Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mubarak Azimabadi's Photo'

Mubarak Azimabadi

1896 - 1959 | Patna, India

Prominent later-classical poet from Bihar

Prominent later-classical poet from Bihar

TOP 20 SHAYARI of Mubarak Azimabadi

jo nigāh-e-nāz bismil nahīñ

dil nahīñ vo dil nahīñ vo dil nahīñ

jo nigah-e-naz ka bismil nahin

dil nahin wo dil nahin wo dil nahin

terī baḳhshish ke bharose pe ḳhatā.eñ haiñ

terī rahmat ke sahāre ne gunahgār kiyā

teri baKHshish ke bharose pe KHataen ki hain

teri rahmat ke sahaare ne gunahgar kiya

mujh ko ma.alūm hai anjām-e-mohabbat kyā hai

ek din maut ummīd pe jiinā hogā

mujh ko malum hai anjam-e-mohabbat kya hai

ek din maut ki ummid pe jina hoga

rahne de apnī bandagī zāhid

be-mohabbat ḳhudā nahīñ miltā

rahne de apni bandagi zahid

be-mohabbat KHuda nahin milta

phuul kyā Dāloge turbat par mirī

ḳhaak bhī tum se na Daalī jā.egī

phul kya Daloge turbat par meri

KHak bhi tum se na Dali jaegi

din bhī hai raat bhī hai sub.h bhī hai shaam bhī hai

itne vaqtoñ meñ koī vaqt-e-mulāqāt bhī hai

din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai

itne waqton mein koi waqt-e-mulaqat bhi hai

tirī adā qasam hai tirī adā ke sivā

pasand aur kisī hameñ adā na huī

teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa

pasand aur kisi ki hamein ada na hui

kab vo ā.eñge ilāhī mire mehmāñ ho kar

kaun din kaun baras kaun mahīna hogā

kab wo aaenge ilahi mere mehman ho kar

kaun din kaun baras kaun mahina hoga

aap iḳhtiyār hai sab par

aap par iḳhtiyār kis hai

aap ka iKHtiyar hai sab par

aap par iKHtiyar kis ka hai

jo dil-nashīñ ho kisī ke to is kyā kahnā

jagah nasīb se miltī hai dil ke goshoñ meñ

jo dil-nashin ho kisi ke to is ka kya kahna

jagah nasib se milti hai dil ke goshon mein

apnī karo tum bhī apnī kareñ ham bhī

kuchh tum ne bhī Thānī hai kuchh ham ne bhī Thānī hai

apni si karo tum bhi apni si karen hum bhi

kuchh tum ne bhi Thani hai kuchh hum ne bhi Thani hai

mehrbānī chārasāzoñ baḌhī

jab baḌhā darmāñ to bīmārī baḌhī

mehrbani chaarasazon ki baDhi

jab baDha darman to bimari baDhi

le chalā phir mujhe dil yār-e-dil-āzār ke paas

ab ke chhoḌ ā.ūñgā zālim ko sitamgār ke paas

le chala phir mujhe dil yar-e-dil-azar ke pas

ab ke chhoD aaunga zalim ko sitamgar ke pas

ik tirī baat ki jis baat tardīd muhāl

ik mirā ḳhvāb ki jis ḳhvāb ta.abīr nahīñ

ek teri baat ki jis baat ki tardid muhaal

ek mera KHwab ki jis KHwab ki tabir nahin

samjhā.eñ kis tarah dil-e-nā-kardā-kār ko

ye dostī samajhtā hai dushman ke pyaar ko

samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko

ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko

kisī ne barchhiyāñ mārīñ kisī ne tiir maare haiñ

ḳhudā rakkhe inheñ ye sab karam-farmā hamāre haiñ

kisi ne barchhiyan marin kisi ne tir mare hain

KHuda rakkhe inhen ye sab karam-farma hamare hain

ye ġham-kada hai is meñ 'mubārak' ḳhushī kahāñ

ġham ko ḳhushī banā koī pahlū nikāl ke

ye gham-kada hai is mein 'mubarak' KHushi kahan

gham ko KHushi bana koi pahlu nikal ke

mohabbat meñ vafā had jafā intihā kaisī

'mubārak' phir na kahnā ye sitam koī sahe kab tak

mohabbat mein wafa ki had jafa ki intiha kaisi

'mubarak' phir na kahna ye sitam koi sahe kab tak

shikast-e-tauba tamhīd hai tirī tauba

zabāñ pe tauba 'mubārak' nigāh sāġhar par

shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba

zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar par

ḳhair saaqī salāmat mai-kada

jis qadar utnī hushyārī baḌhī

KHair saqi ki salamat mai-kada

jis qadar pi utni hushyari baDhi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now