Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Maatam Fazl Mohammad

1815 - 1897 | Hyderabad, Pakistan

Sher of Maatam Fazl Mohammad

1.7K
Favorite

SORT BY

pūjtā huuñ kabhī but ko kabhī paḌhtā huuñ namāz

merā maz.hab koī hindū na musalmāñ samjhā

pujta hun kabhi but ko kabhi paDhta hun namaz

mera mazhab koi hindu na musalman samjha

jahāñ se huuñ yahāñ aayā vahāñ jā.ūñgā āḳhir ko

mirā ye haal hai yaaro na mustaqbil na maazī huuñ

jahan se hun yahan aaya wahan jaunga aaKHir ko

mera ye haal hai yaro na mustaqbil na mazi hun

ḳhat dekh kar mirā mire qāsid se yuuñ kahā

kyā gul nahīñ huā vo charāġh-e-sahar hanūz

KHat dekh kar mera mere qasid se yun kaha

kya gul nahin hua wo charagh-e-sahar hanuz

koī āzād ho to ho yaaro

ham to haiñ ishq ke asīroñ meñ

koi aazad ho to ho yaro

hum to hain ishq ke asiron mein

ruḳhsār de shart nahīñ bosa-e-lab se

jo meñ tire aa.e so de yaar magar de

ruKHsar ka de shart nahin bosa-e-lab se

jo ji mein tere aae so de yar magar de

dekh kar haath meñ tasbīh gale meñ zunnār

mujh se bezār hue kāfir o dīñ-dār judā

dekh kar hath mein tasbih gale mein zunnar

mujh se bezar hue kafir o din-dar juda

ātish sher paḌhtā huuñ aksar ba-hasb-e-hāl

dil said hai vo bahr-e-suḳhan ke nahañg

aatish ka sher paDhta hun aksar ba-hasb-e-haal

dil said hai wo bahr-e-suKHan ke nahang ka

agar samjho namāz-e-zāhid-e-maġhrūr yaaro

hazāroñ baar behtar-tar hamārī be-namāzī hai

agar samjho namaz-e-zahid-e-maghrur yaro

hazaron bar behtar-tar hamari be-namazi hai

umr do-chār roz mehmāñ hai

ḳhidmat-e-mehmāñ karūñ na karūñ

umr do-chaar roz mehman hai

KHidmat-e-mehman karun na karun

detā hai roz roz dilāse na.e na.e

kis tarah e'tibār ho 'hāfiz' ke faal par

deta hai roz roz dilase nae nae

kis tarah e'tibar ho 'hafiz' ke fal par

kyā kahūñ din ko kis qadar royā

raat dilbar ko dekh ruuyā meñ

kya kahun din ko kis qadar roya

raat dilbar ko dekh ruya mein

aaj masjid meñ nazar aatā to hai mai-kash magar

matlab us bechnā hai shaiḳh dastār

aaj masjid mein nazar aata to hai mai-kash magar

matlab us ka bechna hai shaiKH ki dastar ka

jāñ-ba-lab dam bhar huuñ mehmān-e-yār

ek bosa merī mehmānī karo

jaan-ba-lab dam bhar ka hun mehman-e-yar

ek bosa meri mehmani karo

haath baazū gardan kamar kis ke

ham ko tāvīzoñ meñ yahī chaar bhaa.e ta.avīz

hath ka bazu ka gardan ka kamar ka kis ke

hum ko tawizon mein yahi chaar hi bhae tawiz

tuḳhm-e-raihāñ khilā tabīb mujhe

ya.anī huuñ maiñ marīz-e-hazrat-e-ḳhāl

tuKHm-e-raihan khila tabib mujhe

yani hun main mariz-e-hazrat-e-KHal

apne bhī ishq ko zavāl na ho

na tumhāre jamāl ko hai kamāl

apne bhi ishq ko zawal na ho

na tumhaare jamal ko hai kamal

chhūTtā hai ek to phañste haiñ aa kar is meñ do

āj-kal hai garm-tar kyā ḳhuub bāzār-e-qafas

chhuTta hai ek to phanste hain aa kar is mein do

aaj-kal hai garm-tar kya KHub bazar-e-qafas

hindū bacha ne chhīn ke dil mujh se yuuñ kahā

hindostāñ bhī kishvar-e-turkāñ se kam nahīñ

hindu bacha ne chhin ke dil mujh se yun kaha

hindostan bhi kishwar-e-turkan se kam nahin

rahm kar ham par bhī dil-bar haiñ tire

ishq ke hāthoñ se āvāroñ ke biich

rahm kar hum par bhi dil-bar hain tere

ishq ke hathon se aawaron ke bich

dariyā meñ vo dhoyā thā kabhī dast-e-hinā.ī

hasrat se vahīñ panja-e-marjāñ meñ lagī aag

dariya mein wo dhoya tha kabhi dast-e-hinai

hasrat se wahin panja-e-marjaan mein lagi aag

lā-valad kahte haiñ ham ko lā-valad

sher se az-bas ki aulādī haiñ ham

la-walad kahte hain hum ko la-walad

sher se az-bas ki auladi hain hum

marja.a-e-gabr-o-musalmāñ hai vo but nām-e-ḳhudā

bhejte haiñ use hindū o musalmāñ kāġhaz

marja-e-gabr-o-musalman hai wo but nam-e-KHuda

bhejte hain use hindu o musalman kaghaz

ishq-e-ḳhūbāñ nahīñ hai aisī shai

bāñdh kar rakhiye jis ko puḌiyā meñ

ishq-e-KHuban nahin hai aisi shai

bandh kar rakhiye jis ko puDiya mein

aaj kal jo kasrat-e-shorīdgān-e-ishq hai

roz hote jaate haiñ haddād naukar saikḌoñ

aaj kal jo kasrat-e-shoridgan-e-ishq hai

roz hote jate hain haddad naukar saikDon

Recitation

Speak Now