Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Lala Madhav Ram Jauhar

1810 - 1889

Contemporary of Mirza Ghalib, famous for many of his oft-quoted shers.

Contemporary of Mirza Ghalib, famous for many of his oft-quoted shers.

TOP 20 SHAYARI of Lala Madhav Ram Jauhar

bhāñp leñge ishāra sar-e-mahfil jo kiyā

tāḌne vaale qayāmat nazar rakhte haiñ

bhanp hi lenge ishaara sar-e-mahfil jo kiya

taDne wale qayamat ki nazar rakhte hain

ġhairoñ se to fursat tumheñ din raat nahīñ hai

haañ mere liye vaqt-e-mulāqāt nahīñ hai

ghairon se to fursat tumhein din raat nahin hai

han mere liye waqt-e-mulaqat nahin hai

laḌne ko dil jo chāhe to āñkheñ laḌā.iye

ho jañg bhī agar to mazedār jañg ho

laDne ko dil jo chahe to aankhen laDaiye

ho jang bhi agar to mazedar jang ho

nāla-e-bulbul-e-shaidā to sunā hañs hañs kar

ab jigar thaam ke baiTho mirī baarī aa.ī

nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar

ab jigar tham ke baiTho meri bari aai

duniyā bahut ḳharāb hai jā-e-guzar nahīñ

bistar uThāo rahne ke qābil ye ghar nahīñ

duniya bahut KHarab hai ja-e-guzar nahin

bistar uThao rahne ke qabil ye ghar nahin

armān vasl mirī nazroñ se taaḌ ke

pahle se vo baiTh ga.e muñh bigāḌ ke

arman wasl ka meri nazron se taD ke

pahle hi se wo baiTh gae munh bigaD ke

mohabbat ko chhupā.e laakh koī chhup nahīñ saktī

ye vo afsāna hai jo be-kahe mash.hūr hotā hai

mohabbat ko chhupae lakh koi chhup nahin sakti

ye wo afsana hai jo be-kahe mashhur hota hai

thame aañsū to phir tum shauq se ghar ko chale jaanā

kahāñ jaate ho is tūfān meñ paanī zarā Thahre

thame aansu to phir tum shauq se ghar ko chale jaana

kahan jate ho is tufan mein pani zara Thahre

dil pyaar nazar ke liye be-qarār hai

ik tiir is taraf bhī ye taaza shikār hai

dil pyar ki nazar ke liye be-qarar hai

ek tir is taraf bhi ye taza shikar hai

aap to muñh pher kar kahte haiñ aane ke liye

vasl va.ada zarā āñkheñ milā kar kījiye

aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye

wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye

ka.abe meñ bhī vahī hai shivāle meñ bhī vahī

donoñ makān us ke haiñ chāhe jidhar rahe

kabe mein bhi wahi hai shiwale mein bhi wahi

donon makan us ke hain chahe jidhar rahe

apnī zabān se mujhe jo chāhe kah leñ aap

baḌh baḌh ke bolnā nahīñ achchhā raqīb

apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap

baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka

ab itr bhī malo to takalluf kahāñ

vo din havā hue jo pasīna gulāb thā

ab itr bhi malo to takalluf ki bu kahan

wo din hawa hue jo pasina gulab tha

kaun hote haiñ vo mahfil se uThāne vaale

yuuñ to jaate bhī magar ab nahīñ jaane vaale

kaun hote hain wo mahfil se uThane wale

yun to jate bhi magar ab nahin jaane wale

kis taraf aa.e kidhar bhuul paḌe ḳhair to hai

aaj kyā thā jo tumheñ yaad hamārī aa.ī

kis taraf aae kidhar bhul paDe KHair to hai

aaj kya tha jo tumhein yaad hamari aai

chupkā khaḌā huā huuñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ

kuchh sūjhtā nahīñ hai mohabbat raah meñ

chupka khaDa hua hun kidhar jaun kya karun

kuchh sujhta nahin hai mohabbat ki rah mein

tashrīf laao kūcha-e-rindāñ meñ vā.izo

sīdhī raah tum ko batā deñ najāt

tashrif lao kucha-e-rindan mein waizo

sidhi si rah tum ko bata den najat ki

aa gayā dil jo kahīñ aur sūrat hogī

log dekheñge tamāshā jo mohabbat hogī

aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi

log dekhenge tamasha jo mohabbat hogi

ḳhat likhā yaar ne raqīboñ ko

zindagī ne diyā javāb mujhe

KHat likha yar ne raqibon ko

zindagi ne diya jawab mujhe

aaheñ bhī kiiñ duā.eñ bhī māñgīñ tire liye

maiñ kyā karūñ jo yaar kisī meñ asar na ho

aahen bhi kin duaen bhi mangin tere liye

main kya karun jo yar kisi mein asar na ho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now