hun

log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main

kaTtī hai shab visāl palkeñ jhapakte

jis sub.h na ho kabhī vo raat bhī to ho

kaTti hai shab visal ki palken jhapakte hi

jis ki subh na ho kabhi wo raat bhi to ho

garche halkā dhuñdlakā hai tasavvur bhī tirā

band āñkhoñ ko ye manzar bhī bahut lagtā hai

garche halka sa dhundlaka hai tasawwur bhi tera

band aankhon ko ye manzar bhi bahut lagta hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now