Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Pandit Jawahar Nath Saqi's Photo'

Pandit Jawahar Nath Saqi

1864 - 1916 | Delhi, India

Sher of Pandit Jawahar Nath Saqi

3K
Favorite

SORT BY

falak pe chāñd sitāre nikalte haiñ har shab

sitam yahī hai nikaltā nahīñ hamārā chāñd

falak pe chand sitare nikalte hain har shab

sitam yahi hai nikalta nahin hamara chand

ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banā diyā

dariyā samajh ke kuud paḌe ham sarāb meñ

hum ko bharam ne bahr-e-tawahhum bana diya

dariya samajh ke kud paDe hum sarab mein

vo maah jalva dikhā kar hameñ huā rū-posh

ye aarzū hai ki nikle kahīñ dobārā chāñd

wo mah jalwa dikha kar hamein hua ru-posh

ye aarzu hai ki nikle kahin dobara chand

qālib ko apne chhoḌ ke maqlūb ho ga.e

kyā aur koī qalb hai is inqalāb meñ

qalib ko apne chhoD ke maqlub ho gae

kya aur koi qalb hai is inqalab mein

nahīñ khultā sabab tabassum

aaj kyā koī bosa deñge aap

nahin khulta sabab tabassum ka

aaj kya koi bosa denge aap

jān-o-dil thā nazr terī kar chukā

tere āshiq yahī auqāt hai

jaan-o-dil tha nazr teri kar chuka

tere aashiq ki yahi auqat hai

sikka apnā nahīñ jamtā hai tumhāre dil par

naqsh aġhyār ke kis taur se jam jaate haiñ

sikka apna nahin jamta hai tumhaare dil par

naqsh aghyar ke kis taur se jam jate hain

dil bhī ab pahlū-tahī karne lagā

ho gayā tum tumhārī yaad meñ

dil bhi ab pahlu-tahi karne laga

ho gaya tum sa tumhaari yaad mein

jazba-e-ishq chāhiye suufī

jo hai afsurda ahl-e-hāl nahīñ

jazba-e-ishq chahiye sufi

jo hai afsurda ahl-e-haal nahin

ye risāla ishq hai adaq tire ġhaur karne hai sabaq

kabhī dekh is ko varaq varaq mirā siina ġham kitāb hai

ye risala ishq ka hai adaq tere ghaur karne ka hai sabaq

kabhi dekh is ko waraq waraq mera sina gham ki kitab hai

burā.ī bhalā.ī sūrat huī

mohabbat meñ sab kuchh ravā ho gayā

burai bhalai ki surat hui

mohabbat mein sab kuchh rawa ho gaya

mahv-e-liqā jo haiñ malakūtī-ḳhisāl haiñ

bedār ho ke bhī nazar aate haiñ ḳhvāb meñ

mahw-e-liqa jo hain malakuti-KHisal hain

bedar ho ke bhi nazar aate hain KHwab mein

ye rūposhī nahīñ hai sūrat-e-mardum-shanāsī hai

har ik nā-ahl terā tālib-e-dīdār ban jaatā

ye ruposhi nahin hai surat-e-mardum-shanasi hai

har ek na-ahl tera talib-e-didar ban jata

chhū le sabā jo aa ke mire gul-badan ke paañv

qaa.em na hoñ chaman meñ nasīm-e-chaman ke paañv

chhu le saba jo aa ke mere gul-badan ke panw

qaem na hon chaman mein nasim-e-chaman ke panw

sālik hai garche sair-e-maqāmāt-e-dil-fareb

jo ruk ga.e yahāñ vo maqām-e-ḳhatar meñ haiñ

salik hai garche sair-e-maqamat-e-dil-fareb

jo ruk gae yahan wo maqam-e-KHatar mein hain

jam ga.e raah meñ ham naqsh-e-qadam sūrat

naqsh-e-pā raah dikhāte haiñ ki vo aate haiñ

jam gae rah mein hum naqsh-e-qadam ki surat

naqsh-e-pa rah dikhate hain ki wo aate hain

nafs-e-matlab mirā faut huā jaatā hai

jān-e-jānāñ ye munāsib nahīñ ghabrā denā

nafs-e-matlab hi mera faut hua jata hai

jaan-e-jaanan ye munasib nahin ghabra dena

kiyā hai chashm-e-muravvat ne aaj mā.il-e-mehr

maiñ un bazm se kal ābdīda aayā thā

kiya hai chashm-e-murawwat ne aaj mail-e-mehr

main un ki bazm se kal aabdida aaya tha

merī qismat kajī aks hai

ye jo barham gesu-e-pur-ḳham rahā

meri qismat ki kaji ka aks hai

ye jo barham gesu-e-pur-KHam raha

apne junūñ-kade se nikaltā ab nahīñ

saaqī jo mai-farosh sar-e-rahguzār thā

apne junun-kade se nikalta hi ab nahin

saqi jo mai-farosh sar-e-rahguzar tha

vus.at-e-mashrab-e-rindāñ nahīñ hai mahram

zāhid-e-sāda hameñ be-sar-o-sāmāñ samjhā

wusat-e-mashrab-e-rindan ka nahin hai mahram

zahid-e-sada hamein be-sar-o-saman samjha

nairañg-e-ishq aaj to ho jaa.e kuchh madad

pur-fan ko ham kareñ mutahayyar kisī tarah

nairang-e-ishq aaj to ho jae kuchh madad

pur-fan ko hum karen mutahayyar kisi tarah

nigah-e-nāz se is chust qabā ne dekhā

shauq betāb gul-e-chāk-e-garebāñ samjhā

nigah-e-naz se is chust qaba ne dekha

shauq betab gul-e-chaak-e-gareban samjha

ye zamzama tuyūr-e-ḳhush-āhañg nahīñ

hai naġhma-sañj bulbul-e-rañgīñ-navā-e-qalb

ye zamzama tuyur-e-KHush-ahang ka nahin

hai naghma-sanj bulbul-e-rangin-nawa-e-qalb

huā na qurb-e-ta.alluq iḳhtisās yahāñ

ye rū-shanās zi-rā-e-ba.īda aayā thā

hua na qurb-e-talluq ka iKHtisas yahan

ye ru-shanas zi-ra-e-baida aaya tha

ushshāq jo tasavvur-e-barzaḳh ke ho ga.e

aatī hai dam-ba-dam ye unhīñ ko sadā-e-qalb

ushshaq jo tasawwur-e-barzaKH ke ho gae

aati hai dam-ba-dam ye unhin ko sada-e-qalb

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now