Sher of Mumtaz Iqbal
aap jām-e-tishnagī bhar dījiye aġhyār kā
aur yuuñ kiije hameñ auroñ se kam de dījiye
aap jam-e-tishnagi bhar dijiye aghyar ka
aur yun kije hamein auron se kam de dijiye
-
Tag : Beniyazi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rozgār-e-‘ishq bhī ik kaam hai lekin huzūr
aap apne ghar kā ik darbān kar diije mujhe
rozgar-e-‘ishq bhi ek kaam hai lekin huzur
aap apne ghar ka ek darban kar dije mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhaak se tabdīl ho kar aab ho jaate haiñ ham
us badan-dariyā meñ jab ġharqāb ho jaate haiñ ham
KHak se tabdil ho kar aab ho jate hain hum
us badan-dariya mein jab gharqab ho jate hain hum
miTTī kī tā'zīm karo to aur takabbur kartī hai
kankar patthar jaise ādam-zād ḳhudā ho jaate haiñ
miTTi ki ta'zim karo to aur takabbur karti hai
kankar patthar jaise aadam-zad KHuda ho jate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aah vo āñkheñ ravāñ dariyā haiñ aur aisā ki bas
Duub kar achchhe-bhale tairāk ho jaate haiñ ham
aah wo aankhen rawan dariya hain aur aisa ki bas
Dub kar achchhe-bhale tairak ho jate hain hum