Sher of Meer Anees
āshiq ko dekhte haiñ dupaTTe ko taan kar
dete haiñ ham ko sharbat-e-dīdār chhān kar
aashiq ko dekhte hain dupaTTe ko tan kar
dete hain hum ko sharbat-e-didar chhan kar
ashk-e-ġham dīda-e-pur-nam se sambhāle na ga.e
ye vo bachche haiñ jo maañ baap se paale na ga.e
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhaale na gae
ye wo bachche hain jo man bap se pale na gae
'anīs' āsāñ nahīñ ābād karnā ghar mohabbat kā
ye un kā kaam hai jo zindagī barbād karte haiñ
'anis' aasan nahin aabaad karna ghar mohabbat ka
ye un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
'anīs' dam kā bharosā nahīñ Thahar jaao
charāġh le ke kahāñ sāmne havā ke chale
'anis' dam ka bharosa nahin Thahar jao
charagh le ke kahan samne hawa ke chale
tamām umr jo kī ham se be-ruḳhī sab ne
kafan meñ ham bhī azīzoñ se muñh chhupā ke chale
tamam umr jo ki hum se be-ruKHi sab ne
kafan mein hum bhi azizon se munh chhupa ke chale
tamām umr isī ehtiyāt meñ guzrī
ki āshiyāñ kisī shāḳh-e-chaman pe baar na ho
tamam umr isi ehtiyat mein guzri
ki aashiyan kisi shaKH-e-chaman pe bar na ho
sivā.e ḳhaak ke baaqī asar nishāñ se na the
zamīñ se dab ga.e dabte jo āsmāñ se na the
siwae KHak ke baqi asar nishan se na the
zamin se dab gae dabte jo aasman se na the
lagā rahā huuñ mazāmīn-e-nau ke phir ambār
ḳhabar karo mere ḳhirman ke ḳhoshā-chīnoñ ko
laga raha hun mazamin-e-nau ke phir ambar
KHabar karo mere KHirman ke KHosha-chinon ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
karīm jo tujhe denā hai be-talab de de
faqīr huuñ pa nahīñ ādat-e-savāl mujhe
karim jo tujhe dena hai be-talab de de
faqir hun pa nahin aadat-e-sawal mujhe
garmī se muztarib thā zamāna zamīn par
bhun jaatā thā jo girtā thā daanā zamīn par
garmi se muztarib tha zamana zamin par
bhun jata tha jo girta tha dana zamin par
ḳhaak se hai ḳhaak ko ulfat taḌaptā huuñ 'anīs'
karbalā ke vāste maiñ karbalā mere liye
KHak se hai KHak ko ulfat taDapta hun 'anis'
karbala ke waste main karbala mere liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gul-dasta-e-ma.ānī ko na.e Dhañg se bāñdhūñ
ik phuul kā mazmūñ ho to sau rañg se bāñdhūñ
gul-dasta-e-maani ko nae Dhang se bandhun
ek phul ka mazmun ho to sau rang se bandhun
tū sarāpā ajr ai zāhid maiñ sar-tā-pā gunāh
bāġh-e-jannat terī ḳhātir karbalā mere liye
tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah
bagh-e-jannat teri KHatir karbala mere liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
misāl-e-māhī-e-be-āb mauj taḌpā kī
habāb phuuT ke ro.e jo tum nahā ke chale
misal-e-mahi-e-be-ab mauj taDpa ki
habab phuT ke roe jo tum naha ke chale
chhā.e phūloñ se bhī sayyād to ābād na ho
vo qafas kyā jo tah-e-dāman-esayyād na ho
chhae phulon se bhi sayyaad to aabaad na ho
wo qafas kya jo tah-e-daman-esayyaad na ho