Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majid-ul-Baqri's Photo'

Majid-ul-Baqri

1928 - 1995

Sher of Majid-ul-Baqri

321
Favorite

SORT BY

biis baras se ik taare par man jot jagātā huuñ

dīvālī raat ko bhī koī diyā jalāyā kar

bis baras se ek tare par man ki jot jagata hun

diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya kar

baat karnā hai karo sāmne itrāo nahīñ

jo nahīñ jānte us baat ko samjhāo nahīñ

baat karna hai karo samne itrao nahin

jo nahin jaante us baat ko samjhao nahin

qarīb dekh ke us ko ye baat kis se kahūñ

ḳhayāl dil meñ jo aayā gunāh jaisā thā

qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun

KHayal dil mein jo aaya gunah jaisa tha

hoñT surḳhī jhāñk uThtī hai shīshe ke paimānoñ se

miTTī ke bartan meñ paanī kar pyaas bujhāyā kar

honT ki surKHi jhank uThti hai shishe ke paimanon se

miTTi ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya kar

mujhī se pūchh rahā thā mirā patā koī

butoñ ke shahr meñ maujūd thā ḳhudā koī

mujhi se puchh raha tha mera pata koi

buton ke shahr mein maujud tha KHuda koi

sūkhe patte sab ikaTThe ho ga.e haiñ

rāste meñ ek dīvār aa ga.ī hai

sukhe patte sab ikaTThe ho gae hain

raste mein ek diwar aa gai hai

'mājid' ne bairāg liyā hai koī aisī baat nahīñ

idhar udhar bāteñ kar ke logoñ ko samjhāyā kar

'majid' ne bairag liya hai koi aisi baat nahin

idhar udhar ki baaten kar ke logon ko samjhaya kar

lohe aur patthar saarī tasvīreñ miT jā.eñgī

kāġhaz ke parde par ham ne sab ke ruup jamā.e haiñ

lohe aur patthar ki sari taswiren miT jaengi

kaghaz ke parde par hum ne sab ke rup jamae hain

insān meñ kyā bharā huā hai

hoñToñ se dimāġh tak sile haiñ

insan mein kya bhara hua hai

honTon se dimagh tak sile hain

āndhe moḌ ko jo bhī kaaTe āhista guzre

cycleñ Takrā jaatī haiñ akasr motor se

aandhe moD ko jo bhi kaTe aahista guzre

cyclen Takra jati hain akasr motor se

Recitation

Speak Now