Sher of Priyamvada Ilhan
kiije iz.hār-e-mohabbat chāhe jo anjām ho
zindagī meñ zindagī jaisā koī to kaam ho
kije izhaar-e-mohabbat chahe jo anjam ho
zindagi mein zindagi jaisa koi to kaam ho
jo kahkashāñ sī nazar aatī haiñ mirī āñkheñ
guzishta shab ke ye aañsū haiñ jo sitāre hue
jo kahkashan si nazar aati hain meri aankhen
guzishta shab ke ye aansu hain jo sitare hue
fikr terī Thiik par merī anā kā bhī to soch
duur se bas dekh le zaḳhmoñ ko mere chhū nahīñ
fikr teri Thik par meri ana ka bhi to soch
dur se bas dekh le zaKHmon ko mere chhu nahin
vo ḳhafā haiñ jaane kis kis baat par
ham ne kī hai jo ḳhatā kuchh aur hai
wo KHafa hain jaane kis kis baat par
hum ne ki hai jo KHata kuchh aur hai
zarā sī baat nahīñ hai kisī kā ho jaanā
ki umr lagtī hai but ko ḳhudā banāne meñ
zara si baat nahin hai kisi ka ho jaana
ki umr lagti hai but ko KHuda banane mein
alag baat hai ye ki tum sun na paa.e
magar ham ne tum ko pukārā bahut hai
alag baat hai ye ki tum sun na pae
magar hum ne tum ko pukara bahut hai
ḳhud-kushī ik āḳhirī koshish hai zinda rahne kī
ḳhud-kushī karne ko ik parvāh bhī to chāhiye
KHud-kushi ek aaKHiri koshish hai zinda rahne ki
KHud-kushi karne ko ek parwah bhi to chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujh ko pā kar bhī tujhe paane kī ḳhvāhish hai abhī
mere dariyā tū alag terī ravānī hai alag
tujh ko pa kar bhi tujhe pane ki KHwahish hai abhi
mere dariya tu alag teri rawani hai alag
āshnā nazreñ to kab kī ho ga.iiñ nā-āshnā
phir bhī aadat sī hai āte-jāte vo ghar dekhnā
aashna nazren to kab ki ho gain na-ashna
phir bhi aadat si hai aate-jate wo ghar dekhna
nā-ummīdī meñ bhī ik ummīd bañdhī sī rahtī hai
pahle pahle ishq kā aañsū TuuTā taara lagtā hai
na-ummidi mein bhi ek ummid bandhi si rahti hai
pahle pahle ishq ka aansu TuTa tara lagta hai
murda āñkheñ dekhne se baḌh ke vahshat-nāk hai
zinda āñkhoñ meñ kisī kī maut kā Dar dekhnā
murda aankhen dekhne se baDh ke wahshat-nak hai
zinda aankhon mein kisi ki maut ka Dar dekhna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lafz-e-kun se ek duniyā ḳhalq karnā thā kamāl
kun ke aage jo huā us kī kahānī aur hai
lafz-e-kun se ek duniya KHalq karna tha kamal
kun ke aage jo hua us ki kahani aur hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham nahīñ haiñ log vo jo ro sakeñ
jo milī ham ko sazā kuchh aur hai
hum nahin hain log wo jo ro saken
jo mili hum ko saza kuchh aur hai
ḳhabar dī sabā ne jo bichhḌā thā ham se
bichhaḌ kar bhī ham se hamārā bahut hai
KHabar di saba ne jo bichhDa tha hum se
bichhaD kar bhi hum se hamara bahut hai
dil ko honā hai fanā rahnā hai qaa.em aql ko
hastī-e-ādam kahāñ jaa.e ye fitrat chhoḌ kar
dil ko hona hai fana rahna hai qaem aql ko
hasti-e-adam kahan jae ye fitrat chhoD kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham sahrā vaale haiñ badrā ye prem kī rim-jhim aur kahīñ
aanā hai yahāñ to ā.ī.yo tū jam kar jham-jham karne ke liye
hum sahra wale hain badra ye prem ki rim-jhim aur kahin
aana hai yahan to aaiyo tu jam kar jham-jham karne ke liye
parbat sahrā nadiyāñ jangal hamrāz tire honā chāheñ
ḳhāmosh parinde ab to nikal dukh ko sargam karne ke liye
parbat sahra nadiyan jangal hamraaz tere hona chahen
KHamosh parinde ab to nikal dukh ko sargam karne ke liye