Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Garmi

Summer is a season known

for oppressive heat and keeping us troubled and impatient. This season, or condition, has had a metaphoric meaning as well. These samples tell us how it can create different responses and how poets may negotiate with this.

garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e

sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā

garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae

sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya

Bedil Haidri

dopahar dhuup meñ mere bulāne ke liye

vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai

dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye

wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai

Hasrat Mohani

shahr kyā dekheñ ki har manzar meñ jaale paḌ ga.e

aisī garmī hai ki piile phuul kaale paḌ ga.e

shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae

aisi garmi hai ki pile phul kale paD gae

Rahat Indori

ye sub.h safediyāñ ye dopahar zardiyāñ

ab ā.īne meñ dekhtā huuñ maiñ kahāñ chalā gayā

ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan

ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya

Nasir Kazmi

ye dhuup to har ruḳh se pareshān karegī

kyuuñ DhūñD rahe ho kisī dīvār saaya

ye dhup to har ruKH se pareshan karegi

kyun DhunD rahe ho kisi diwar ka saya

Athar Nafees

shadīd garmī meñ kaise nikle vo phūl-chehra

so apne raste meñ dhuup dīvār ho rahī hai

shadid garmi mein kaise nikle wo phul-chehra

so apne raste mein dhup diwar ho rahi hai

Shakeel Jamali

phir vahī lambī do-pahreñ-surma.ī haiñ phir vahī dil hālat hai

bāhar kitnā sannāTā hai andar kitnī vahshat hai

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai

Aitbar Sajid

aate jo tum mere gale lag ga.e vallāh

us vaqt to is garmī ne sab maat garmī

aate hi jo tum mere gale lag gae wallah

us waqt to is garmi ne sab mat ki garmi

Nazeer Akbarabadi

paḌ jaa.eñ mire jism pe laakh aable 'akbar'

paḌh kar jo koī phūñk de april may june

paD jaen mere jism pe lakh aable 'akbar'

paDh kar jo koi phunk de april may june

Akbar Allahabadi

garmī se muztarib thā zamāna zamīn par

bhun jaatā thā jo girtā thā daanā zamīn par

garmi se muztarib tha zamana zamin par

bhun jata tha jo girta tha dana zamin par

Meer Anees

sūraj sar pe aa pahuñchā

garmī hai roz-e-jazā

suraj sar pe aa pahuncha

garmi hai ya roz-e-jaza

Nasir Kazmi

band āñkheñ karūñ aur ḳhvāb tumhāre dekhūñ

taptī garmī meñ bhī vaadī ke nazāre dekhūñ

band aankhen karun aur KHwab tumhaare dekhun

tapti garmi mein bhi wadi ke nazare dekhun

Sahiba Sheheryar

saarā din tapte sūraj garmī meñ jalte rahe

ThanDī ThanDī havā phir chalī so raho so raho

sara din tapte suraj ki garmi mein jalte rahe

ThanDi ThanDi hawa phir chali so raho so raho

Nasir Kazmi

june garmī se na ghabrā ki jahāñ meñ

ye to hamesha na rahī hai na rahegī

tu june ki garmi se na ghabra ki jahan mein

ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi

Sharif kunjahi

garmī bahut hai aaj khulā rakh makān ko

us galī se raat ko purvā.ī aa.egī

garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko

us ki gali se raat ko purwai aaegi

Khaleel Rampuri

dhuup garmī se īñTeñ pak ga.iiñ phal pak ga.e

ik hamārā jism thā aḳhtar jo kachchā rah gayā

dhup ki garmi se inTen pak gain phal pak gae

ek hamara jism tha aKHtar jo kachcha rah gaya

Akhtar Hoshiyarpuri

garmī ne kuchh aag aur bhī siine meñ lagā.ī

har taur ġharaz aap se milnā kam achchhā

garmi ne kuchh aag aur bhi sine mein lagai

har taur gharaz aap se milna hi kam achchha

Insha Allah Khan Insha

utāro badan se ye moTe libās

nahīñ dekhtīñ garmiyāñ aa ga.iiñ

utaro badan se ye moTe libas

nahin dekhtin garmiyan aa gain

Mohammad Aazam

garmī ye garmī hai

maañg rahe haiñ log panāh

garmi si ye garmi hai

mang rahe hain log panah

Obaid Siddiqi

kyuuñ tirī thoḌī garmī siiñ pighal jaave hai jaañ

kyā neñ samjhā hai āshiq is qadar hai mom

kyun teri thoDi si garmi sin pighal jawe hai jaan

kya tu nen samjha hai aashiq is qadar hai mom ka

Abroo Shah Mubarak

garmiyoñ bhar mire kamre meñ paḌā rahtā hai

dekh kar ruḳh mujhe sūraj ye ghar lenā thā

garmiyon bhar mere kamre mein paDa rahta hai

dekh kar ruKH mujhe suraj ka ye ghar lena tha

Ghulam Murtaza Rahi

qayāmat meñ baḌī garmī paḌegī hazrat-e-zāhid

yahīñ se bāda-e-gul-rañg meñ dāman ko tar kar lo

qayamat mein baDi garmi paDegi hazrat-e-zahid

yahin se baada-e-gul-rang mein daman ko tar kar lo

Muztar Khairabadi

ta.alluqāt garmī na e'tibār dhuup

jhulas rahī hai zamāne ko intishār dhuup

talluqat ki garmi na e'tibar ki dhup

jhulas rahi hai zamane ko intishaar ki dhup

Ali Abbas Ummeed

pighalte dekh ke sūraj garmī

abhī ma.asūm kirneñ ro ga.ī haiñ

pighalte dekh ke suraj ki garmi

abhi masum kirnen ro gai hain

Jalib Nomani

garmī jo aa.ī ghar havā-dān khul gayā

sāhil pe jab gayā to har insān khul gayā

garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya

sahil pe jab gaya to har insan khul gaya

Khalid Irfan

garmī meñ tere kūcha-nashīnoñ ke vāste

pañkhe haiñ qudsiyoñ ke paroñ ke bahisht meñ

garmi mein tere kucha-nashinon ke waste

pankhe hain qudsiyon ke paron ke bahisht mein

Muneer Shikohabadi

sitam-e-garmī-e-sahrā mujhe ma.alūm na thā

ḳhushk ho jā.egā dariyā mujhe ma.alūm na thā

sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha

KHushk ho jaega dariya mujhe malum na tha

Kamal Jafari

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now